Koi ghazal koi rubai ban jao
Koi ghazal koi rubai ban jao
Bemaar dil ki dawai ban jao
Khamosh lab hain zuban nagufta
Tajassuson ki goyai ban jao
Adam se tere wujood hai duba
Pastiyon ko tarai ban jao
Humin thehro humin se pyar karo
Mehfilon se parai ban jao
Geeli geeli yeh dard ki raatein
Garam koi razai ban jao
Naam lelein toh jahaan mehke
Lafz koi du-ai ban jao
Kis ko rehna hai khushnuma bankar
Behaya ab burai ban jao
Hum ko aate khayaal aawara
Tasavuron mein ladai ban jao
Tumko chu lein sawaab ho hum pe
Nekiyon ki adaai ban jao
Aur kitne gunah karo ASIM
Ab khaif khudai ban jao!
Khan M. Asim...22/08/2011... 9:32PM!
2 comments:
Beautttiiiiful it is ! Very nice... superrrr liked it ! :)
Pic is aweesomeee
Thanks Arpi :)
Post a Comment