Mujhe raaz ki parton se Aazaad karo jaana
Mujhe raaz ki parton se Aazaad karo jaana
Mushkil hai bada mushkil ab qalb ko samjhana
Yeh rasme mohabbat hai ya sitame zamana hai
Ab aur nahin kehna tum aashiq ko deewaana
Tum se gila kab tak ho kabtak yun marein dil mein
Ab aur nahin aasaan yun khud se jhagadh jaana
Ifkaar nahin khona akhlaak zara rakhna
Achcha nahin lagta yun vaade se mukar jaana
Kuch kar ke dikhao ab, ladh jao zamane se
Aata nahin hum ko yun baaton se bahal jaana
Kab kaun dawa dega hai kaun maseeha ab
Iflaak ki parton se tum khud hi utar aana
Yeh husne tajalli kya aafaaq se laayi ho
Yeh raaz kabhi humko khilwat mein samjhana
Tehreer bahut kar li ab kaam karein koi
Irsaal huwa peyaam so khatam yeh afsaana
Kab tak yun rahenge hum zulmaat ke saaye mein
Taareek bayabaan ko roshan toh karo jana
Haq hai yeh mera tum pe dedo tum ise jaana
Haan apne deewane ki fariyaad suno jaana
Kab kiss se daba hai yeh aur kaun dabayega
Haan sher yeh ASIM hai, andaaz hai mardaana!
- Khan M. Asim 03/08/2011... 4:10PM!
No comments:
Post a Comment