Friday, August 26, 2011

Watan mein yun siyasat ho rahi hai


Watan mein yun siyasat ho rahi hai

Kafan ki bhi tijarat ho rahi hai

Kisey dein dil yahan par tu bata

Amaanat me khayaanat ho rahi hai

Tum hi ho chaand suraj phool tum

Fasahat aur balaghat ho rahi hai

Qawi ho aur daulat, martaba,

Khazanon ki hi chaahat ho rahi hai

Ameeron ke liye hai sab yahaan

Gharibon se karahat ho rahi hai

Bana lein desh apna hum alag

Shaher mein phir baghavat ho rahi hai

Hain aate dekhne woh laash bas

Kahan kaisi saiyaahat ho rahi hai

Kufr phir aaj ghalib ho raha hai

Khatam imaan ki taaqat ho rahi hai

Chubhe hain teer itne bhai ke

Na zakhmon ki jarrahat ho rahi hai

Huwa yun bol baala jhoot ka

Sachchai ab kahavat ho rahi hai

Hui sab hain wazarat feel-pa

Hukumat ab mahavat ho rahi hai

Farishton mein yeh baatein ho rahi hain

Ke insaan pe hiqarat ho rahi hai

Haan chodo baatein dil ki aaj tum

Rafiqon mein raqabat ho rahi hai

Haan kaaton ki parastish ho rahi hai

Mohabbat ki shikayat ho rahi hai

Aa ASIM qatal kar dein khud ka hum

Ke khud se ab adavat ho rahi hai!

- Khan M. Asim... 25/08/2011... 1:55PM... Train!

No comments: