Wednesday, November 30, 2011

kashmakash..!


Yeh kaisi kashmakash hai,

Idhar manzil,

Idhar saahil,

Udhar dil ki haveli hai!

Kahun kis se

Karun kis se

Yeh raaze dil

Jo qaatil hai...

Sakhavat hai

Akhuvat hai

Nazakat hai

Mohabbat hai

Kahin pe kuch

Raqabat hai

Adavat hai

Musibat hai

Kisi ka naam

Izzat hai....

Bhanwar mein hun...

Badi mushkil

Na raasta hath

Na manzil...

Khudaya koi

Hal dede

Ya phir mujhko

Ajal dede!

- Khan M. Asim... 30/11/2011... 10:07AM!

Kashmakash - Dilemma... Manzil - Destination... Sahil - Shore... Haveli - mansion... raaze dil - secret of heart... Qatil - Killer... Sakhavat - Generosity... Akhuvat - Brotherhood... Nazakat - Delicacy... Mohabbat - Love... Raqabat - Rivalry... Adavat - Enmity... Musibat - Disaster... Izzat - Honour... Bhanwar - whirlpool... Mushkil - Trouble... Raasta - Path... Manzil - Goal... Khudaya - O God... Hal - solution... Ajal - Death..!

Khud-numa Asha'ar

Saadgi se jeete hain saadgi se milte hain

Apni bhi banavat toh warna ik qayamat hai! ASIM

***********************************************

Baatil ki bandagi mein lute iss tarah se hum

Nikle jo ku-e-yaar ko maqtal pahunch gaye! ASIM

***********************************************

Nizaame hayaat apna tassavur hai kar liya

Be-raah ravi rahi toh shaamat hai aur kya..! ASIM

************************************************

Tu jo chali gayi toh mehfil udaas hai

Khamosh har ghadi ko teri hi aas hai

Jaane baharan meri hai ab aarzu kahan

Saanson ki har ladi toh tere hi paas hai! ASIM

*************************************************

Hosley shikan kar do, tod do marasim ko

Qatl aarzu kar do khatm kar do ASIM ko! ASIM

*************************************************

Ishq qishton mein...

Deedaar qishton mein...

Mulaqaat qishton mein...

Yeh zindagi...

Ek qisht hai! ASIM

****************************************************

Chaandni kyun pareshaan hai?

Raat ka kaam hai dagha dena...! ASIM

*****************************************************

Itni mohtaat mohabbat se baghavat behter

Ek hi waar mein rooh dil se juda hoti hai! ASIM

*****************************************************

Kahaan gaye tum o gyaan baatne waaley

Bhoole bhatkon ko imaan baatne waaley? ASIM

******************************************************

Sarsari taur se dekha tha usko hum ne

Dil bhi mushtaq hai nazar tishna hai abhi! ASIM

*******************************************************

Dost bhi kam-yab hain dushman bhi matlab ka hai

Saare rishtey bik chukey Salman ab sansaar mein! ASIM

********************************************************

Nafrat, chaahat, ruswaiyaan...

Zindagi shayad isi ka naam hai!

Asim, Salman, Beemaariyaan..

Zindagi shayad isi ka naam hai! ASIM

**********************************************************

Aankhon mein khoon ka dariya tha

Haathon mein laash thi apnon ki

Auron ki khushi ka manzar tha

Jab na'ash jali mere sapnon ki! ASIM

- Wrote after 2002 Gujarat riots..!

************************************************************

Ashk se wuzoo karke ishq ki ibadat ki

Dard se rujoo karke zakhm ki iyadat ki! ASIM

*************************************************************

Ishq gar che aala hai husn ka niwala hai

Aaj dil yeh kehta hai bewajah himaqat ki! ASIM

***********************************************************

Dil dahel jaayega saans ruk jayegi

Pyaar tumne gar meri tarah kar lia

Kitna aasaan tha muskurana yahan

Apne haathon se jeena tabah kar lia! Asim

**********************************************************

Aisi khaamoshi kya hai naadaani

Mohabbat karte ho ya meharbaani! ASIM

***********************************************************

Abhi zindah hun abhi jaan baaki hai

Abhi aasmaan mein udaan baaki hai! ASIM

***********************************************************

Darmiyaan deewaar badhne lagi hai

Shiddat-e-ishq kyun ghatne lagi hai? ASIM

***********************************************************

Haath mein ley shohrat ka jaam

Woh pooche hum se hamara naam

Gar ishq karey tum ko badnaam

Kar do saaley ko neelaam! ASIM

************************************************************

Husn gar na qasida, ghazal hota

Naam apna bhi marsiya hota....

Khayaal ulfat ka gar rawan hota

Haath pal bhar mein dhar diya hota! ASIM

**************************************************************

Na koi majboor hun na hi zar-khareed hun

Khauf hai Allah ka bas warna bemisaal hun! ASIM

**************************************************************

Mein jo chala gaya toh ruthengi sab bahaarein

Phir ghoomte hi rehna duniya ki mehfilon mein! ASIM

**************************************************************

Kitni mushkil se hai rabb ne milaya hum ko

Itni aasaani se mein jung nahin haarne wala! ASIM

**************************************************************

Bachpan chala gaya, college ke din gaye

Padhne mein ab zara lagta nahin yeh dil! ASIM

**************************************************************

Na siyasat na hukumat, na kisi ka khauf hai

Ishq kuch aisa junun hai har bala ko mod de! ASIM

**************************************************************

Na umeed hai na aas hai

Yeh zindagi bakwaas hai! ASIM

***************************************************************

Rahunga peeche na kisi qasad tak

Sadaayein dunga tujhe wajad tak

Jo teri khudai hai azal abad tak

Mera ishq bhi hai junun ki had tak! ASIM

*****************************************************************

Husn-o-ishq ki mehfil mein jaagna ibadat hai

Dena dil ibadat hai maangna ibadat hai! ASIM

*****************************************************************

Hone se takraar badh jaata hai pyaar

Pyaar aa raha hai tum pe beshumaar! ASIM

****************************************************************

Bahut pehle se tha apna wapas usko laana hai

Yeh dil phir tadapta hai gaza ko philasteen ko! ASIM

*****************************************************************

Paak hai sabse se zaate khudai

Noore jahaan Allah Allah

Dil ko usne ghar hai banaya

Dil bhi hai ibadat gaah

Sab se aala sab pe qaadir

Naam hai bas Allah Allah!

Sab se afzal hasti uski..

Ba-haq hai bas uska ghuroor..

Mil jayenge dono aalam gar woh ho masroor...

Shaitano se deta hai bas woh hi sab ko panah...

Noor hi noor hai Allah Allah! ASIM

***********************************************************

Asaani se mayyassar hokar awqat ganwa di

Ab khud ko badalna hai kahin waqt na badley! ASIM

(Things freely available have no respect...
Time to change, else time may change! ASIM)

************************************************************

Mein bhi sarkash woh bhi sarkash

Khaali hoga yun hi tarkash! ASIM

*************************************************************

Tuesday, November 29, 2011

Aadmi sa khar raha hun!


Mann hi mann mein mar raha hun

Ghoont gham ke bhar raha hun

Idhar udhar na dekho yaaro

Baat tum se kar raha hun

Jal raha hai jiss se jungle

Aag se uss dar raha hun

Ho rahi hai khud se wehshat

Dairey dar shar raha hun

Ik khalish si hai fiza mein

Ghar mein bhi be ghar raha hun

Yeh kis liye nakaamiyaabi

Sab se hi behtar raha hun

Itna hi tha paarsa jo

Ghaans kaahe char raha hun

Aaj jaana raaz ASIM

Aadmi sa khar raha hun!

- Khan M. Asim... 29/11/2011... 2:10 AM!

Thursday, November 24, 2011

Beach par hai pari anokhi!


Zulf sar sar adaa ki shokhi

Beach par hai pari anokhi

Nigaah ki bandish,

Hawa ki ranjish

Nazaare qaatil

Nazar pe chashma,

Khayaale Mutlaq

Wujoode Shaahin

Na aisi koi nazeer payi

Na tum si koi haseen dekhi

Zulf sar sar adaa ki shokhi

Beach par hai pari anokhi!

- Khan M. Asim... 24/11/2011... 11:08PM!

Pyaar mein jokham uthana padta hai..!


Dost ko dushman banana padta hai

Pyaar mein jokham uthana padta hai

Zakhm khud ko hi lagana padta hai

Aur phir marham lagana padta hai

Hosh uske ud chalein ik waar se

Nazar ko kasdam banana padta hai

Mehfilein dil ki sajaane ke liye

Pyaar ka mausam jagana padta hai

Rishtey ko jaiz banane ke liye

Dilruba begam bulana padta hai

Nazdikiyon dil mein badhane ke liye

Pyaar se humdum bulana padta hai

Uski khushiyon ko sajane ke liye

Apna har ghum bhulana padta hai

Ghazal ik achchi banane ke liye

Sher bhi har dum banana padta hai

Raat, ASIM, chaand, khushbu aur kali

Aag ko sheesham jalana padta hai!

- Khan M. Asim... 24/11/2011... 12:15AM!

Wednesday, November 16, 2011

Is taraf kuan andha us taraf khila sa hai!


Aarzoo hai duniya ki aur talab sitaron ki

Is taraf kuan andha us taraf khila sa hai

Dastaras se choota hai dil hi dil mein toota hai

Aadmi pareshaan hai aadmi juda sa hai

Saare merkey haare, har taraf dhuan sa hai

Sab tapish mein pighla hai jhoota har dilasa hai

Har paher yeh istafhaam joonjhta hai fitrat mein

Aadmi toh insaan hai banta kyun khuda sa hai

Loot li hai sab duniya aadmi lutera hai

Phir shareef hone ka karta kyun khulasa hai

Ahle cheen bhi jeetey aur be-deen bhi jeetey

Bas khirad ke peru ka hosla uda sa hai

Kya gila hai qismat se kyun khafa hai tu ASIM

Saans chal rahi hai par tu mara mara sa hai!

- Khan M. Asim... 16/11/2011... 01:34AM!

Saturday, November 12, 2011

Aakhir mudda'a kya hai???


Khamosh din..

Beparwah lamhey..

Aur...

Tang karti tanhayi!

Ik ajeeb si khalish

Ajab si ranjish..

Sukoot maqtal hai

Bazm afsurdah...

Na qaraare qalb hai

Na wujoode khirad

Ek beshauri hai

Ek badgumaani hai...

Raah pur asraar

Aur,

Khaufe rahzan..

Kaisi khud kalaami hai

Kaisi be nizaami hai

Aadmi nadarad hai

Aur

Khuda nihan har sun

Ilm bhi huwaida hai

Zulm bhi huwaida hai

Uspe khud faramoshi

Ek dard gehra!

Kehkashan munawwar hai

Aasmaan munawwar hai

Bargazidah Sultani

Aaj hai andhere mein!

Deen ke ujaale hain

Waqt ke niwaale hain

Aur hum

Siyah dil mein..!

Kaise dil bujha sa hai

Khud se kyun juda sa hai

Baat yeh bata Asim,

Aakhir mudda'a kya hai???

- Khan M. Asim... 12/11/2011.. 4:55PM!

Friday, November 11, 2011

Mere mehboob ab jalwah dikha do


Tumhaare naam ki maala japi hai

Mere mehboob ab jalwah dikha do

Faramoshi mein kuch rakha nahin hai

Mulaqaaton ko ab mumkin bana do

Nazar aati hai jo deeware duniya

Hamaare ishq se iss ko gira do

Hum hi awwal hum hi aakhir tumhaare

Zamaane bhar ko yeh naghma suna do

Humare hosh ko mas-hoor kar do

Nigaahe naaz se pardah hata do

Humein baahon mein bhar kar pyaar kar lo

Jigar ki aag ko thanda kara do

Tum hi mushfiq tum hi mohsin hamare

Gunaahgaron ko tum jannat dikha do

Kahan ghairon se rakhni rasme ulfat

Faqat ASIM ko tum apna bana do!

- Khan M. Asim... 11/11/11... 01:37 PM!

Wednesday, November 09, 2011

Zindagi, jandagi si lagti hai..!


Zindagi, jandagi si lagti hai

Aashiqi bandagi si lagti hai

Baab yun band hai muqaddar ka

Aarzoo tishnagi si lagti hai

Khud ko dekha hai aaney mein jab

Har paher sharmindagi si lagti hai

Jisko maana ke phool hai khushboo

Phir wahi gandagi si lagti hai

Kyun yeh chashmey suraab uthte hain

Badgumaan na-beenagi si lagti hai

Dil mein ik dard hai sulagta sa

Aur ik kasheedagi si lagti hai

Jitna aazmaya hai umar ko ASIM

Aasoodagi rindagi si lagti hai!

- Khan M. Asim... 09/11/2011... 2:50PM!

Wednesday, November 02, 2011

Yeh toh bata qaatil mere khanjar uthaya ke nahin!


Har roz hain ghazlein teri har roz teri daastaan

Yeh toh bata qaatil mere khanjar uthaya ke nahin

Tu ne kaha ke pyaar hai hum ne kaha mashkoor hum

Itna bata hum ko sanam dil ko bataya ke nahin

Hai muflisi ka daur tum ladhte raho adwaar se

Hum ko suna ke kya mila unko sunaya ke nahin

Hain waqt ki rang railyaan aur dasht ki khamoshiyan

Tanha safar ki aas mein khud ko bhagaya ke nahin

Karne chaley izhaar-e-ishq manzar bhi hai mehboob bhi

Gul o chaman bedaar hain rut ko jagaya ke nahin

Har lamha hai dua yahi hon zakhm sab madoom yeh

Lekin khuda ke vaaste marham lagaya ke nahin

Kitna gumaan tha khud pe yeh humko koi na dha sakey

Iss dard ki aah-zaar ne ASIM rulaya ke nahin!

- Khan M. Asim ... 02/11/2011... 07:05PM!

Utna hi yaad aaiye jitna ke pyaar hai..!


Utna hi yaad aaiye jitna ke pyaar hai

Haan kaun keh raha hai usse intezaar hai

yeh pyaar ki dagar hai andha kuan koi

Kuch door tak hai roshni baaki ghubaar hai

Kya kijiye nadamat ruswaye ishq pe

Iss dillagi pe kisko yahan ikhtiyaar hai

Tu sangdil hai jaana sanam bhi bana liya

Vehshat-zadah se dil pe bandha hisar hai

Mohsin hai lamha lamha uske fareb ka

Jiske asar se hum pe chaaya khumaar hai

Kya bebasi hai dekhiye sitamgar ke vaaste

Ab diljalon mein hota apna shumaar hai

Kyun ro raha hai ASIM rahzan ke vaaste

Pardey mein hai kahani yeh ishtihaar hai!

- Khan M. Asim... 02/11/2011.. 01:35 AM..!