Maqaame ibrat yeh zindagi hai
Maqaame ibrat yeh zindagi hai
Hai shams ko bhi zawaal aata
Bana to lun mein ik nasheman
Hai bekhudi ka khayaal aata
Mein chaahun tujhko umr bhar yun
Hai ek mann mein sawaal aata
Sukoon hai gar deedaar tera
Hai kyun ragon mein ubaal aata
Daba hun teri mein qurbaton mein
Hai kiski warna majaal aata
Yeh kaun hai jo cheene tujhko
Hai yeh kahan se shughaal aata
Jo maan leti tu baat meri
Sukoon na warna bahaal aata
Kabhi toh ispe tu ghor kar le
Hai kyun yun mujhko jalaal aata
Labon ki junbish pe jung thehri
Hai jab bhi waqte visaal aata
Kabhi toh dekho haan ulfaton se
Hai kya kya mujhko kamaal aata
Kabhi jo aaye haan koi uljhan
Hai aashiq behad fu-aal aata
Kaise aata hai pyaar tujhpe
Hai misle aabe zalaal aata
Shumaar tera hai zaahidon mein
Hai kaise raahe zalaal aata
Bhool ja sab gham yeh ASIM
Hai mausamon pe jamaal aata!
- Khan M. Asim... 08/08/2011... 2:40PM!
No comments:
Post a Comment