Sunday, August 21, 2011

Tarhai Ghazal!

"Parindon ki duniya ka darevesh hun mein

Ke shaahin banaata nahin aashiyana!"

Thanks to Nadir Aziz Bhai and our poetic interaction.

***********************************

Haseenon ki duniya mein ab tum na jaana

ke unka sitam hai bada qaatilana

Aise bharam mein kabhi tum na aana

Ke mushkil bada hai tilism-e-zanana

Laila ki baaton mein Majnu yun dooba

Kabhi tha jo aashiq huwa woh diwaana

Woh daana nahin hai faqat hai deewana

Qafas mein bhi jisne jeena na jaana

Qafas kya hai hum ne behtar hai jaana

Kya hota hai zandaan rindi ne jaana

Zulfon ke khum ka kare woh bahana

Ke jeene ka jisne saliqa na jaana

Kabhi zulf bolo kabhi rukh-e-jaana

Zamaane pe tohmat kaahe lagaana

Shikar-e-junun gar hua hai zamana

Zara hat ke apna hi rasta banaana

Jawab do na Nadir hua kya fasana

Ya ASIM hi shayar raha faatehaana!

Khan M. Asim... 21/08/2011... 3:00AM!

No comments: