Monday, December 31, 2012

Munfarid Asha'ar..!


Qadar o manzil na mili jab johiriyon ke shaher mein
Hum ne khud ko beich daala kodiyon ke daam mein! Asim

***************************************

Kood jaon dhum se marun
Ek chashme num se marun
Sum se marun bum se marun
Teri zulf-e-khum se marun! Asim

****************************************

Kismat bhi maherbaan hogi, haalaat badal jayenge
Har mausam mein jaaneman hum pyaar ka naghma gayenge! Asim

****************************************

Taareekh ke har baab ko masmaar kiya jaaye
Majnoo ko magar phir bhi giraftaar kiya jaaye! Asim 
Tareekh - History, Baab - chapter, Masmaar - demolish

****************************************

Sang utne bhi sangdil toh nahin
Jitney sangeen mizaaj tere hain! Asim

****************************************

Rang utne bhi rangeen toh nahin
Jitney rangeen mizaaj mere hain! Asim

****************************************

Sab se ruswa hun aur pashemaan khud pe
Mere haalaat mujhe jeene ki ijazat nahin dete! Asim

****************************************

Hindu-Muslim bhai bhai
Qatal karte laaj na aayi
Modi ne talwaar uthayi
Atal bhi langdi chaal chale tab
Abdul Kalam sadar bane jab
Ajab samay hai yeh dosti ka! Asim 
- A few lines of my 2003 poem... Remembering Gujarat riots, politics and Narendra Modi!

******************************************

Bhrihashtachaar badhane ko 
Attiyachaar badhaane ko 
Kya huwa azaad hai Bharat
Balaatkaar badhaane ko??? 
Phoot rahi hai nayi umang 
Aao tum bhi mere sung 
Chal rahi hai aaj bhi 
Aazaadi ki dusri jung! Asim

******************************************

Tere kajal ke ra'd saaye mein
Zindagi phir pukaar leti hai! Asim

******************************************

Phir wahi ik subah
Maili si, kuchaili si! Asim

******************************************

Kya zaroorat hai muskurane ki
Jab aansuon se sukun milta hai! Asim

******************************************

Paon ghiste hi Ismail ke nuzool hua tha zam zam
Dekhte hain kismat mein kya likha hai Asim! Asim

******************************************

Mushkilon ka daur mukhtasir hai
Tumhare hoslon pe munhasir hai! 
Tumhe bas haath se likhna padega
Kaamiyaabi khud hi muntazir hai! Asim

******************************************

Tum khwabon mein chali aana mere aaj ki raat
Aaj ki raat mubarak hai mohabbat ke liye! Asim

*****************************************

Kaise uljhi rehti hai, khamoshi se beithi hai
Zindagi ek sundar ladki bin piya ke rehti hai! Asim

*****************************************

Teri rehmaton pe yaqeen hai tere sab hai ikhtiyaar mein
Haath mein kaasa liye nikle hain phir bazaar mein! Asim 12.12.12!

*****************************************

Bahut beqaraar hun, Khud se faraar hun
Nakamiyon tumhara mausam bahaar hun! Asim

*****************************************

Khud ko rehbar maan liya khud se rehnumai ki
Kutton se hai badtar dekho haalat Asim Bhai ki! Asim

*****************************************

Hazaar logon mein muntakhib karke
Hum ne qismat sanwaar di teri! Asim

*****************************************

Agar mein mar jaon toh muaf kar dena
Yeh nigahein janaab qatil hain! Asim

*****************************************

Huwe iss qadar beparwah lage poojne sanam ko
Na wujoode aabidi hai na sujood bandagana! Asim

*****************************************

Yaad har dum karun usko
Ya Khuda kya kahun usko
Phool shabnam tamam uske hain
Sochta hun junun kahun usko! Asim

*****************************************

Zindagi mein junoon tujh se gehra na tha
Bewafa Tu magar phir bhi mera na tha
Din kahin kho gaya Teri zulmaat mein
Dhundlakon mein kahin bhi sawera na tha...
Hum ne tera junoon darguzar kar Lia
Faasla hum ne kaisa yeh kar Lia! Asim

*****************************************

Tufaili chaand phir maghroor ho raha hai
Tumhare husn se aagaah nahin hai! Asim

*****************************************

Tufaili chaand phir itraa raha hai
Tumhare husn se waqif nahin hai! Asim

*****************************************

Uske honton pe jo mera naam aaya
Jhoomta abr se mausam bahaar aaya! Asim

******************************************

Phir wahi rahat wahi roohani suroor
Uske jalwe se taskeen mili hai dil ko! Asim

******************************************

Tere muntazir hain yeh shab ke afsaaney
Teri umeed khud subah ka sooraj hai! Asim

******************************************

Hum pe tumhara jaadu chadha hai 
Dil mein basey hain sapney tumhare
Tum hi batao ab toh sanam khud
Kaisey jiyenge hum bin tumhare..! Asim

******************************************

Mujhe waeez teri talab nahin
Mujhe charahgar ki talaash hai! Asim

******************************************

Thokaron mein padi hai kismat
Mujhe charahgar ki talaash hai! Asim

******************************************

Najane kitni raaton mein suroor hum pe yeh aaya hai
Aapki har baat se mausam badalte hain yahan! Asim

******************************************

Saath logon ke chala tha jaanibe manzil magar
Dil lagate reh gaye aur caravan chalta bana! Asim :P ;)

******************************************

Tere mein khwab katar dun itna kamzarf nahin
Yeh alag baat hai aasmaan bana hun tera! Asim

******************************************

Sirf alfaaz hi hote toh koi baat na thi
Dil ke arman bhi pinhan the ghazal mein meri! Asim

******************************************

Kahan talak tum jaoge, kahan sada lagaoge
Bichad gaya jo tumse mein na mujhko dhund paoge
Zindagi se roonth kar... maut ki aaghosh mein
Jo so gaya toh mujhko phir tum jaga na paoge! Asim

******************************************

Meethi meethi baaton se behlana woh seekh gayi
Bhool gayi yeh tarze tukhatub hum ne hi sikhlaya tha! Asim

******************************************

Dil teri yaadon mein ik maqbara banjayega
Mumbai bhi dekh le Agra banjayega! Asim

******************************************

Tujhko chahun toh badal sakta hun
Apne ehsaas masal sakta hun! Asim

******************************************

Maut, tu bata kya iradah hai tera
Zindagi se dil oob gaya hai mera! Asim

******************************************

Kashti meri, dariya mera 
Toofanon tum zor laga lo! Asim

******************************************

Hai re qismat ne kya kya na dikhaya hum ko
Arsh waale ne farsh dikhaya hum ko! Asim

******************************************

Imtehaane ishq hai, banda khuda se kya kahey
Mushkilein badhne lagin hain raaste dushwaar hain! Asim

******************************************

Waqte rukhsat qareeb hai zaade raah taiyaar karo
Neik bano, achche se raho, aur pyaar karo..! Asim

******************************************

Teri in yaadon ko kaise mein bhulunga
Tasveeron ko teri houton se chu lunga
Tere hi chahat hai, dil mein nishan tere 
Dil ki sununga mein... dil se hi bolunga! Asim

*******************************************

Teri aankhon se munawwar hain diye jitne hain
Roshni in mein mohabbat ki lagi hai dil se! Asim

*******************************************

Husn waale ek baat bata
Ishq na hota toh kya hota! Asim

*******************************************

Ik laher hai samandar ka jigar chaak kiye, 
Tere hote bhi na mil paaye hum khaak jiye! Asim

*******************************************

Hum se roshan hain zamane mein sabhi deep tere
Hum na hongey toh phir kaisi yeh diwali hogi! 
Dekh in aankhon mein jalte hain diye yaadon ke teri
Tujh se har saans teri, meri hi sawaali hogi! Asim 
Happy Diwali :)

*******************************************

Yun toh qismat hi tamasha hai magar yaar mere
Tum adakaari mein ho ustaad mere! Asim

*******************************************

Aye zindagi tu suraab hai
Tera purza purza kharab hai! Asim

*******************************************

Lagi hai dil mein yeh aag kaisi
Kyun shaam guzri bahale hijraan! Asim

*******************************************

Jism pal-kar jawaan hota hai
Ruh thak kar jawaan hoti hai! Asim

*******************************************

Dil kehta hai marr jaon
Phir naam tera le leta hun! Asim

*******************************************

Ab mein itna bura bhi nahin
Ke kisi ke salaam ko tarsun
Baat karne ko mein hi kafi hun
Kyun kisi se kalaam ko tarsun! Asim

*******************************************

Khoobsoorti ki shaan hai bitya
Apne Daddy ki jaan hai bitya! Asim

*******************************************

Zindagi bhar fariyaad karte hain
Baad marne ke yaad karte hain! Asim

*******************************************

Woh toh behis hai, nahin samjhega dard ko tere
Apni fitrat ko badal ke badal de na woh saathi apna! Asim

*******************************************
Baat dil ki hai toh dil se hi kahunga
Tum apne khayalon mein humko bhi jagah do! Asim

********************************************

Khudaya kuch toh hal dede meri iss badnaseebi ka
Dher saara zar dede, ya mujhko kuch fahem dede! Asim 

Oh God! provide some solution to my misfortune
Give enormous wealth or confer me some wisdom! Asim

********************************************

Meethe khwabon ko dikhakar ke jagaya tu ne
Waah ri duniya, surabi duniya, farebi duniya! Asim

********************************************

Arsa huwa subah ka nazarah kiye huwe
Suraj meri taqdeer ka hai maand pad gaya! Asim

********************************************

Koi kaam ho toh bata zara
Warna kar de zahid bayan band! Asim

********************************************

Here Ends the year 2012 friends.... Luckily on 28th December I joined Channel One / Lemon TV News as Output Head... So a bad year finally ended with a smile! 

Sunday, December 23, 2012

Pehle tu khud badal apne mizaaj ko..!


Mein nahin maanta tere ahtejaaj ko
Pehle tu khud badal apne mizaaj ko!

Ji shaher mein ismat beti ki na rahe
Hasti se hi mita do aise samaaj ko!

Qawamiyat tumhari nazuk kalai par bas
Dariya mein gharq kar do apne rivaaj ko!

Raaton se bhi siyah kartut yeh tumhari
Ugne mein sharam aaye jin se siraaj ko!

Har ek ko yahan hai apna mufaad pyara
Paani pila rahe sab andheron ke raaj ko!

Qanoon shikni dekho qanoon-daan ke haathon
Kandha zara sa dedo laghar, mohtaaj ko!

Humein sach bata raha hai itni majaal iski
Paththar se tod daalo Asim zujaaj ko!

- Khan M. Asim...23/12/2012... 01:23 AM!

Saturday, December 22, 2012

Kabhi phoolon se pucho tum..!


Kabhi phoolon se pucho tum qayamat kis ko kehte hain
Tumhare haath mein aa kar, tumhara naam le lenge
Kabhi phoolon se pucho tum ke khushbu kis ko kehte hain
Tumhari saans mein ghul kar, tumhara naam lelenge!

Ho dariya ki ravaani tum, chaman ki gul-fishani tum
Tum hi sehra ki chahat ho, pyaase dil ko paani tum 
Tumhari aas mein beithe tumhara naam japte hain
Hamarai kaamraani tum, wujoode zindagani tum 
Kabhi moti se pucho tum nayaabii kis ko kehte hain
Tumhari aankh se gir kar tumhara naam le lenge!

Tumhara har taraf jalwa tum ladki khuwabi ho
Tumhari deed kar le jo woh bin piye sharabi ho
Tum hi se rang mehfil mein tum mausam gulabi ho
Sawali dil hamara aur faqat tum hi jawabi ho
Kabhi sub-hon se poocho tum ujala kis ko kehte hain 
Hata kar zulf chehre se, tumhara naam le lenge!

- Khan M. Asim... 22/12/2012... 12:50 AM!

Thursday, December 20, 2012

Zindagi ke pehlu mein saans lena mushkil hai..!


Jo marze maut lahaq hai aaj kyun na aa jaye
Zindagi ke pehlu mein saans lena mushkil hai!

Kya kahun sanam tujhse yeh ajab fasana hai
Guftugu toh hoti hai, baat kehna mushkil hai!

Muflisi mein aaye hain, jeib mein na dana hai 
Naukri bahut hain par kaam milna mushkil hai!

Hai ajab jahaan tera, masnui hai yaaraana
Haath sab milaate hain, dil milana mushkil hai!

Zakhm bas miley hum ko haan wafa ki raahon mein 
Dard dil mein uthta hai aur sehna mushkil hai! 

Shehsawari sab apni, aagayi thikaaney par
Saamne bhi hote hain aur ladna mushkil hai!

Maghroor haan bahut the hum qaid jab kiya tu ne
Par qafas mein ab tere saath rehna mushkil hai! 

Aatishi tere jumley, jal chukey hain hum kab ke 
Hai! dil ke chaalon ka izhaar karna mushkil hai!

Kya kahein isey ASIM, khel hai yeh kismat ka
Zindagi se roonthe hain aur marna mushkil hai!

- Khan M. Asim... 20/12/2012... 01:20 PM!

Monday, December 17, 2012

Nazar milate hi shaakhe gul se..!


Nazar milate hi shaakhe gul se
Hamare charche bade huwe hain

Unhein hai vehshat humein hai uljhan
Kyun log peeche pade huwe hain

Zara si dedo zakaat dil ki
Muadabana khade huwe hain

Kabhi toh aake pukaar lo tum
Tumhare dar pe pade huwe hain

Tum hi se milta nasha hai saara
Haan jaam saare adey huwe hain

Tumhari hasti hai koh-e-noori
Tum hi mein heere jadey huwe hain

Tumhari nazron se aake saare
Yeh teer dil mein gadey huwe hain

Tumhari hogi bas kaamiyaabi
Sitaare tum pe chadhey huwe hain

Humein hai kiska haan khauf ASIM
Peiron pe khud khade huwe hain! 

Khan M. Asim... 17/12/2012... 01:45 PM!

Saturday, December 15, 2012

Tooti hui deewar tha, tum ne bacha liya..!


Tooti hui deewar tha, tum ne bacha liya
Kaisa yeh dard dil mein tum ne basa liya! 

Tum ne nigaah mila ke baahon mein bhar liya
Chanda ne apne saath mein hum ko bitha liya!

Sehra ko dekho tum ne gulshan bana liya
Palkon ki junbishon ne jaadu jaga liya!

Tum ne yun bekason pe apni kari inayat
Jab mushkilon mein dekha dil se laga liya!

Hum ko wafa mili tum the wafa shanas
Roothe huwe sanam ko tum ne mana liya! 

Dil ko hamarey uss ne dekho chura liya
Asim haan uss ne hum ko apna bana liya!

- Khan M. Asim... 15/12/2012... 02:18 AM!

Sunday, December 09, 2012

Hui ranjishein huwaida..!


Hui ranjishein huwaida, hua saaf sara manzar
Jinhein dost keh rahe the lage aastin se dasne!

Jo shihaab koi toota, hua charkh muzmahil sa
Shab-khun hua jo dil pe lage dard saare basne!

Kahan sirate mustaqeemi,kahan manzilon ko raahein 
Mujhe mushkilon mein pa kar lage raaste bhi bachne!

Tujhe ishq gar hai mujhse kabhi daulaton mein milna
Kahan muflisi mein aa kar lage nain tere thagne!

Kabhi ghum jo timtimaya, hui aas dafne turbat
Mere saath saath jugnu lage raat saari jagne!

Na hi aarzoo koi thi, na khuwahish-e-Muwajah 
Haan tera khayal pa kar lage khwab hum bhi rakhne!

Thi fateh qaleel arsa, hua naam jo hamara 
Meri shohraton se jal kar laga shor jug mein machne!

Socha toh yeh bahut tha, paayenge sar-bulandi
Jahan aasmaan ko dekha lage hum zamin mein dhansne!

Tum se kaha kabhi jo, ahad-e-wafa karenge
Lamhe yun hijr ke phir humein aagaye parakhne!

Bade nakhuda bane the, khudi gharq kar di kashti
Hum aap hi pe ASIM lage aaj dekho hansne! Asim 

- Khan M. Asim... 09/12/2012... 03:07 AM!

Words-Meanings:
Ranjishein - strained relations, 
Huwaida - evident
aastin - sleeves
Dasne - biting
Shihaab - meteor
Charkh - Sky
Muzmahil - fatigued
Shab-khun - sniping, night attack (war strategy to attack in darkness)
Sirat- Path
Mustaqeemi - straight
Muflisi - poverty
Thagne - to rob
timtimana - twinkled 
Aas - hope
Dafn - Buried 
Turbat - grave
Jugnu - firefly
Jagne - awakened
khuwahish-e-Muwajah - Desire to confront
Muwajah - face to face
Fateh - Victory
Qaleel - Little, short
Arsa - span
Shohrat - fame
Shor - Noise
Jug - World 
Sar-Bulandi - Eminence, Exaltation 
Dhasna - to sink
Ahad-e-wafa - promise of love
Lamhe - Moments 
Hijr - Separation from beloved
Parakhne - testify 
Nakhuda - Sailor 
Khudi - Self 
Gharq - Drowned 
Kashti - boat
Hansna - to Laugh!

Saturday, December 01, 2012

Khuda jaane ke majra kya hai..!


Alal saher jo dard uthta hai
Khuda jaane ke majra kya hai

Bahut talash kari magar nahin milti
Dard-e-dil ki dawa kya hai

Junun mein hosh nahin apne hone ka
Junun magar nahin pata kya hai

Roz fursat se aah bharte hain
Kaam hum ko bata kya hai

Badi hi khoob di zindagi tu ne
Ab toh keh de kaza kya hai

Chand asha'r aur keh denge
Aur hum mein rakha kya hai

Itna aasaan nahin hai sach kehna
Humko maloom hai saza kya hai

Khoob ASIM hua hai istehsaal
Koi puchey ke ab raza kya hai!

- Khan M. Asim... 01/12/2012... 12:40 PM!

Monday, November 26, 2012

Kaisey jiyenge hum bin tumhare..!


Hum pe tumhara jaadu chadha hai 
Dil mein basey hain sapney tumhare
Tum hi batao ab toh sanam khud
Kaisey jiyenge hum bin tumhare..!

Yeh hum pe sitam hai jo hum se khafa ho
Haan ab karz dil ka yeh kaise adaa ho 
Jo tum hum se roothe nazara bhi rootha
Haan kaisey batao baharaan fiza ho
Haan hoti hai uljhan humein bin tumhare
Tum hi batao ab toh sanam khud
Kaisey jiyenge hum bin tumhare..!

Woh zulfon ki chaadar sukun dene waali
Woh aankhein tumhari junun dene waali
Kahan kho gayi woh adaon ki bijli
Woh baatein tumhari mein hun kehne waali
Zara saaz dil ka sanam tum bhi chedo
Kahan tak chalenge hum bin tumhare
Tum hi batao ab toh sanam khud
Kaisey jiyenge hum bin tumhare..!

Hum pe tumhara jaadu chadha hai 
Dil mein basey hain sapney tumhare
Tum hi batao ab toh sanam khud
Kaisey jiyenge hum bin tumhare..! Asim 

- Khan M Asim... 26/11/2012... 04:54 PM!

Saturday, November 24, 2012

Hum jis se mohabbat karte hain, sirf mohabbat karte hain..!


Hum jis se mohabbat karte hain, sirf mohabbat karte hain
Aur jis se adavat hoti hai, sirf adavat karte hain

Anjaame mohabbat kya hoga yeh socha nahin jab dekha tumhe
Mehshar bhi yahin pe aa pahuncha, ab khauf, nadamat karte hain

Qatil bhi tumhi, munsif bhi tumhi, sarkar bhi tum hakim bhi tumhi
Hum kitne juraim kar beithe, iqbaale adalat karte hain

Ab tak jo haqeeqat lagte the woh saare fasaane kho beithe
Hum jaante hain mit jaayenge, hum phir bhi baghavat karte hain

Ik jung chidi hai seene mein, hai aag lagi sharyaanon mein
Ik marge takhaiyyul hai hum ko, alfaaz muzahmat karte hain

Yeh kaisi khudayi hai teri, ASIM jo pareshaan beithe hain
Sajde bhi kiye, roye bhi bahut, hum phir bhi ibadat karte hain!

- Khan M. Asim... 24/11/2012... 12:24 PM!

Ishq mein kitna bata khud ko tazleel karun..!


Ishq mein kitna bata khud ko tazleel karun
Ab kya tere liye khud ko tabdeel karun

Waqt naaqis hai yeh tu toh sab jaanti hai 
Aur mein kis se bayaan dil ki tafseel karun

Jis se manzar ho hasin chaman ho gulzaar
Tu hi tarkeeb bata jis se tashkeel karun

Hum ne socha hai jinhen hum ne sincha hai jinehin
Jo bhi dekhe hain khawaab kaise takmeel karun

Tujhko mana hai falak tujhko mana hai zamin
Aur kya shey mein bhala tujhse tamseel karun

Tera payaam nahin, muntazir, jaag raha 
Aur mein shab ko isse kitni tatweel karun

Chand qatre hi sahi Asim behne de inhein
Hukum jo dil ne diya uski ta'meel karun!

- Khan M. Asim... 24/11/2012... 01:13 AM!

Tuesday, November 20, 2012

Tujhko chahun toh badal sakta hun..!


Tujhko chahun toh badal sakta hun
Apne ehsaas masal sakta hun! 

Tum laga lo atraaf mein pehre apne
Mein bhi toofaan mein dhal sakta hun! 

Nafrat ke sholon ko Zara door karo
Mein bhi barood hun jal sakta hun! 

In alfaaz ke saanpon pe maghroor na ho
Mein bhi ajgar hun nigal sakta hun!

Gar hai vanvaas ki soorat hi tamasha apna
Mein bhi ASIM hun sanbhal sakta hun! 

- Khan M. Asim... 19/11/2012... 11:00 PM!

Sunday, November 18, 2012

Jab se tum se pyaar hua hai..!

Jab se tum se pyaar hua hai
Chanda pehredaar hua hai
Taak rahe hain tumko taare 
Aur anbar baazaar hua hai
Doob gaye woh tanha lamhe
Apna bedha paar hua hai
Kaliyan mehki phool hain banke
Dil jungle gulzaar hua hai
Raat khwabon mein hain mehfil
Aur mausam bedaar hua hai
Tum hi ho bas dil ki guzarish
Tumhara hi bemaar hua hai
Saari khabrein bhool gaye hum
Dil tera akhbaar hua hai
Bhool gaye hum sarhad apni
Dil pe gola baar hua hai
Aur kahey kya Asim tumse
Tumhara intezaar hua hai!
- Khan M. Asim... 18/11/2012... 10:10 PM!

Saturday, November 17, 2012

Aaoge kab tum sanam..!

Raat bhar jaage rahe
Nind aankhon se gayi
Tarsein hain jalwe ko hum
Aaoge kab tum sanam..!

Chaandni chup hai gayi
Hai hawa tham si gayi
Aah honton pe mere
Chaah saanson mein liye
Lamhe kyun bikhre hain yeh  
Beithe kyun tanha hain hum
Tarsein hain jalwe ko hum
Aaoge kab tum sanam..!

Naqsh qatil hain tere
Naina hain chor koi
Noor maathe pe tere
Zulfein hain mor koi
Sard raaton mein sanam
Beithe hain yunhi be-dum
Tarsein hain jalwe ko hum
Aaoge kab tum sanam..!

Armaan hai dil ka yahi
Baahon mein Teri rahein
Tujhko aankhon se chuyein
Zaanon pe Teri marein
Ik ishaare pe sanam
De denge jaan bhi yeh hum
Tarsein hain jalwe ko hum
Aaoge kab tum sanam..!

- Khan M. Asim... 17/11/2012... 03:20 AM... Well this is 102 poem am posting on this blog in the year 2012..!

Wednesday, November 14, 2012

Husn aur Ishq


Yeh tera husn yeh zaibaish

Har khayaal ki karte hain aazmaish,

Na jaane kitne raaz hain,

Na jaane kitni baatein,

Aa ja ke....

Iss lamhe ko mukammal kar dein

Sahar-angez nazron se,

Nichod le meri saanson ko

Tadapti aah mein baarood bhar de,

Abhi na jaa ke baat baaqi hai

Tu hi sharaab tu hi saaqi hai

Yeh subah ki kirnein,

Yeh angoori jism,

Yeh mushk se khayaal,

Kisi raat ki aakhri paher se kum toh nahin?

Aa jaa ke...

Yeh heejaan,

Kasrat kisi dawa ki nahin...

Yeh sarapa tu hai

mein hun!

Sirf,

Husn aur ishq hain!

- Khan M. Asim...16/11/2010...11:00 AM..!

Happy Birthday Arpi!

Aaj bhi...

Jab tum muskurati ho,

Mere dil mein wahi tarang uthti hai

Jo hamari pehli mulaqaat mein thi...

Wahi aarzoo machalti hai

Wahi tishnagi tadapti hai

Wahi bekhudi jagi si hai

Wahi kuhane meikashi si hai

Andaaze bayaan ke,

Qaatil Talatum..!

Alfaaz ke mado jazr

Kisi shua si,

Barq si nazrein,

Nazuki adaon ki

Saadgi nigahon ki,

Wahi justuju ubharti hai...

Dil kehta hai,

Be-adab hojaon,

Ulat dun sabhi naqaab

Sharam o haya ke,

Tumhara naam sab jagah likh dun...

Arsh ko paimana banaon

Farsh ko meikhana banaon

Jhumun, naachun,

Geet gaon!

Kehne ko ab pachchees ki ho,

Mere liye to bachchi hi ho...

Ik shagufta hoti kali

Jisey abhi mahekna hai

Ek ubharta hua sitara

Jisey abhi chamakna hai

Iss jahan ko,

Zulmaat se roshan karna hai...

Mujhe achcha nahin lagta

Yeh tumhara udaas,

Bejaan sa chehra,

Yeh kaanpta hosla,

Yeh sahemta josh...

Waqt ko dikhayenge,

Haar hum na maanenge,

Abhi bahut faasley hain,

Manzil meelon door hai,

Taweel safar hai,

Aur,

Mein humsafar!

Yeh din...

Sange meel hai

Aur basharat kaamiyaabi ki..!

Tum ko mubarak din yeh

Dil se hazaar baar,

Dekho tumhari khaatir

Kya kya na laaya hai...

Tumhari umare fardaan ka parwana laaya hai

Zohra, Qamar, Atarud nazrana laaya hai

Jaam khud tum hi ho meikhana laaya hai

Sachchi mohabbaton ka afsana laaya hai..!

Jo dil mein aaye hum ko sadqae ishq dena

Ab toh huzoor aap ka zamana aaya hai

ASIM hua hai saail phirta hai dar-badar

Dekho tumhare dar pe diwaana aaya hai!

Dil se mubarakein

Aur sad-ha hazaar khushiyan,

Aye meri achchi Arpi,

Aye meri pyaari Arpi,

Tum khush raho hamesha,

Saalgirah mubarak!

- Khan M. Asim... 02/01/2012... Happy 25th Birthday Arpi :)



Janam-din mubarak ho sarkar ji!



Bade hi niraale qalamkaar ji

Janam-din mubarak ho sarkar ji

Hamari Ghazal tum hamara fasana

Tum hi ho hamare kalakaar ji 

Bade hi niraale qalamkaar ji

Janam-din mubarak ho sarkar ji!

Yeh aankhon ka kaajal, yeh zulfon ka baadal

Wahan tum ne dekha yahan hum hain ghayal

Yeh gaalon ki narmi, yeh hirni si khushboo

Tum hi apsara ho hain hum iske qayal

Yeh dil bas tumhara talabgaar ji

Bade hi niraale qalamkaar ji

Janam-din mubarak ho sarkar ji!

Atarud, yeh zehra, yeh mirreekh tum se

Mohabbat ki duniya ki taareekh tum se

Yeh jannat tum hi ho, jahannam yeh tum bin

Hai duniya o aalam ki har meekh tum se

Tum hi se sitarah chamakdaar ji

Bade hi niraale qalamkaar ji

Janam-din mubarak ho sarkar ji!

Krishan ki murli, ho Durga ki shakti

Tum hi mein jhalakti hai Meera ki bhakti

Woh ban mein bhatakne ki Seeta si seerat

Bane paon chaale na phir bhi hai thakti

Tum hi to ho Radha ka avtaar ji

Bade hi niraale qalamkaar ji

Janam-din mubarak ho sarkar ji!

Tumhein kya batayein ke kitna hai pyaar

Khushiyaan tum hi ho, tum hi ho bahaar

Yeh mausam tumhare sabhi hain ghulam

Tarasti hain tumko yeh simtein chahaar

Tum hi ho hamara haan sansaar ji

Bade hi niraale qalamkaar ji

Janam-din mubarak ho sarkar ji!

- Khan M. Asim...02/01/2011...03:40PM... I love you... Muaah...For my one and only Arpita Sarkar! 

Teri in yaadon ko kaise mein bhulunga..!


Teri in yaadon ko kaise mein bhulunga
Tasveeron ko teri houton se chu lunga
Tere hi chahat hai, dil mein nishan tere 
Dil ki sununga mein... dil se hi bolunga!

Teri mahek se jawaan yeh phool saare hain
Tujh se chamakte hain, jitne sitaare hain
Raatein hain zulfein teri, tu hai subah meri
Teri adaa se lagein... jitne nazzaare hain....
Chahta hun tujhko sanam tujh se hi bolunga
Dil ki sununga mein... dil se hi bolunga! 
Khan M. Asim... 14/11/2012... 03:13 PM!

Monday, November 12, 2012

Uss ke sar ka taaj hun mein..!


Uss ke sar ka taaj hun mein
Aur kitna mohtaaj hun mein

Jeeti baazi haar raha hun
Nakaam-e-meraaj hun mein! 

Ek baghavat mann ke andar
Khud ka ahtejaaj hun mein!

Noor kia hai kab ka rohlat
Kehne ko siraaj hun mein!

Ulta seedha sab hai barabar
Bedhanga rivaaj hun mein! 

Kis ko sunaon dil ka dukhda
Nakarah be-kaaj hun mein!

Har mausam mein rota hai jo
Asim woh mizaaj hun mein! 

Khan M. Asim... 12/11/2012... 07:50 PM!

Saturday, November 10, 2012

Baat haathon se nikalne lagi hai..!

Baat haathon se nikalne lagi hai
Ab toh tanhayi bhi khalne lagi hai

Pehle mussavir hi pareshan tha magar
Ab toh tasveer bhi bikharne lagi hai

Sard raaton ki gulabi kahin sard hui
Hijr naagin si koi dasne lagi hai 

Ek toh yaad teri uspe fariyaad teri
Ab toh qismat bhi mukarne lagi hai

Badnaam the naam toh raha kuch din 
Ab toh ruswai bhi dhalne lagi hai

Kyun na hoga dard bhi sitaaron ko
Chaandni jo raat se jalne lagi hai

Jahan se rasta dushwariyon ka aata hai
Umr us muqaam se guzarne lagi hai

Itna bhi harasaan Asim na-munasib
Taqdeer aasmaan se utarne lagi hai! 

- Khan M. Asim ... 10/11/12... 02:41 AM..!

Tuesday, October 30, 2012

Unhi mein shumaar tum bhi ho..!

Ghaltiyan beshumaar ki hum ne
Unhi mein shumaar tum bhi ho!

Yeh mana ke khwaab hum ne buna

Kuch khatakaar tum bhi ho!

Khud se bachne ki toh mein rehna

Kahin pe faraar tum bhi ho!

Khud ko dekha nigah mein marte

Haan hamara mazaar tum bhi ho! 

Hum na bolein toh chedti tum ho

Aadaton ki shikaar tum bhi ho! 

Kis pe khologi raaz yeh dil ke

Der shab ki pukaar tum bhi ho! 

Un pe ASIM khumaar hai tum se

Bekasoun ka qaraar tum bhi ho!

- Khan M. Asim... 30/10/2012... 05:10 PM!

Monday, October 29, 2012

Munfarid Asha'r..!


Koi kaam ho toh bata zara
Warna kar de zahid bayan band! Asim

***************************


Saare mausam pheeke hain tehwaron mein noor nahin

Kehne ko sab kuch hai lekin phir bhi hum masroor nahin! Asim

***************************


Zindagi se hairaan hun doosra janam dedo

Mut karo Mohabbat par thoda pyaar kum dedo! Asim

***************************


Mein jab bhi aainey se baat karta hun

Mera hi aks puche hai tera mujhse kya rishta hai! Asim

***************************


Apna mizaj shaher ke qaabil nahin raha

Mehnat ka tukda tukda haasil nahin raha
Muddat se koshishein ki Asim magar hua kya
Karne chale the ishq lekin dil nahin raha! Asim

****************************


Yeh gesuon ke hazaar jharne

Kisi ki ulfat ki daastaan hain! Asim

****************************


Raat ko nind nahin, din ko chain nahin 

Agar yeh cheez mohabbat hai tumhe Mubarak ho! Asim

****************************


Hua hum pe ulfat mein itna karam 

Na padhayi hui, na soye hi hum! Asim... 
Totally inspired from Na khuda hi mila na visale sanam... :)

****************************


Tamasha aap hi pazeib se mansub hota hai

Gar zoq khud parasti pe aake raqs kare! Asim

****************************


Samandar haath mein lekar muskurate hain

Hum unko dekhte hain, doob jaate hain! Asim

****************************


Dil doobta hai aur nahin tinke ka humko aasra

Masnui duniya hai yeh, masnui ehbaab hain! Asim

The heart is drowning, I have nothing to bank upon

Its artificial world, artificial friends..! Asim

****************************


Baat toh hai yeh sahi tumse khafa hain thode

Muskura denge, aakar ke mana lo hum ko! Asim

*****************************


Theek kaha haar gaye, aur bacha kya hum mein

Meri nawa, meri sada kitni pareshan hogi
Khoob sataya hai aur sata ley mujh ko
Zindagi ik roz tu bhi toh pasheman hogi! Asim

******************************


Dekho meri bas ik mehbooba hai

Naam uss ka haan Arpita Hai
Jab se hai dekha uss mehjabeen ko
Dil yeh mera bas uss pe fida hai! Asim

******************************


Masoom nigahon mein kuch khwaab muqayyad hain

Kuch tum se hain wabasta, kuch apna fasana hai! Asim

******************************


Inn saade waraqon mein tafseel bhi afshan hai

Kuch raaz bhi pinhan hain kuch haal bhi uryan hai! Asim

******************************


Dil yeh banjar, ujaad, sookha hai

Abar hum se Zara khafa se hain! Asim

******************************


Daridah mein, darindah sift tha woh

Zamane ki mukammal khisht tha woh
Woh khwabon ko bhi aksar nochta tha
Haan Asim bas nakame zeest tha woh! Asim

******************************


Ab koi mausam suhana nahin lagta

Ishq bhi humko diwana nahin lagta! Asim

******************************


Neem khwabidah nigah tere ruskhsaar ka aangan

Chaman kahun ya gulon ko tera aseer kahun! Asim

******************************


Itni bhi usse tameez nahin

Jise pyaar Kia usse yaad kare! Asim

******************************


Tum ko yaqeen na hoga, humein aitbaar

Phir bhi yahi kahenge humein tum se pyaar hai! Asim

******************************


Mein kehta tha sooraj hun lekin dekho doob gaya

Chanda apni zaat nahin, aur koi awqaat nahin! Asim

*******************************


Ghulamon ko yeh aazaadi na pehle Thi na ab hogi

Faqat tumko yeh haq hai bas Jo bologe woh sun lenge! Asim

*******************************


Mein bhi suraj hun roshni dunga

Tawaaf tum bhi aake karo mera! Asim

*******************************


Khud se juda hone laga hun

Mein bewafa hone laga hun! Asim

*******************************


Duniya sooni viraan hai iss bin

Iss zamaane ki jaan hai Justin
Iss zamaane ka naam hai Theodore 
Baadshaahi ki shaan hai Justin! Asim

*******************************


Kitna manoos hun tujhse kya bataon tujhko

Yeh teri hayaat faani, mera ishq javedaani! ASIM

*******************************


Koi haar jaaye na jeevan ki baazi

Bahut muskura ke na dekho aaina! Asim

*******************************


Chale jao, ke ab nahin laut ke aana

Mera aitbaar khatm mera intezaar khatam ! Asim

*******************************


Kuch na kehna koi ilaaj nahin

Aur Jo keh dun to aag lag jaaye! Asim

*******************************


Apni misaal aap hun apne Jamaal ki

Iss daure bezarar mein hun hasti kamaal ki! Asim

*******************************


Koi dil wala kya baat karega

Aapka husn hi har baat kahega! Asim

*******************************


Kabhi guftaar ghalib se kabhi irshad hum se hai

Khudaya karm kar kuch toh woh qaatil shaira bhi hai! Asim

*******************************


Bachche bade hojayein to ghar ko chod dete hain

Mohabbat badi hojaye to duniya chod dete hain..! Asim

********************************


Nigah kaisi Jo doobi ho kisi ki shaam o saahil mein

waqt hi patwaar hai faqt ishq gazidon ki! Asim

********************************


Tod diye hain sooraj meine jab bhi dekha ghoor ke unko 

Taab kahan se laate woh bhi in purnoor khayalon ki! Asim

********************************


Aasmaan pe asar la rahi hain dua

Barasta hua megh hai keh raha
Dekho ramzaan ki rahmaton ka nuzool
Pyaasi dharti ko Rabb aab hai de raha! Asim

*********************************


Kisey fursat hai Asim hum se baat karne ki

Sabhi ke kaam chalte hain karobaar waale hain! Asim

*********************************


Itne roshan hain khwab ke manzar mere

Mustaqil taak mein phirta hai sooraj meri! Asim

*********************************


Khudaya kya ghazab hai woh yun tadpaye jaata hai 

Kabhi aankhein dikhata hai kabhi sharmaye jaata hai! Asim

**********************************


Kaha rozey se meine... zara sa sabr kar

Abhi mehboob aaya hai zara deedar karne de! Asim

**********************************


Itni soorat banayi hain us ne

Salam ko woh teer kehta hai! Asim

***********************************


Mustaqil khwaab hai koi

Zindagi kahan gayi hai tu? Asim

***********************************


Ilm-e-nujoom seekh kar ishq karna chahiye

Hain sitaare kehte kuch aur wafa kuch aur hai! Asim

***********************************