Natija kyun kharab hai..!
Yeh humein yaqeen hai diya sahi jawaab hai
Mehnaton ke baad bhi natija kyun kharab hai
Kyun dard ka nuzool hai, sochna fuzool hai
Kya yeh meri saza hai rabb ya tera azaab hai
Kaisi kya khataa hui tu hi yeh bata mujhe
Bakhsh dena tu mujhe gar koi sawaab hai
Nakamiyan hain seh rahe jaane kitne daur se
Manzilon ko paana ab toh goya ek khwaab hai
Saare manzar beh rahe aur nasheman dheh rahe
Yeh zindagi ab kuch nahin haqiqatan hubaab hai
Na peene ko sharaab hai na gham ka hi hisaab hai
Chupa ley apne rukh ko tu gar koi naqaab hai
Ajab sa yeh naseeb hai, hunar mujhe siyaah mila
Jo kuch nahin unhein diya kyun tu ne aaftaab hai
Kaisa yeh usool hai, ajab teri misaal hai
Kisi ko bakhshi izzatein kisi ko tu khitaab hai
Ab koi samar nahin, hain aasmaan ke baab band
Pi ja ASIM aaj tu, jo tera utaab hai!
- Khan M. Asim... 29/08/2011... 11:17PM!
No comments:
Post a Comment