Kuch wafa mein mazah nahin aata
Naam gar hai bura jafaon ka
Kuch wafa mein mazah nahin aata
Sang-dil rahe woh achcha hai
Gul-rukhon se nashah nahin aata
Ishq karne mein hai kharabi kya?
Kya karein hoslah nahin aata
Usko chu-kar pata chala humko
Zalzala be-wajah nahin aata
Hosh rakhlo ke kaam hai baaki
Roonthkar gumshudah nahin aata
Sher likhne ka kaam hai mushkil
Lafz hum-kaafiyah nahin aata
Door kitne hi hum rahein ASIM
Darmiyaan faslaah nahin aata!
- Khan M. Asim...29/03/2011...9:24PM!
2 comments:
Kuch mazah hai, nasha, ada hai, ilm hai, taseer hai aapki shayari me... :)
Hows that Khan,, BTW I dont know what is Tasir.. I think effect,, but it sounded good so I wrote.. hehe
Cheers
arpita
Khanum Arpita... u r right tasir does mean effect as well...! it also means for influence and quality too!
Ab aap shaira ban gayi ho... hamari laghbhag chutti hi samjhi jaaye!
hosla afzai ke liye khaaksaar shukar guzar hai!
Post a Comment