Wednesday, November 02, 2011

Yeh toh bata qaatil mere khanjar uthaya ke nahin!


Har roz hain ghazlein teri har roz teri daastaan

Yeh toh bata qaatil mere khanjar uthaya ke nahin

Tu ne kaha ke pyaar hai hum ne kaha mashkoor hum

Itna bata hum ko sanam dil ko bataya ke nahin

Hai muflisi ka daur tum ladhte raho adwaar se

Hum ko suna ke kya mila unko sunaya ke nahin

Hain waqt ki rang railyaan aur dasht ki khamoshiyan

Tanha safar ki aas mein khud ko bhagaya ke nahin

Karne chaley izhaar-e-ishq manzar bhi hai mehboob bhi

Gul o chaman bedaar hain rut ko jagaya ke nahin

Har lamha hai dua yahi hon zakhm sab madoom yeh

Lekin khuda ke vaaste marham lagaya ke nahin

Kitna gumaan tha khud pe yeh humko koi na dha sakey

Iss dard ki aah-zaar ne ASIM rulaya ke nahin!

- Khan M. Asim ... 02/11/2011... 07:05PM!

No comments: