Wednesday, August 31, 2011

EiD MuBaRaK..!

Mushkil safar mein aaya hai lekar ke pal saeed

Khush aamdeed khush aamdeed mahtaabe Eid

Sab ko mubaarak doston khushiyaan hazaarha

Rasmey qadeem yeh hai par andaaz hai jadid! ASIM



For Mobile users:

Mobile hai Eilchi daure jadeed ka

Mubarak ho aapko mauka yeh Eid ka! ASIM

Tuesday, August 30, 2011

Natija kyun kharab hai..!


Yeh humein yaqeen hai diya sahi jawaab hai

Mehnaton ke baad bhi natija kyun kharab hai

Kyun dard ka nuzool hai, sochna fuzool hai

Kya yeh meri saza hai rabb ya tera azaab hai

Kaisi kya khataa hui tu hi yeh bata mujhe

Bakhsh dena tu mujhe gar koi sawaab hai

Nakamiyan hain seh rahe jaane kitne daur se

Manzilon ko paana ab toh goya ek khwaab hai

Saare manzar beh rahe aur nasheman dheh rahe

Yeh zindagi ab kuch nahin haqiqatan hubaab hai

Na peene ko sharaab hai na gham ka hi hisaab hai

Chupa ley apne rukh ko tu gar koi naqaab hai

Ajab sa yeh naseeb hai, hunar mujhe siyaah mila

Jo kuch nahin unhein diya kyun tu ne aaftaab hai

Kaisa yeh usool hai, ajab teri misaal hai

Kisi ko bakhshi izzatein kisi ko tu khitaab hai

Ab koi samar nahin, hain aasmaan ke baab band

Pi ja ASIM aaj tu, jo tera utaab hai!

- Khan M. Asim... 29/08/2011... 11:17PM!

Saturday, August 27, 2011

Koi ghazal koi rubai ban jao


Koi ghazal koi rubai ban jao

Bemaar dil ki dawai ban jao

Khamosh lab hain zuban nagufta

Tajassuson ki goyai ban jao

Adam se tere wujood hai duba

Pastiyon ko tarai ban jao

Humin thehro humin se pyar karo

Mehfilon se parai ban jao

Geeli geeli yeh dard ki raatein

Garam koi razai ban jao

Naam lelein toh jahaan mehke

Lafz koi du-ai ban jao

Kis ko rehna hai khushnuma bankar

Behaya ab burai ban jao

Hum ko aate khayaal aawara

Tasavuron mein ladai ban jao

Tumko chu lein sawaab ho hum pe

Nekiyon ki adaai ban jao

Aur kitne gunah karo ASIM

Ab khaif khudai ban jao!

Khan M. Asim...22/08/2011... 9:32PM!

Friday, August 26, 2011

Watan mein yun siyasat ho rahi hai


Watan mein yun siyasat ho rahi hai

Kafan ki bhi tijarat ho rahi hai

Kisey dein dil yahan par tu bata

Amaanat me khayaanat ho rahi hai

Tum hi ho chaand suraj phool tum

Fasahat aur balaghat ho rahi hai

Qawi ho aur daulat, martaba,

Khazanon ki hi chaahat ho rahi hai

Ameeron ke liye hai sab yahaan

Gharibon se karahat ho rahi hai

Bana lein desh apna hum alag

Shaher mein phir baghavat ho rahi hai

Hain aate dekhne woh laash bas

Kahan kaisi saiyaahat ho rahi hai

Kufr phir aaj ghalib ho raha hai

Khatam imaan ki taaqat ho rahi hai

Chubhe hain teer itne bhai ke

Na zakhmon ki jarrahat ho rahi hai

Huwa yun bol baala jhoot ka

Sachchai ab kahavat ho rahi hai

Hui sab hain wazarat feel-pa

Hukumat ab mahavat ho rahi hai

Farishton mein yeh baatein ho rahi hain

Ke insaan pe hiqarat ho rahi hai

Haan chodo baatein dil ki aaj tum

Rafiqon mein raqabat ho rahi hai

Haan kaaton ki parastish ho rahi hai

Mohabbat ki shikayat ho rahi hai

Aa ASIM qatal kar dein khud ka hum

Ke khud se ab adavat ho rahi hai!

- Khan M. Asim... 25/08/2011... 1:55PM... Train!

Thursday, August 25, 2011

Ho ranaganchi devi!


Me nisarg firun aala

Maza rup hirwa zala

Me raan pathla sagda

Maza hridey pivda zala

Pan tujha saarkhi koni naahi

Ho ranaganchi devi!

Tujha saarkhi koni naahi

Ho ranaganchi devi!

Anbar dongar sagde gela

Chanda gheun aala

Megha varun gela

Aani paus piun aala

Jagache sagde fula barobar

Tuza baddal naahi

Tujha saarkhi koni naahi

Ho ranaganchi devi!

Tu ich maazi puja bhakti

Tu ich maazi shakti

Tu ich aahe aas jagachi

Tu ich aahe yukti

Sant, peer kuna barobar

Tuza uttar naahin

Tujha saarkhi koni naahi

Ho ranaganchi devi!

- Khan M. Asim... 25/08/2011... 7:44PM!
As I said yesterday, tried to write a marathi song, please forgive for mistakes, its my fast ever Marathi poetic writing trial!

Bas mere hi saath khelo!


Yeh jawaani meri tum lelo

Zindagaani meri tum lelo

Saathe dedo bas tum mera

Bas mere hi saath khelo!

Aasmaan mein jal rahe hain

Jaane kitne hi diye,

Muntazir hain hum bhi tere

Charaagh chaahat ke liye

Baat dil ki maan lo tum

Chaahe saare jugnu lelo

Saathe dedo bas tum mera

Bas mere hi saath khelo!

Thokarein kyun kha rahe hum

Kyun mile na kaamiyaabi

Jeet lenge hum jahaan ko

Gar teri ho baaziyaabi

Ek apna aks dedo

Chaahe meri khushiyaan lelo

Saathe dedo bas tum mera

Bas mere hi saath khelo!

Khidkiyon mein kyun chupein hum

Kyun na hum hon rubaru

Dubadu hum dono beithein

Aur karein kuch guftugu

Faaslon ko tum hata do

Mere saare lamhe lelo

Saathe dedo bas tum mera

Bas mere hi saath khelo!

- Khan M. Asim..24/08/2011... 11:08PM!


Sunday, August 21, 2011

Tarhai Ghazal!

"Parindon ki duniya ka darevesh hun mein

Ke shaahin banaata nahin aashiyana!"

Thanks to Nadir Aziz Bhai and our poetic interaction.

***********************************

Haseenon ki duniya mein ab tum na jaana

ke unka sitam hai bada qaatilana

Aise bharam mein kabhi tum na aana

Ke mushkil bada hai tilism-e-zanana

Laila ki baaton mein Majnu yun dooba

Kabhi tha jo aashiq huwa woh diwaana

Woh daana nahin hai faqat hai deewana

Qafas mein bhi jisne jeena na jaana

Qafas kya hai hum ne behtar hai jaana

Kya hota hai zandaan rindi ne jaana

Zulfon ke khum ka kare woh bahana

Ke jeene ka jisne saliqa na jaana

Kabhi zulf bolo kabhi rukh-e-jaana

Zamaane pe tohmat kaahe lagaana

Shikar-e-junun gar hua hai zamana

Zara hat ke apna hi rasta banaana

Jawab do na Nadir hua kya fasana

Ya ASIM hi shayar raha faatehaana!

Khan M. Asim... 21/08/2011... 3:00AM!

Saturday, August 20, 2011

Life

Hmm… Coming back to my box after a long time. Just thought to share a few instincts, ideas and of course feelings. Sailing through the low high tides of life and learning to swim better to have a perfect personal, professional, social and communal relation. Yes, still learning Urdu, English and many more languages to write better, if you read more you can write a lot.

Well, this year I have been flooded with ideas, as a proof or evidence you can check Meri Shayeri… here in this blog, posted more than 100 poems. Some are the result of socio-communal factors, some are of personal likes and dislikes and some are compelled by love and agony.

Currently, translating a book titled, “Islam, Peace and other Religions” into English, originally authored by Abdur Rehman Anjaria in Urdu. At the moment travelling through Iran where Alexandra of Macedonia have attacked the Zoroastrian land, have been into the Arian battlefields, Arabian deserts, many mythologies and legends. And really loving the work, learning how the civilizations evolved.

Prior to it translated another book titled “Abhinay Arpan – Performing Arts, Drama and Aesthetics”, authored by Imran Merchant and Latafat Hussain Qazi in English, it is the syllabus book for IPTA, learnt so much about the performing arts, dance, solo, group performances, rasas its history, aesthetics of drama, regional dramas, different genres, with it also learnt about the role of Natiyaveda and Natiyashastra, the popular culture, the cultures of Bengal, MP, UP, AP and Maharashtra, the role of dialects and many more. Well, my duty was to convert it into Urdu but still struggling to get my due credit, let’s see how it goes on….

While I was translating Abhinay Arpan, the guide for drama enthusiasts a real drama began in the nation. Guess… Anna… ohh , not Anna Kournikova! The beautiful tennis player of Russia but another Anna of Ralegaon Siddhi, India. The so called aandhi and new age Gandhi. Anna is said to be fighting for the common man and is struggling against corruption. He is fighting for Janlokpal Bill (Ombudsman, which first came in Sweden in 1809 A.D.). Anna is in the mid 70’s of his life and is a fine example of how an old man can explore life and become Messiah within no time. The blind citizens’ who are waiting for a reliever since independence finds their hero in Anna, and popularity is just increasing with every moment. The TV media is barking 24X7 about his whereabouts.

Basically the entire game is played by media which is in a bid to make more TRP are turning Anna into god. The media has enforced its all the theories in garnering more TRP’s, be it the Mass Society perspective, Magic Bullet theory and the Uses and Gratification view point. First it created hype about an old man, retired army officer, an activist fighting for social cause and created curiosity amongst the masses, and then implemented the Magic Bullet or Hypodermic needle theory, when the entire drama began in Delhi, which created uproar in the masses. And now, the people are fan of Anna, they think he is the man sent by god, who will free them from moral ailments and the corrupt politician. The newborns are being named ANNA! Now, the public just wants to watch Anna as the rule of UGT says, it’s showing what viewers want.

Behind every successful man there is a woman but there is no woman in Anna’s life. However there are RSS, BJP and entire Sangh Parivar at Anna’s back. Anna is fooling the masses, who are blindly supporting a hidden communal and political agenda! They are using all the mediums, TV, print and Web. Anna declares it a Gandhian movement and the irony is some of the Anna supporters are abusing Gandhi on Facebook. Gandhi, the father of the nation and the so called ideal of Anna. The saffron brigade with all its Baba’s and Sri Sri’s is on its feet to destabilize the Union politics. The sole objective is to bring BJP back in power.

‎The youth, which is on roads today, is not even aware what Jan lokpal is all about. The so-called intellectuals have not given a read to draft. Even Anna Hazare himself have not read the so called civil society’s Bill as it is drafted in English and unfortunately Anna is not aware of the language. He is talking what Bhushan’s and Kejriwal are telling to him. But in reality, the Jan Lokpal Bill for all its good intention, is an extremely flawed and dangerous piece of legislation. It seeks to create an extremely autocratic super powerful centralized institution, which doesn't sit well with basic principles of democracy... What Anna Hazare campaign is fighting is the centralization of power in government. Why then is it seeking to centralize power within itself?

Here, we must look for a better candidate who is struggling for social causes since longtime not the communal agents. There are many names that are neglected but as my friend Arpita suggested one, why not Iram Shormilla? Can Anna keep a fast for more than ten years. We ignored Irom sharmila because she is not able to attract so much of media attention like the RSS backed anti corruption gang. Some people are claiming that its second freedom struggle and those ‎who don't support Anna are traitors. I am not with Anna, am I a traitor then?

Well, as the people are assuming and the perception provided by Anna and the gang is anti corruption movement, if we really want to kill the corruption, we must start from home. We should not pay bribe to Babu’s and Police. We don’t need to give donations in institutions so then a better candidate can be selected. Self practice is a must then only after a period we will be able to eradicate the corruption.

Apart from all this holy month of Ramzan is going on so fasting like always. Just had Sehri (the early morning breakfast) its dawn right now and I really need some sleep. Looking for a better full time job in media as well, hope I get that soon. And I know you are going to scold at me for waking up whole night, yeah I was busy translating apart from this note. And you are there to take care of me, thanks for all your love and care. Here with closing sentence just feel it, “Darling! I love you” muaaaaaaaah.

Friday, August 19, 2011

Nigaahon se unki pyayaam aaraha hai


Nigaahon se unki pyayaam aaraha hai

Hamari mohabbat mein yeh jaan dedo

Na chaho kisi ko hamare siwa tum

Hamari hi chaahat ko armaan dedo

Taraste hain tumko tabassum hamare

Humein ulfaton ka yeh liwaan dedo

Bahut seh chuke hum judai mein teri

Hum ko bahaaron ka ruj-haan dedo

Zamane ke saare sawalon ko aakar

Hamari mohabbat ka farmaan dedo

Viraan padi hai hamari hukumat

Humko hamara haan sultaan dedo

Abhi gumshuda hai mohabbat hamari

Humko hamari tum pehchaan dedo

Tum hi ho tum hi ho ASIM hamare

Humko yeh pyaara sa insaan dedo!

- Khan M. Asim... 19/08/2011...12:50PM For those beautiful eyes that intoxicates me!

Masiha

Sarhad ki nigehbaani se khauf mein aakar

Ek shakhs bana beitha hai janta ka masiha

Andaaz mein gholi hai sheerin-e-guftaar

Kehta hai mitaane ko sarkar ka kissa

Rangon ki magar bhed mein aayi nahi janta

Bigda hai abhi aur bhi bigdega nasiba

Andhon ki bheed dekho badhti hi jarahi hai

Har ek usse yan pe kehta hai farishta!

- Khan M. Asim... 18/08/2011... 5:30PM! well i feel i should end here, otherwise people may start hating to me... as its happening these days.... But Anna please have Ganna end the fast, let country work and prosper... bahut hogayi nautanki!

Thursday, August 18, 2011

Yeh toh ek sehra hai!


Sarhadon pe pehra hai

Raaz ek gehra hai

Jisko dil samajhta hai

Yeh toh ek sehra hai!

Zid hai yeh maloon ki

Maange cheente khoon ki

Udd rahi hain dhajjiyaan

Be-khatar qanoon ki

Kya qadar junoon ki

Kaun yaan pe tera hai

Jisko dil samajhta hai

Yeh toh ek sehra hai!

Qarz yeh purana hai

Raasta tu jaana hai

Yaad rakhle lekin tu

Farz gar nibhana hai

Aadmi nishana hai

Aadmi lutera hai

Jisko dil samajhta hai

Yeh toh ek sehra hai!

Dekh chaand kehta hai

Dekh Shams kehta hai

Doobna hi fitrat hai

Doobkar hi rehta hai

Jisko apna kehta hai

Tera hai na mera hai

Jisko dil samajhta hai

Yeh toh ek sehra hai!

Khud hi girke tu sanbhal

Apni hi adaa se chal

Mushkilein jo aayengi

Aap hi woh hongi hal

Haath beithe par na mal

Saaqi yeh sapera hai

Jisko dil samajhta hai

Yeh toh ek sehra hai!

- Khan M. Asim... 17/08/2011... 11:12PM!

Tuesday, August 16, 2011

Fateh-e-Makkah


Sun lo sun lo Makkah waalo aaya hai farmaan

Jeet hui hai sachchai ki haar gaya shaitaan

Fateh mubin ho tumhe mubarak kehta al-furqan

Haar chuke hain dekho saare Abu-Jahal,Sufiyan

Khane-ka'aba mein tum thehro sehne Abu Sufiyan

Jo bhi yahan pe aajayega bakhsh di uski jaan

Tumpe raham hai tumpe karam hai aaqa ka elaan

Ghutne tek chuka hai baatil qaayam hai imaan

Laat, manaat pe laanat bhejo kholo apne kaan

Bilal chatt pe pahunch gaye hain dete hain azaan

Koi na chota koi bada hai sab hain ek samaan

Kaale gorey ab hain barabar sab hi hain insaan

Sabko milega jeene ka haq sab ka hai mizaan

Ab na dabegi paida hote aawaaze niswaaan

Usko milegi beshak jannat jo hai musalmaan

Maango mujhse mein deta hun kehta hai Rehmaan

Ab na chalega jabr kisi ka sunle har haiwaan

Makkah hai ab aman ka markaz iss mein hai amaan

Qaayam ab jo yahan hua hai pheilega har aan

Tum mein hi hain Khalid, Umru tum mein hi Usmaan

Haqq ki khaatir tum ghar chodo uthalo apni kamaan

Ab na rahega takhte Qaisar na Faaras ki shaan

Koi nahi ab shaah tumhara koi nahin bhagwaan

Allah hi hai sab ka raazik Allah hai sultaan

Door hui hai sab taareeki, aaya Al-Quran

Noore Mohammed se hai roshan dekho saara jahaan!

- Khan M. Asim... 16/08/2011... 1:18AM!

Saturday, August 13, 2011

Tu jo hui maherbaan


Tu jo hui maherbaan

Duniya meri hai jawaan

Aa ja ek duje mein

Kho jayein hum jaane jaan...

Tu jo hui maherbaan

Duniya meri hai jawaan!

Yeh megh kyun jhadh raha

Yeh dard kyun badh raha

Kaisi yeh bechainiyan hain

Yeh saans kyun chadh raha

Dharti hai kehti yeh dekho

Hai keh raha aasmaan....

Aa ja ek duje mein

Kho jayein hum jaane jaan...!

Dil kar raha yeh sifarish

Tujhse hai itni guzarish

Mujhko bhigo de tu poora

Chahat ki karde tu baarish

Door rehna hai mushkil

Rangeen bada hai samaan...

Aa ja ek duje mein

Kho jayein hum jaane jaan...!

Yeh keh rahi raat raani

qaatil hai teri jawaani

Baahon mein meri tu aaja

Rut hai badi yeh suhaani

Nazrein teri jo hain kehtin

Hai dil kar raha tarjumaan...

Aa ja ek duje mein

Kho jayein hum jaane jaan...

Tu jo hui maherbaan

Duniya meri hai jawaan

Aa ja ek duje mein

Kho jayein hum jaane jaan...!

- Khan M. Asim... 13/08/2011... 11:55PM!


Friday, August 12, 2011

Azaadi-e-Hind


Himalaya jiski shaan hai

Tehzeeb jiski mahaan hai

Yeh ussi ki daastaan hai

Jo aazaad Hindustaan hai!

Kehte hain ghulaam tha yeh

Pichle do sau saalon tak

Par baat tumhe batlata hun

Yeh ghulaam raha hazaron tak!

Sab se pehle Aariyan aaye

Dravidon ko khaded bhagaye

Saath apne dharam woh laaye

Harrappa-Mohenjo-daro basaye!

Ganga, Yamuna mein woh teyre

Sindh pe lagaaye unhone pehre

Eint-kaanse ka daur chalakar

Pankh diye dharti ko sunehre!

Ved, Upnishad, Puran, Ramayan

Mahabharat o Krishan ke gayan

Geeta se dharam-yudh sikhaya

Kans, Ravan pe bhari Narayan!

Haan daur chala avataaron ka

Dharam, adharam ke waaron ka

Phir khoob yahan rajwade aaye

Yeh daur tha takhte-daaron ka!

Gautam, Ashok Maurya Aaye,

Sikandar ne yaan qadam jamaye

Raaj dobara laane ko phir

Chandragupta, Chanakya aaye!

Saahil pe Arab ke Tajir aaye

Masaalon ki woh khatir aaye

Cheen ne bhi bartan chamkaye

Europe se bhi shaatir aaye!

Sindh pe aaya Ibne Qasim

Islam hua wahan pe nazim

Aman o akhuvat ke naam pe

Dhire dhire badhe marasim!

Ghazni ka Mehmood jo aaya

Sultanon ka daur woh laaya

Ghori, Khilji, Balban aaye

Daulat-abaadi Tughlaq aaya!

Aapas mein na bani sabhon ki

Dawat ban gai tab Mughlon ki

Jo Babar tha desh se bhaaga

Hukumat mili usse mehlon ki!

Humayun, Akbar, bane Maharaj

Jahangir ne dia insaf ka raj

Shahejahan ne ishq ki khatir

Sange mar mar se banaaya Taj!

Haathon se topi see see kar

Aurangzeb raha badh chadkar

Uske baad jo toota Mughalya

Woh aagaye takhte pe utarkar!

Yeh Turkon ke maare the

Tajir dushman hamare the

Dil the inke nag se kaale

Shakal se lagte pyaare the!

Dutch, Francisi, Purtagali

Angrez ban gaye janabe aali

Khoob loota inhone watan ko

Hogaye sab khazaane khaali!

Jaag uthe bangali nawaab

Apne hi the unke kharaab

Mir Jafar Gaddar-e-Abrar

De gaya millat ko azaab!

Tipu ne talwaar utha kar

Angrezon ko dia ghuma kar

Mir Sadiq se dhoka kha kar

Amar hua woh lahu baha kar!

Laxmi, Tope, Mangal aaye

Marathon ne bhi tir chalaye

Shah Zafar ko aage rakh ke

Saare Hindi ladhne aaye!

Khatma Company kahani ka

Raaj chala phir raani ka

Angrezi farmaan ke aage

Kya bas tha Hindustani ka!

Azaad, Bismil, Ashfaq huwe

Bhagat, Raj, Sukh Dev huwe

Desh pe qurban hone ke liye

Dutt, Surya aur Bose huwe!

Phir aaya ek ahimsa waadi

Kapde sidhe saadhe khaadi

Satyagirah ki dor pakadke

Mangi us ne poori aazaadi!

Angrozon pe yun bala aai

Har taraf se yahi sada aai

Inquilab mehka khushbu sa

Jahan bhi hokar saba aai!

Magar abhi zulm ek baki tha

Tukde hona jisme khaaki tha

Nehru Dilli pe raj ka haami

Jinnah ka khwaab paaki tha!

Kehne ko aazaad ho toh gaya

Magar tukde tukde yeh hogaya

Gandhi, Kalam rote rahe aur

Lahu se sharabor yeh hogaya!

Kahaan huwa Aazaad hai Bharat

Yeh hai shikasta kachi imarat

Dehshatgardi har sun tashadud

Siyaasi jumley karte shararat!

Bhrihashtachaar badhane ko

Attiyachaar badhaane ko

Kya huwa azaad hai Bharat?

Balaatkaar badhaane ko!

Mangolon ne loota tha

Afghanon ne loota tha

Gang o jaman ki vaadi ko

Angrezon ne loota tha!

Rishtey naate toot rahe hain

Saare bartan phoot rahe hain

Sirf aur sirf daulat ki khatir

Ghar ke bachche loot rahe hain!

Gar aazaad humein kehlana hai

Toh dushman se ladh jaana hai

Padh likhkar jaan desh ko dein

Yun desh ka qarz chukaana hai!

Phoot rahi hai nayi umang

Aao tum bhi mere sung

Chal rahi hai aaj bhi

Aazaadi ki dusri jung!

- Khan M. Asim... 13/08/2011... 4:20AM! Dedicated to beloved mother India! Happy Independence Day! Jai Hind!

Thursday, August 11, 2011

Billu..!


Pehlu mein mere beitha hai Billu diwaana

Duniya ke makar o fun se yeh hai begaana

Yeh toh hai mohabbat o ulfat ka farishta

Maaloom nahin is ko kya shey hai zamaana

Nakhoon chalate hain faqat bhuk se warna

Mazhab kise kehte hain Billu ne na jaana

Pyaar se choome hai kabhi god mein bethe

Aankhon se batata hai rishta hai puraana

Dil lut liya is ne isse khabar nahin hai

ASIM yeh hua kab hai Billu ka diwaana!

- Khan M. Asim... 11/08/2011... 11:25PM!

Tuesday, August 09, 2011

Jaan jaani pakki hai!


Marg-e-nagahaani ho ya teri jawaani ho

Dono hi qayamat hain jaan jaani pakki hai

Pyaar se sulaati hai khwaab mein jagaati hai

Dil hamara kehta hai pyaar karti sachchi hai

Husn hai bala tera, nashtari nigaahein hain

Jo humein mitaayegi aur kaun hasti hai

Thodi tikhi tikhi tu thodi mithi mithi hai

Thodi pakki pakki tu thodi kachchi kachchi hai

Paas tere aaon jo haath mein lagaon jo

Aise tu pighalti hai jaise mom-batti hai

Sharm ka tu paikar hai kaun tujhse behtar hai

Haai teri nazakat yeh jaise koi bachchi hai

Haan tujhe dua dega, pyaar ka sila dega

De chuka hai dil ASIM, jaan jaani pakki hai!

- Khan M. Asim... 09/08/2011... 11:45AM!



Monday, August 08, 2011

Maqaame ibrat yeh zindagi hai


Maqaame ibrat yeh zindagi hai

Hai shams ko bhi zawaal aata

Bana to lun mein ik nasheman

Hai bekhudi ka khayaal aata

Mein chaahun tujhko umr bhar yun

Hai ek mann mein sawaal aata

Sukoon hai gar deedaar tera

Hai kyun ragon mein ubaal aata

Daba hun teri mein qurbaton mein

Hai kiski warna majaal aata

Yeh kaun hai jo cheene tujhko

Hai yeh kahan se shughaal aata

Jo maan leti tu baat meri

Sukoon na warna bahaal aata

Kabhi toh ispe tu ghor kar le

Hai kyun yun mujhko jalaal aata

Labon ki junbish pe jung thehri

Hai jab bhi waqte visaal aata

Kabhi toh dekho haan ulfaton se

Hai kya kya mujhko kamaal aata

Kabhi jo aaye haan koi uljhan

Hai aashiq behad fu-aal aata

Kaise aata hai pyaar tujhpe

Hai misle aabe zalaal aata

Shumaar tera hai zaahidon mein

Hai kaise raahe zalaal aata

Bhool ja sab gham yeh ASIM

Hai mausamon pe jamaal aata!

- Khan M. Asim... 08/08/2011... 2:40PM!

Saturday, August 06, 2011

Ek pari ko chaahta hun...!


Baat yeh tumko batata hun

Ek pari ko chaahta hun

Door rahe woh ik lamha

Mein pagal ho jaata hun!

Baat yeh tumko batata hun

Ek pari ko chaahta hun..!

Paas mein beithe jab mere

Woh baat kare aakaashon ki

Mein unn mein kho jaata hun

Kya baat karun mein baaton ki

Uski adaayein matwaali

Mein ghaayal hojata hun

Baat yeh tumko batata hun

Ek pari ko chaahta hun..!

Lams mein uske shararat hai

Aur nigaah qayamat hai

Hai dil mein uthti chingaari

Woh pyaar ki ek alamat hai

Woh aatish banke aati hai

Mein baadal ban jaata hun

Baat yeh tumko batata hun

Ek pari ko chaahta hun...!

- Khan M. Asim... 06/08/2011... 11:20PM!

Rehne de aaj tu..!


Aye dost teri dosti se dil bhar gaya hai ab

Kuch dushmano ke saath mein rehne de aaj tu

Jalte huwe badan pe bahut hogayi dawa...

Kuch nashtaron ko rooh mein chubhne de aaj tu

Mehlon mein jashn karke roya hai dil bahut

Toote huwe makaan mein rehne de aaj tu

Sahil pe hi kahan tu ne hai ghum ko baanta

Mushkil ke iss bhanwar mein behne de aaj tu

Maazi ki baat kar ke zakhmon ko na kured

Mujh ko zamaane haal mein rehne de aaj tu

Tu bewafa hai sun ley, tu ne dia hai dhoka

Mujh ko bhi baatein dil ki kehne de aaj tu

Mut de mujhe tarak yeh, rakh dosti ka paas

Kya kya karun mein shikwa rehne de aaj tu

Tujhse hai door beitha na guftugu ki chaah hai

Haan ASIM ko uske haal pe rehne de aaj tu!

- Khan M. Asim... 06/08/2011... 1:53AM! To a Traitor!"Ek dhoke-baaz dost ke naam"!

Friday, August 05, 2011

Dil Keh Raha Hai!


Aaj na jaane kyun

Dil keh raha hai

Tum jeevan ho

Tum amrit ho

Tum hi ho,

Hooron ki malika...

Tum hi ho dil ki raqqasa...

Tum se ab mein door na jaon

Sirf tumhare naghme gaon

Yun hi tum mein kho jaon...

Kisi nadi ki tarah lehraon

Aur tum Samandar ki tarah

Mujhe khud mein samet lo...

Inn lehron mein,

Doooor tak behta chala jaon...

Kisi viraane mein,

Kisi jazeere pe...

Tumhari zulfon se khelun

Tumhare neinon ko chumun

Tumhein baahon mein bhar lun

Tumhein saanson mein kas lun...

Tum mujhe dekhti ho,

Mein tumhe dekhta hun...

Mas-hoor patte yunhi leh-lahayein

Jharnon ke girne ki aawaaz aayein

Parbat se aaye woh Koyal Coo coo

Ambar pe panchi yunhi cheh-chahyein

Chaandni raat ho,

Saath apne ho jugnu,

Haan shamma jalane ki naubat na aaye...

Taaron ko takte rahein hum falak pe,

Bas hum-tum hon koi wahan pe na aaye...

Bade pyaar se,

Humko sub-ha jagaaye...

Koi kaam apne,

Haan aade na aaye...

Tumhara ho maktab

Tumhara ho daftar

Tumhari ho mehfil

Tumhara ho Manzar...

Mumkin ho aisa hojaye,

Beithe hain hum haath uthaaye,

Aisa bhi ik lamha aaye,

Kaash waqt thaher jaaye...

Tum meri ho, mein hun tumhara

Ek duje se kehte rahein...

Bas baahon mein beithe rahein

Yunhi hum-tum pyaar karein...

Aaj najane dil kehta hai...

Dil ki baatein yaar karun

Sab tum se izhaar karun...

Tum se behad pyaar karun!

- Khan M. Asim...05/08/2011... 02:05AM!

Wednesday, August 03, 2011

Mujhe raaz ki parton se Aazaad karo jaana


Mujhe raaz ki parton se Aazaad karo jaana

Mushkil hai bada mushkil ab qalb ko samjhana

Yeh rasme mohabbat hai ya sitame zamana hai

Ab aur nahin kehna tum aashiq ko deewaana

Tum se gila kab tak ho kabtak yun marein dil mein

Ab aur nahin aasaan yun khud se jhagadh jaana

Ifkaar nahin khona akhlaak zara rakhna

Achcha nahin lagta yun vaade se mukar jaana

Kuch kar ke dikhao ab, ladh jao zamane se

Aata nahin hum ko yun baaton se bahal jaana

Kab kaun dawa dega hai kaun maseeha ab

Iflaak ki parton se tum khud hi utar aana

Yeh husne tajalli kya aafaaq se laayi ho

Yeh raaz kabhi humko khilwat mein samjhana

Tehreer bahut kar li ab kaam karein koi

Irsaal huwa peyaam so khatam yeh afsaana

Kab tak yun rahenge hum zulmaat ke saaye mein

Taareek bayabaan ko roshan toh karo jana

Haq hai yeh mera tum pe dedo tum ise jaana

Haan apne deewane ki fariyaad suno jaana

Kab kiss se daba hai yeh aur kaun dabayega

Haan sher yeh ASIM hai, andaaz hai mardaana!

- Khan M. Asim 03/08/2011... 4:10PM!

Munfarid ash-ar!

Tasveer-e-yaar dekh kar betaab hogaya

Aansu nikal kar chashm se nayaab hogaya

Uski nazakaton ne banaya tha shaah mujhe

Uska bhi muskurana ab kum-yaab hogaya!

- Khan M. Asim... 03/08/2011...1:00AM!

*****************************************

Dua karenge aaghaaz mein,

Chalenge raahe Hijaaz mein,

Bakhsh dega Allah sab kuch,

Sahero shab ki namaaz mein!

- Khan M. Asim... 02/08/2011... 12:05AM!

******************************************

Kabhi munhil apne kabhi gheron ne maara

Kasam se sitam hai yeh jeena hamara

Kahan tak chupaoge gul ko hamare

Hai gul bhi hamara gulistaan hamara!

- Khan M. Asim... 01/08/2011... 1:02PM!

*******************************************

Jo darpan mein sach ka dikhaane laga

Woh baaton mein yun hichkichane laga

Mujhe bakhsh do har gunah hai mera

Woh zaalim yun peecha chudane laga!

Khan M. Asim... 30/07/2011... 2:33PM!

********************************************

Yunhi har zakhm bhar jayega

Har mausam naya rang layega

Roshni bhi nahayegi dhanak mein

Hamari jagah koi aahi jayega!

- Khan M. Asim... somewhere in 2007-08!

*********************************************

Waqt gar bura sahi khud tu bura na ban

Mana kismat thik nahin par tu khuda na ban!

- Khan M. ASIM

**********************************************

Nuks tere husn mein nikaalun mein kis tarah

Jab bhi mein khojta hun khojata hun husn mein!

- Khan M. ASIM... November 2001!

***********************************************

Kabhi rehmat kabhi zehmat ban kar abr aata hai

Baras le tu ke dekhe hum tujhe kab sabr aata hai

Humne to ki dua yeh thi ke pyason ko aab hojaye

Na jaane kis ki eema pe tu itna jabr aata hai!

Khan M. Asim... 19/07/2011... 11:57AM!

************************************************

Yun toh jahaan mila hai magar dekh kar chalna

Har koh-kun ki raah mein hai aatish-fishan yahan!

- Khan M. Asim... Somewhere in 2007-08!

************************************************

Balaa ka dard hai teri nasheeli aankhon mein

Palkein tu jhukati hai pehlu hum badalte hain!

- Khan M. Asim... Somewhere in 2004-05!

*************************************************

Jaagne waale jagte hain aur sone waale sote hain

Marne waale marte hain aur rone waale rote hain

Daana chugney waale panchi door gagan ko udte hain

kursi ke dalaal yeh saale beithe beithe hanste hain!

- Khan M. Asim...14/07/2011... 2:27AM!

**************************************************

Shaher dahal raha hai...

Sab dekh rahe hain..

Sab dekhte rahenge,

Aur dehelta rahega...

Agar ab bhi na jaage,

Toh..

Kabhi savera nahin hoga..

Abhi waqt hai,,,

Jaag jao!!!

- Khan M. Asim... 14/07/2011... 12:22AM! After Mumbai July 13 blasts!

*********************************************

Peit mein jab ubaal aata hai

Achche achchon ko zawaal aata hai!

- Khan M. Asim... 13/07/2011... 2:22PM!

*********************************************

Dear Friends,

Its my hundred post on this blog in the year 2011! To be noted: in this year i have posted more than 90 poems on this blog!

Thank you for reading :)

Tuesday, August 02, 2011

**!! Maah-e-Siyaam Mubarak !!**


Dua karenge aaghaaz mein,

Chalenge raahe Hijaaz mein,

Bakhsh dega Allah sab kuch,

Sahero shab ki namaaz mein!

Khan M. Asim... 02/08/2011...12:15AM! Ramzan Mubarak to ALL :)

May ALLAH Bless All Of US!