Saturday, November 12, 2011

Aakhir mudda'a kya hai???


Khamosh din..

Beparwah lamhey..

Aur...

Tang karti tanhayi!

Ik ajeeb si khalish

Ajab si ranjish..

Sukoot maqtal hai

Bazm afsurdah...

Na qaraare qalb hai

Na wujoode khirad

Ek beshauri hai

Ek badgumaani hai...

Raah pur asraar

Aur,

Khaufe rahzan..

Kaisi khud kalaami hai

Kaisi be nizaami hai

Aadmi nadarad hai

Aur

Khuda nihan har sun

Ilm bhi huwaida hai

Zulm bhi huwaida hai

Uspe khud faramoshi

Ek dard gehra!

Kehkashan munawwar hai

Aasmaan munawwar hai

Bargazidah Sultani

Aaj hai andhere mein!

Deen ke ujaale hain

Waqt ke niwaale hain

Aur hum

Siyah dil mein..!

Kaise dil bujha sa hai

Khud se kyun juda sa hai

Baat yeh bata Asim,

Aakhir mudda'a kya hai???

- Khan M. Asim... 12/11/2011.. 4:55PM!

2 comments:

Arpita Sarkar said...

Hmmmm... very nice asim.. baat wahi hai - aakhir mudda kya hai...

All the best !

Asim Khan said...

Jaane kitne dinon ke baad gali mein aaj chaand nikla...

mudda wahi hai...purana...

ishqe nahanjaar aur tawaifon sa dil!