Azaadi-e-Hind
Himalaya jiski shaan hai
Tehzeeb jiski mahaan hai
Yeh ussi ki daastaan hai
Jo aazaad Hindustaan hai!
Kehte hain ghulaam tha yeh
Pichle do sau saalon tak
Par baat tumhe batlata hun
Yeh ghulaam raha hazaron tak!
Sab se pehle Aariyan aaye
Dravidon ko khaded bhagaye
Saath apne dharam woh laaye
Harrappa-Mohenjo-daro basaye!
Ganga, Yamuna mein woh teyre
Sindh pe lagaaye unhone pehre
Eint-kaanse ka daur chalakar
Pankh diye dharti ko sunehre!
Ved, Upnishad, Puran, Ramayan
Mahabharat o Krishan ke gayan
Geeta se dharam-yudh sikhaya
Kans, Ravan pe bhari Narayan!
Haan daur chala avataaron ka
Dharam, adharam ke waaron ka
Phir khoob yahan rajwade aaye
Yeh daur tha takhte-daaron ka!
Gautam, Ashok Maurya Aaye,
Sikandar ne yaan qadam jamaye
Raaj dobara laane ko phir
Chandragupta, Chanakya aaye!
Saahil pe Arab ke Tajir aaye
Masaalon ki woh khatir aaye
Cheen ne bhi bartan chamkaye
Europe se bhi shaatir aaye!
Sindh pe aaya Ibne Qasim
Islam hua wahan pe nazim
Aman o akhuvat ke naam pe
Dhire dhire badhe marasim!
Ghazni ka Mehmood jo aaya
Sultanon ka daur woh laaya
Ghori, Khilji, Balban aaye
Daulat-abaadi Tughlaq aaya!
Aapas mein na bani sabhon ki
Dawat ban gai tab Mughlon ki
Jo Babar tha desh se bhaaga
Hukumat mili usse mehlon ki!
Humayun, Akbar, bane Maharaj
Jahangir ne dia insaf ka raj
Shahejahan ne ishq ki khatir
Sange mar mar se banaaya Taj!
Haathon se topi see see kar
Aurangzeb raha badh chadkar
Uske baad jo toota Mughalya
Woh aagaye takhte pe utarkar!
Yeh Turkon ke maare the
Tajir dushman hamare the
Dil the inke nag se kaale
Shakal se lagte pyaare the!
Dutch, Francisi, Purtagali
Angrez ban gaye janabe aali
Khoob loota inhone watan ko
Hogaye sab khazaane khaali!
Jaag uthe bangali nawaab
Apne hi the unke kharaab
Mir Jafar Gaddar-e-Abrar
De gaya millat ko azaab!
Tipu ne talwaar utha kar
Angrezon ko dia ghuma kar
Mir Sadiq se dhoka kha kar
Amar hua woh lahu baha kar!
Laxmi, Tope, Mangal aaye
Marathon ne bhi tir chalaye
Shah Zafar ko aage rakh ke
Saare Hindi ladhne aaye!
Khatma Company kahani ka
Raaj chala phir raani ka
Angrezi farmaan ke aage
Kya bas tha Hindustani ka!
Azaad, Bismil, Ashfaq huwe
Bhagat, Raj, Sukh Dev huwe
Desh pe qurban hone ke liye
Dutt, Surya aur Bose huwe!
Phir aaya ek ahimsa waadi
Kapde sidhe saadhe khaadi
Satyagirah ki dor pakadke
Mangi us ne poori aazaadi!
Angrozon pe yun bala aai
Har taraf se yahi sada aai
Inquilab mehka khushbu sa
Jahan bhi hokar saba aai!
Magar abhi zulm ek baki tha
Tukde hona jisme khaaki tha
Nehru Dilli pe raj ka haami
Jinnah ka khwaab paaki tha!
Kehne ko aazaad ho toh gaya
Magar tukde tukde yeh hogaya
Gandhi, Kalam rote rahe aur
Lahu se sharabor yeh hogaya!
Kahaan huwa Aazaad hai Bharat
Yeh hai shikasta kachi imarat
Dehshatgardi har sun tashadud
Siyaasi jumley karte shararat!
Bhrihashtachaar badhane ko
Attiyachaar badhaane ko
Kya huwa azaad hai Bharat?
Balaatkaar badhaane ko!
Mangolon ne loota tha
Afghanon ne loota tha
Gang o jaman ki vaadi ko
Angrezon ne loota tha!
Rishtey naate toot rahe hain
Saare bartan phoot rahe hain
Sirf aur sirf daulat ki khatir
Ghar ke bachche loot rahe hain!
Gar aazaad humein kehlana hai
Toh dushman se ladh jaana hai
Padh likhkar jaan desh ko dein
Yun desh ka qarz chukaana hai!
Phoot rahi hai nayi umang
Aao tum bhi mere sung
Chal rahi hai aaj bhi
Aazaadi ki dusri jung!
- Khan M. Asim... 13/08/2011... 4:20AM! Dedicated to beloved mother India! Happy Independence Day! Jai Hind!
8 comments:
This is a genuine heartfelt comment.....BRILLIANT.
THANK YOU IMRAN :)
aap ne aam Hindustaniyun ke jazbaat ki tarjumani ki hai....Hindi hain ham watan hai hindustan Hamara ....ki yaad taza ker di
Danish bhai shukria :)
Hey asim... Good work Man.. Another Gem from a genius's pen. It is history at glance.. Keep it up.. and Happy Independence Day ! Be FREE !
Thanks Arpi :)
asim bhai, u took us in a journey of our history.....its one of ur best creation so far...keep writing like dis....thanks for mentioning few names like ashfaqullah etc that r not seen in our history book for some vested interest....der r contribution from all castes, communities, states etc in our freedom fighting but unfortunately many such names r missing in our history.......
Shukria Shahil bhai... these names are the part of our proud history and do deserve a mentioning, in fact many more are there.. inshallah will soon write something more about them...
Post a Comment