Sunday, December 30, 2007

Mein zara udaas hun!


Zindagi mujhse khafa mein zara udaas hun

Door hun meelon bahut phir bhi tere paas hun

Hun seh raha har ghum alam har sitam zamane ke

Yun hi kyun mein haar jaon mein toh teri aas hun

Hui hai shiddat bahut har koi khoon ka pyasa hai

Kitni doori jaon mein, mein zamane-bhar ki pyaas hun

Zindagi pheeki lage tere bina har ek pal

Tareekiyan achchi lagen mein maut ka ehsaas hun

Har simt har kona tera palkein teri nazrein teri

Nazar uthake dekhto mein tere aas paas hun

Mohabbat hai junoon bhi hai adaa-e-zindagani hai

Yahi kehke mein khush bhi hun ke mein zara udaas hun...!

-Khan M.Asim...juss wrote n posted...30/12/2007...6:55 PM...

Lamha lamha kehta hai...!


Lamha lamha kehta hai koi dil mein rehta hai

Dard jagaye humko bhi haan koi dil mein rehta hai

Lamha lamha kehta hai...!

Khoob haseen hai woh qatil, rang mehar sa lagta hai

Jung chide jo mehfil mein kyun parwana jalta hai?

Halka halka dard hai jo zor se phir kyun lagta hai?

Lamha lamha kehta hai koi dil mein rehta hai...!

Raqs kare yun raqqasa aalam saara marta hai

Uski shokh ada se toh har deewaana darta hai

Hum bhi hain hue ghayal uske teer-e-nazar jo chalta hai

Zakhm dabenge jaane kab, kab andha kuan bharta hai?

Lamha lamha kehta hai koi dil mein rehta hai...!

Aag ki laptein, maar-o-magar naar mein aise jhulsenge

Uski judai ka lamha naar mein eendhan banta hai

Dariya saahil se darta hai par yak-ro simt hi behta hai

Lamha lamha kehta hai koi dil mein rehta hai...!

-Khan M. Asim...27/12/2007...3:55AM...

Sunday, December 23, 2007

Kaise?????


Gham-e-dil ko mein chupaon kaise?

Jalte ashkon ko mein bujhaon kaise?

Yun toh muqaddar mein bahut kuch hai magar

Muqaddar ko muqaddar mein banaon kaise?

Ussko paa-kar bhi na ji paongaa

Iss judai ka mazah usko mein bataon kaise?

Raat-bhar kaliyon ne aah o zaari ki

Shaguftugi-e-saher mein laon kaise?

Zameen banjar na ho mohabbat ki

Sookhe lamhon ko shabnam mein pilaon kaise?

Woh bhool jaaye mujhe yahi behtar hai

Dil se saanson ko mein hataon kaise?

Usse baatein toh bahut karni hain magar

Der-shab number mein milaon kaise?

Yun toh ASIM duniya ki kalakaari hai

Uss gul se mohabbat mein jataon kaise?

-Khan M. Asim...16/12/2007...4:00AM...

Saturday, December 15, 2007

!!! Ghazab !!!


Tera aana ghazab tera jaana ghazab

Mujhe dekh kar muskurana ghazab

Samajhta hun mein sab hi baatein teri

Par nigahon ka har ik nishana ghazab

Aashiq hun teri har ada ka sanam

Par nazron ka yun lad-khadana ghazab

Dil ne kaha hai yeh mujhse sanam

Tu hai haseenon mein sabse ghazab

Khushboo teri hai satati mujhe

Badan ka tere thar-tharana ghazab

Mohabbat mein teri hai duniya alag

Lamha ba lamha lage hai ghazab

Lagti hai dil mein kuch hulchul alag

ASIM bana hai deewaana ghazab...!!!

- Khan M. Asim...from 28/09/2002 to 04/10/2002...infact juss edited one stanza..so it ll b like 15/12/2007 too...n might require more editing...!

Tuesday, December 04, 2007

Tumhi ho...!


Yeh roz o shab ka iztaraar

Bas tumhara intezaar

Tassavurr mein tumhari soorat

Takhaiyull mein tumhare jalwe

Sabhi ka israar magar mera inkaar

Iss jazba-e-javedani se

Shahad ki manind shaafi tumhare alfaaz...

Bas do lafz hayaat-e-jamshedi

Aankhen roshni muntashir kartin

Toh baatein raah mein ujala

Maano mohabbat ki mukammal moorat

Mein nahin jaanta, mein kia keh raha hun?

Yeh lafz yun hi pighal rahe hain

Shayad yahi tumhari taab hai

Har lamha deewana har nazaarah benazeer

Husn o zebaish ka mukammal shahkaar

Tumhi ho tumhi ho tumhi ho.......!!!

-Khan M. Asim...26/11/2007...1:30 PM...Train...

Thursday, November 29, 2007

Kaise kahan tum...!


Kaise kahan tum kho gayi duniya ke bazaar mein

Thoda pyaar to dedo humko naqad nahin toh udhaar mein

Tumse maangi dil ki khwahish tumse dil ko lagaya hai

Aise waise bahut pade hain aise to sansaar mein

Dekho yahan pe rote sab hain rediff-yahoo pyaar mein

Lamha lamha beitha hai bas tumhare intezaar mein

Taj Mahal ko dekhe hain sab Taj Mahal shahkaar hai

Dekhen humko sab hain takte jo hum kahen inkaar mein

Tumse mohabbat karne ka haan humko bhi adhikaar hai

Itna bharam to baaqi hai haan apne bhi aitbaar mein

Deewaane hain kitne tumhare Mumbai kia Bhopal mein

Phir bhi shiddat thodi toh hai apne bhi izhaar mein

Yun to humse bahut pade hain humko kab inkaar hai

Haan tumko humne maang liya hai bhagwan ke darbaar mein

Kaise kahan tum kho gayi duniya ke bazaar mein...!

- Khan M. Asim...28/11/2007...11:43 AM...

Wednesday, November 28, 2007

Tumhare naam ek aur ghazal...!

Koi rukhna zindagi mein aajaye

Yeh mere geet gunguna lena

Mein shayad na rahun zamane mein

Mujhe lamhon mein tum chupa lena

Aazmaaishon se ghabrakar

Mujhko na yun bhula dena

Jo kabhi tassavvur mera aaye tumko

Bas yunhi muskura dena

Jeene marne ki baatein kia karun tumse

Jab zaroorat pade aazma lena

Haan ASIM bhi koi deewana tha

Yun hi qatra koi gira dena...!

- Khan M. Asim...18/11/2007...3:40 AM...

Monday, November 26, 2007

Tumhi se!


Shayad tum sun rahi ho?

Mere jazbaat ko ehsasaat ko

Kisi lamhe mein yeh baat nahin khapti

Hazaar tar ke kiye tumhe bhulane ke

Magar ek dard jo ke jonk ban chuka hai

Mujhe jakad raha hai

Mein koi shayar nahin na koi majnu

Yeh kashish jo jo tum mein hai, kuch ajeeb hai

Mein hamesha ismein maani khojta hun

Magar tumhari woh khoobsurat baatein

Kho jaane pe majboor karti hai

Yeh koi shairi nahin, na meri koi ada

Yeh sarapa husn hai goya koi hoor utar aayi ho

Hazaarha iss jazbe ko darguzar kia

Magar ik kasak abhi dil mein baaqi hai

Khayalaat ke ek fauj zahen ke dareechon ko rondh rahi hai

Kabhi yeh koi deewaanon ka lashkar lagta hai

Toh kabhi tumhare neinon ka nashtar

Har jazba ek naye sooraj ki tarah tulu hota hai

Tumhara har payaam zindagi sa lagta hai

Hamari mulaqatein yeh takraar

Kisi tareef ki mohtaaj nahin

Tumhein yeh iqraar nahin aur mujhe inkaar nahin

Mein shayad hi kabhi woh dil ki awaaz sun paon

Jo har saamey ko deewana bana deti hai

Magar yeh khayaal mujh jhanjhodta hai

Aakhir Kyun?????

Tumhara har payaam apna bhi hai paraya bhi

Dil kehta hai tum meri ho, zahen iskki nafi karta hai

Tum har waqt mujhpe haavi ho magar mere qareeb nahin

Yeh suraab yeh saher kaisa hai?

Har aahat tumhari hai aur tum maujood nahin

Shayad hi kabhi mein in alfaaz ko maani pehna sakun

Hum shayad hi kabhi ek ho paayen magar ek toh hain!

Tum jaanti hi ho mere har andaaz ko

Magar tum shayad hi kabhi samajh pao

Kya tum sun rahi ho?

Mere inn alfaaz ko?

mein tumhi se goya hun...

Tumhi se!

-Khan M. Asim...November 26, 2007...2:50 AM...

Wednesday, November 21, 2007

Mohabbat

Huh, 101...I thought alot what to post now? so guys here is the begining of a poet, I wrote this faaltu-bhangaar song when I was hardly seven or eight years' old. Well, this is not the first one, I m checkin few poems but it seems very tough to find my first words. I think it was standard 3rd or may be 4th and I was in love :P hehehe...

Iqrar karna seekho, Haan pyaar karna seekho

Mehboob se mohabbat ka izhaar karna seekho

Kehta hai apna dil bhi karne ko kuch mohabbat

Haan yaar karna seekho Iqraar karna seekho

Mehboob se mohabbat ka izhaar karna seekho

Dil se dil milenge toh hawayen jhoom jayengi

Mohabbat ka tarana hai deedaar karna seekho

Mohabbat ki hai tumne toh iqraar karna seekho

Haan pyaar karna seekho haan pyaar karna seekho

mehboob se mohabbat ka izhaar karna seekho

- Khan M. Asim...year 1995...I don't remember the date n time...

Friday, November 16, 2007

Kainaat...100th post!

This is my 100th post on this blog. So, i thought to post something romantic, which can make u smile not cry (if u wanna cry, u can check my other poems...infact my 99th post). This small poem - Kainaat, I wrote on request of my friend Chandradeep Jaiswal, when we were in first year of BMM. But, here i m dedicating this poem to my love, my dream girl...the fairy...Raqqasa...Liwan-e-jamshedi, Rooh-e-khulde bareen...i call her with so many names...she stays in my philosophical world and here i am happy with her, so please dont disturb!:)

Tumhari aaankh zameen hai

yeh zulf aakaash-ganga

Chehra mein sooraj ki si taab

Rang hai ke chaandni goya

Mausamon ko badalne-waali muskurahat

Abru eid ka chaand, toh

Palken sehar-o-shab ko janam deti hain

Rukhsaar mirreekh ki tarah laal

Kahin zohra to kahin zohul jhoom rahe hain

Dhadkanen lamhon ko bedaar karti hain

Chaal hai ki sitare jhilmila rahe hain

Tumhara adam taariki toh wujood noor hai

Tum mein yeh kainaat basi hai

Haan, tum sarapa kainaat ho...!

-Khan M. Asim...30/08/2005...9:40 AM...Train...

Meine nahin pi hai!


Mekhana hai, sharab hai, surahi hai, nasha hai

Phir bhi mein keh raha hun meine nahin pi hai

Tujhse suroor paa ke har koi jhoomta hai

Phir kyun yeh keh raha hai meine nahin pi hai

Yeh ghum, alam tanhai hisse mein mere aayi

Aasoodgi sada ki meine tujhe di hai

Bhool jaon tujhe ghazal samajhkar apni?

Makhmoor hun magar meine nahin pi hai

Tumsa koi pila de toh chudun na jaam mein

Tumsa koi milega? meine nahin pi hai

na chill maar sakta hun na dil maar sakta hun

Aankhen hui tarasti bas tishnagi di hai

Tum ko sarapa dekhkar shayad hi ji sakun

Yeh jazba tumhi se kia kahun, meine nahin pi hai

ASIM dooba jo pyaar mein mausam badal gaye

Phir bhi mein keh raha hun meine nahin pi hai

-Khan M. Asim...17/11/2007...2:25 AM...juss wrote...it might require some editing...but i felt to post...so i did...

Thursday, November 15, 2007

!!! GHUM !!!


Najane kiska ghum hai yeh jo mujhko khaye jaata

Udaasi hi udaasi hai aur aansu aaye jaata hai

Jo sochun tere baare mein to phir qaabu nahi rehta

Kabhi aansu kabhi laali yeh dil chalkaye jaata hai

Dua dun bad-dua tujhko, aakar ab bata de yeh?

Sukun mein kuch sukun tha tab sukun ab khaye jaata hai

Khudara kia ghazab hai kyun woh yun tadpaye jaata hai

Kabhi aankhen churata hai kabhi sharmaaye jaata hai

Na ASIM roiye ab uss bewafaa ke vaaste hargiz

Wafa ka naam lekar jo tujhe tadpaye jaata hai

-Khan M. Asim...24/11/2004...9:00 PM...

Thursday, November 08, 2007

!!! Dil ki saza !!!


Na tu bewafa hai na tu bawafa hai

Wafa ki qasam tu dil ki saza hai

Yeh angdaiyan yeh sharara badan

Yeh aankhen nashili koi mekada hai

Na tu bewafa hai na tu bawafa hai....

Yeh zulfon ki sarsar adaon ki narmi

Yeh honton ki laali yeh baahon ki garmi

Yeh masgan ka uthna yeh palkon ka jhukna

Badi jaan-leva teri har ada hai

Na tu bewafa hai na tu bawafa hai...

O' mehfil ki raunaq ae din ke ujale

Zara faaslon ko yahan se hatale

Hai sapnon ki duniya, yeh duniya ki jannat

Mujhe aake apne gale se lagale

Tuhi meri jannat tuhi haan qaza hai

Na tu bewafa hai na tu bawafa hai...

Kabhi tera hansna mujhe yaad aaye

Kabhi tera rona mujhko rulaye

Kabhi tera ladhna ghairon se mujhpar

kabhi khud hi mujhko tu ghar se bhagaye

Woh qaatil adayen mujhe yaad aayen

Tu hi raazdaan hai tu hi paasbaan hai

Wafa ki qasam tu dil ki saza hai

Na tu bewafa hai na tu bawafa hai...

Woh tera milana tere doston se

Woh unko jalana mere saath rehke

Kabhi unse mera parichey karana

Kabhi saath milke thahuke lagana

Woh teri mohabbat woh qaatil zamana

Tu meri kahani tu hi daastan hai

Wafa ki qasam tu dil ki saza hai

Na tu bewafa hai na tu bawafa hai...

Tu koi chalava tu koi ada hai

Na jannat, jahannum tu sabse juda hai

Na tu meri manzil na mera khuda hai

Tere naam se hi qalam gir raha hai

Wafa naam pe kyun mein tohmat lagaon

Na tu bewafa hai na tu bawafa hai

Wafa ki qasam tu dil ki saza hai...

-Khan M. Asim...21/11/2006...1:50 AM...

Monday, November 05, 2007

***Jeevan Sangeet***


Har subah ki pehli kiran hai tu Har shaam ka pehla geet

Madhur madhur teri Ankhon mein hai jeevan sangeet

Khuli khuli in zulfon se jaane kitne hue maqtool

Rukhsaar pe tere dekhke til saadhu bhi hue madhool

Hai door bahut Aakaash mein tu pana hai tujhe mushkil

Aashiq ki tamanna bas itni hojaye iski jeet

Madhur madhur teri aankhon mein......

Sulag sulag yeh aag jale dil ke mere bheetar

Aus pade in zakhmon pe jab dekhun tujhe dilbar

Haan chod de duniyadaari ko chod de chahar diwaari ko

Aankhon se mujhe bas jaam pila banja tu meri meet

Madhur madhur teri aankhon mein hai jeevan sangeet

- Khan M. Asim...29/08/06...6:30 AM...Now posted for beautiful eyes...

!!! Justuju !!!

Wahi andaaze guftugu

Wahi mere dil ki justuju

Kehna chahta hun magar kaise kahun

Aaj phir saamne hai tu

Mere dil ki awaaz

Meri zindagi ka maqsad

Meri khoobsurat aarzoo

Sab kuch tumhi ho

Par tum nahi jaantin

Tumhi kaho kaise kahun tumse

Kehne par naaraaz na hona

Mein tumhe khona nahi chahta

Tumhare bina jee nahi sakta

Aur na mar sakta hun

Mein kaise kahun tumse

Yeh jazba-e-wafa

Mein tumse mohabbat karta hun

Mohabbat karta hun

Sirf tum se!!!!!!!!

-Khan M. Asim...hv to check date but wrote it long back...

Friday, November 02, 2007

Tumhara jaadoo utar nahin sakta !!!


Tumhara jaadoo utar nahin sakta

Ab tum-bin mein mar nahin sakta

Izhaar karchuka hun mein mohabbat ka

Zubaan se apni mukar nahin sakta

Hazaar mausam tumhe chupa len chahe

Rang dil se utar nahin sakta

Qatal karke koi juda kare toh kare

Zindagi mein koi kar nahin sakta

Saghar koi chalakta hai chalak jaane do

Ab yeh nashsha utar nahin sakta

Hazar toofaan o bala le aao

Raqs-e-Majnu darr nahin sakta

Yun toh ASIM kia kar nahin sakta

Marna chahun toh mar nahin sakta

Tumhara jaadoo utar nahin sakta!!!

-Khan M. Asim...02/11/2007...2:50 AM...

Wednesday, October 31, 2007

Zindagi bhool hai !!!...........


Zindagi bhool hai lamha lamha dhool hai
Haan mujhe qabool hai zindagi bhool hai

Kaisa yeh mehlool hai kyun dard ka nuzool hai
Haan mujhe qbool hai zindagi bhool hai

Do qadam tu chal zara waqt peeche aayega
Aaj yeh dastoor hai zamane ka usool hai
Haan mujhe qabool hai zindagi bhool hai

Yeh kahe toh naach tu yeh kahe toh jhoom tu
Gar isse pasand hai toh zindagi wusool hai
Haan mujhe qabool hai zandagi bhool hai

Aaj gham toh kal khushi har naqad udhaar hai
tera jazba bezarar baat har fuzool hai
Aaj yeh dastoor hai zamane ka usool hai
Haaan mujhe qabool hai zindagi bhool hai

-Khan M. Asim 7:20 PM...31/10/2007

!!! Judai !!!


Ae dost mohabbat mein yeh kaisi judai hai

Saaye pe tere humne bas chashm lagai hai

Milne ki tamanna toh hai dil mein bahut lekin

Iss simt samandar toh uss simt mein khaayi hai

Ashkon ke samandar mein, mein doob hi jaata hun

Iss dil ne mujhe teri jab yaad dilayi hai

Mehfil mein sanam teri mein roz hi aata hun

Milna na tera mujhse yeh kaisi bhalai hai

Mein teri mohabbat mein sehta hun sitam tere

Har baar tujhe dil ne aawaaz lagayi hai

Sach baat yahi hai bas aashiq hai wahi ASIM

Jisne bhi mohabbat mein jaan apni ganwai hai...!

-Khan M. Asim...10/12/2002...7:30 PM...

Tuesday, October 30, 2007

Saying The Right Thing While Drunk - PRICELESS!

Rohit woke up at home with a huge hangover. He forced himself to open his eyes, and the first thing he saw is a couple of aspirins and a glass of water on the side table. He sat down and sees his clothing in front of him, all clean and pressed.

He looks around the room and sees that it is in perfect order,spotless,clean. So is the rest of the house. He takes the aspirins and notices a note on the table.
"Honey, breakfast is on the stove, I left early to go shopping. Love You!"

So he goes to the kitchen and sure enough there is a hot breakfast and the morning newspaper. His son is also at the table, eating. Rohit asks,"Son, what happened last night?"

His son says, "Well, you came home around 3 AM, drunk and delirious.Broke some furniture, puked in the hallway, and gave yourself a black eye when you stumbled into the door". Confused, Rohit asks, "So, why is everything in order and so clean, and breakfast is on the table waiting for me? I should expect a big quarrel with her!"

His son replies, "Oh, that! Mom dragged you to the bedroom, and when she tried to take your clothes n shoes off, you said , "Hey !!!!!!!leave me alone! I'm married!"
...

Moral

Breakfast -- Rs. 100.00

Self-induced hangover -- Rs. 2000.00

Broken furniture -- Rs. 20,000.00

Saying The Right Thing While Drunk - PRICELESS!!!!!!!!!!!!

Thursday, October 25, 2007

Chak De India!


My Rating: *****..."Outstanding"
Starring: Shahrukh Khan

Writing about a movie after a long time, well, don’t know? What enforced me to do so? May be the plot, theme, direction or SRK. Hmmm…just watched Chak De India. What else I can say, if I would be in the jury to select for the Oscars, Chak De would be my first choice.

I don’t watch much of the SRK movies just because of his chocolate look, may be some hatred behind that or SRK himself. But for this movie I would really appreciate his approach, this is his third movie, which I liked after Baazigar and Darr and ofcourse it grabbed a place in my all time favorites.

It’s not only boosting Hockey but also trying to divert the fallacious, conservative and unilateral Indian mindset towards the gender equality, one of the major problem Government of India facing in the rural areas and in some of the urban areas too. You go to any of the north Indian village and you can easily identify what women facing there. The people say, “Ladki paraya dhan hai uski padhai ka kharcha kyun?”

Well, let’s get back to Chak De again, Wonderful charactersation, every actor was somewhere dissolved in the character. At a point I felt, like I am watching a hockey world cup final. The spirit SRK fueled in was amazing and the sentence, “hamari hockey mein chakke nahin hote” really forced me to say, “arrey zabardast”.

Well, the movie was released weeks back but I watched it just now and I think this is after almost a year am writing something on movies and “woh bhi SRK ki!:P”. And Shahrukh Bhai now I am desperately waiting for your OM Shanti Om. Well, what to say now? Just chill, do whatever you can do, believe in yourself, target your goal, turn around and Chak De India!

Saturday, October 13, 2007

!!! EID MUBARAK !!!

Friday, October 12, 2007

Yeh kaisi judai hai?


Yeh teri judai hai, yeh kaisi judai hai?

Yeh ashk bahati hai,mujhe dasht mein laati hai

Sehra mein bhatakta hun yeh kaisi judai hai?

Yeh teri judai hai, yeh kaisi judai hai?

Har waqt teri mehfil, har waqt tera charcha

Jo aankh khule meri bas dekhun tera rasta

Tu aankh ke pardeh mein, tu dard-e-nihan mera

Tu rooh-e-qalab meri hai jannat nishaan tera

Na jalwa tera dikhe na saaya tera chamke

Teri unn aankhon ne meri duniya hilai hai

Yeh teri judai hai, yeh kaisi judai hai?

Har waqt mera har pal tera hi lagta hai

Har simt har ik kona tasveer teri lagti

Tu gosht ke reshe mein tu chai ke daane mein

Jo dekhun tujhe dilbar phir bhook nahin lagti

Khwaabon mein aati hai mujhe sote jagati hai

Baahon ka haar bana angdaiyan laati hai

Angdai ne uss teri meri duniya hilai hai

Yeh teri judai hai, yeh kaisi judai hai?

Woh tera shagufta-pan, dil lootne waala fun

Woh teri aada qaatil, tu zarb mera haasil

Angoor se meethi tu, pur-shokh suraahi hai

Tu husn ka paikar hai, tu shaan-e-khudai hai

Tu meri tamanna hai, tu ek mera maqsad

Woh zulf ka udna tha, toofaan yahan barpa

Iss teri mohabbat ne meri duniya hilai hai

Yeh teri judai hai, yeh kaisi judai hai?

-Khan M. Asim...13/01/2007...9:40 PM...

Wednesday, October 10, 2007

Dard dil mein chupake tera....!!!


Dard dil mein chupake tera hai gham ko apna yaar kia

Humse to bhale woh ghair hue jinko hai tu ne pyaar kia

Dard dil mein chupake tera....!!!

Khwabon ke gharonde toot gaye dil ki har khwahish khatam hui

Gustaakhi hai par kehta hun sanam kyun jeena mera dushwaar kia

Humse to bhale woh ghair hue....Dard dil mein chupake tera....!!!

Ghairon ko apna dost kahe, kyun humse yun tu door rahe?

Mit jayenge hum kehte hain sanam yeh dil hai bahut bezaar hua

Yaadon ke teri sahare sanam kat-te the yeh din raat magar

Teri jafa ke pehlu ne har lamhe ho ko dhaar dia

Humse to bhale woh ghair hue....Dard dil mein chupake tera....!!!

Andazah na kar sakte the hum, chahenge kabhi itna tujhko

Sapne sab apne chod diye dil apna tujhpe waar diya

Humne to tujhko pyaar kia, ghairon ko tu ne yaar kia

Humse to bhale woh ghair hue jinko hai tu ne pyaar kia

Dard dil mein chupake tera hai gham ko apna yaar kia...!!!

-Khan M. Asim...24/05/2004...7:15 PM...

Saturday, October 06, 2007

!!! Mashkoor !!!


Mashkoor hun tera ke tera karam hua

Mazboot phir se saaqi mera bharam hua

ranjoor tha nidhaal mein Ayoob ki tarah (AS)

Kun pe teri Khudaya har gham naram hua

Mashkoor hun tera ke tera karam hua...!!!

Namrood ki badi se yun dost ko bachaya (AS)

Firaun ko ma-lashkar dariya mein yun dubaya

Jisne bhi sarkashi ki uspe azaab aaya

Haan inkaar karne waalon ka mehwar garam hua

Mashkoor hun tera ke tera karam hua...!!!

Mujhko kamaal de kuch apne Kaleem jaisa (AS)

Mazboot mujhko karde Zarb-e-Kaleem jaisa (AS)

Yusuf jameel karde, Eisa sa noor bharde (AS)

Ehsaan hai tera ke Rasooli dharam hua (SW)

Mashkoor hun tera ke tera karam hua...!!!

- Khan M. Asim...06/10/2007...6:30 AM...

Tuesday, October 02, 2007

mumbai juma masjid



hoze its especially for u, i knw u r gonna like it...

Saturday, September 29, 2007

Jo Tumse hanskar baat hui...!!!


Tumse hanskar baat hui

Kitni haseen yeh raat hui

Sapnon ki baaraat hui

Jo tumse mulaqaat hui...

Jo Tumse hanskar baat hui...!!!

Laton ka udhna, Aankh pe jhukna

Kajal se madhshala bunna

Badal ko sarkayein haath

Apni kya awqaat hui

Jo Tumse hanskar baat hui...!!!

Kaanton se chubhan phir jaati rahi

Jo tum yunhi muskaati rahi

Pal pal ne kaha humse soja

Par neend hamari jaati rahi

Haan kaisi apni zaat hui

Jo Tumse hanskar baat hui...!!!

Har gul se mohabbat humko hui

har zakhm se lagti humko shifa

Pehle na kabhi yeh baat hui

Yeh kaisi humein aadaat hui

Jo Tumse hanskar baat hui...

Kitni haseen yeh raat hui...!!!

-Khan M.Asim...29/09/2007...5:40 AM...

Thursday, September 27, 2007

Ghazab dha gayi...!!!


Ghazab dha gayi tu,Ghazab dha gayi

Yeh kaise sitamgar tu yun aagayi

Na socha tha meine yun deedaar hoga

tera chehra aise namoodaar hoga

Woh abru, woh zulfein, woh nashtar-o-khanjar

Bhala kaise koi na sarshaar hoga?

Kise iss jahaan mein na phir pyaar hoga ???

Ghazab dha gayi tu.....!!!

Meri sooni duniya mein ghungru baje phir

Murjhaye gul bhi haan hansne lage phir

Jo khaamosh lamhe yun takte the mujhko

Mere saath varzish karne lage phir

Jo tera yeh jalwa yun rangeen rahega

Kise iss jahaan mein na phir pyaar hoga ???

Ghazab dha gayi tu.....!!!

Qasam hai khuda ki mein jhoota nahin hun

Teri qaid se saahir choota nahin hun

Yun jafakash to mujhko mile iss jahaan mein

Teri hi wajah se mein toota nahin hun

Wafadaar tujhse jo honge jahaan mein

Kise iss jahaan mein na phir pyaar hoga ???

Bhala kaise koi na sarshaar hoga?

Ghazab dha gayi tu Ghazab dha gayi

Yeh kaise sitamgar tu yun aagayi.....!!!

-Khan M. Asim...27/09/2007...3:20 AM...

Wednesday, September 26, 2007

Khilafat – The basic concept of Islam

The time is nowhere supporting me. It seems to be worst period of my life, where is only pain and no gain. Struggling with the advertising agency work and getting bogged with the Orkut users. Sometimes I feel to run away, leaving everything and kicking the work schedules.

Well, now I am planning to write a book on Khilafat. The idea is to cover Khilafat from all the aspects. You must be thinking this guy is willing to leave everything and planning to run away and all of a sudden announcing to write a book. Actually, there was nothing in my mind but someone’s words provoked and forced me to do so.

Well, I am happy for the decision. It seems tough for me to finish the task within the tight lines of schedule but hope Allah will not let me down and keep my chin up.

The idea came to my mind just few minutes back, as I was unable to sleep due to my lack of knowledge and proficiency on the issue of Khilafat. I accept that I am not an expert on the issue but will surely try to come up with the right and rational aspects of the Islamic system.

Alchemy, Are you reading these lines? Yes I have made up my mind to reply you in a way that I can say, “Yes, This is Khilafat – the basic concept of Islam”. Dude, do you remember my words? I said, I have some information and would like to share with you but your words, saying “I ran away” really provoked me.

Well, for this work too I need some time for which I am really struggling. But I promise you that I will finish this task within six months or in a year.

Friends, I need your Dua’s and support to accomplish this task and I would be more happy to know your views on the concept. If you would like to share your views on the concept of Khilafat, you can mail that to me or can discuss in the orkut community. Khilafat - The Islamic System...

The community is for all who believes and supports Islamic system of rule. Critics are also welcome there, and this is the reason why Alchemy is still surviving in the community.

So here is the link…

http://www.orkut.com/Community.aspx?cmm=25597361

Tuesday, September 25, 2007

Tumko humse pyaar nahin....!!!


Bante ho anjaan bahut

Karte kabhi iqraar nahin

Kehdo kehdo kahdo

Tumko humse pyaar nahin

Bante ho anjaan bahut....!

Dhoondo ho humein tum mehfil mein

Khilwat mein humein tum yaad karo

Mil jayein tumhe hum jaldi se

Haan Rabb se yahi fariyaad karo

Aisa bhi sitam hai kia zaalim

Karte kabhi izhaar nahin

Haan,Kehdo kehdo kahdo

Tumko humse pyaar nahin...

Bante ho anjaan bahut....!

Woh raaton ko deep jalana

Zulf sawaanro nein chalana

Uthkar chup se khidki pe aana

Chaand ko dekhkar yun sharmana

Haan kehdo tumhe intezaar nahin

Tumko humse pyaar nahin...

Bante ho anjaan bahut....!

-Khan M. Asim...10/10/2007...1:35 PM..Train...

Tuesday, September 18, 2007

Ek din woh mujhe.........!!!


Ek din woh mujhe yun mili khwaab mein

Taare sab jhuk gaye uske aadaab mein

Waqt ne yeh kaha, sun ae nadaan dil

Dekh gul ko zara apne saaqi se mil

Woh jo hans di toh boli yeh baad-e-saba

Marhaba marhaba uske aadaab mein

Ek din woh mujhe...............!!!

Har qadam uska paida kare ik sahar

Aahatein uski deti hain thandi lahar

Usko dekha to bole yeh shams-o-qamar

Marhaba marhaba uske aadaab mein

Ek din woh mujhe...............!!!

Woh ik hai paheli woh ik raaz hai

Mausamon mein bhi uska hi andaaz hai

Uski zulfein jo kaandhon se dhalki zara

Badalon ne baraskar ke phir yun kaha

Marhaba marhaba uske aadaab mein

Ek din woh mujhe...............!!!

Wahi meri saaqi, wahi dilruba hai

Ussi par fida yeh mera dil hua hai

Woh aai jo chupke se khwaabon mein aaj

Dhadkanon ne ba saaz-e-nazar yun kaha

Marhaba marhaba uske aadaab mein

Ek din woh mujhe...............!!!

-Khan M. Asim...05/09/2007...1:10PM...Train...

Sunday, September 16, 2007

Yeh ajab tareeq-e-jahaan hai

Yeh ajab tareeq-e-jahaan hai

Jise aarzu, usse justuju

Jise bekhudi, usse maahru

Jisse tishnagi, usse kuch nahin

Jisse maal o zar, usse jaam o zan

Jo faqeer hai, usse shaahi de

Aur shaah ko bakhshe gadai ye

mein ghareeb kyunkar ghareeb hun?

Woh ameer kyunkar ameer hai?

Gar woh shaah ka rafeeq hai

Mein khaadim Rasool-e-Hashmi (PBUH)

Mujhe aasimi, Usse naazimi

Kisse bakhshe khuld-e-bareen kahin

Yeh ajab tareeq-e-jahaan hai

Jise aarzu, usse justuju !!!

- Khan M. Asim...14/09/2007...1:30 PM...Nerul...

Friday, September 07, 2007

Indian Magazines

Definition of a Magazine - “ Any publication with a periodicity of one week or more is a Magazine”.

Magazines are a periodical publication containing a variety of articles, generally financed by advertising and/or purchase by reader. Magazines are typically published weekly, biweekly, monthly, bimonthly or quarterly, with a date on the cover that is in advance of the date it is actually published. They are often printed in color on coated paper, and are bound with a soft cover.

IRS 2006

Most top magazines experience decline in readership Going by IRS 2006, Round 1, Hindi fortnightly magazine Saras Salil has maintained its numero uno position with a readership of 73.61 lakhs, which is quite consistent with last years IRS Round 2 figures (73.66 lakhs).

CONTENTS
*INTRODUCTION
*IRS 2006
*INDIA TODAY
*Outlook
*The Week
*Conclusion

Overall, if I have to choose any one out of four it will be The Week Magazine, though page quality is not so good as compare to others but the contents are much better than other three magazines. Also The Week is an unbiased magazine, instead of polluting mind by learning all political and industrial ideologies, it will be better to remain secular, which helps in making an atmosphere of peace and harmony in the country and leads toward development and success.

Here is the link...Indian Magazines...and do post your comments there...

Sunday, September 02, 2007

Kisi ke intezaar mein.........!!!

Kisi ke intezaar mein yeh duniya chod jaonga

Kisi ko yaad aaonga kisi ko yun sataonga

Jagegi woh bhi raaton ko mein usko yun jagaonga

Woh chahegi mujhe bhoole mein usko yaad aaonga

Kisi ke intezaar mein.........!!!

Jo tadpan mere dil mein hai, jo saanson mein hai chingaari

Khalegi uski aankhon mein karegi woh bhi ashkbaari

Usse jab yaad aaonga woh mere geet gayegi

Jalegi mehfilon mein bhi karegi aisi dildaari

Woh pal bhoola kahan humko, woh bhoolegi kahan mujhko

Woh chahegi mujhe bhoole mein usko yaad aaonga...

Kisi ke intezaaar mein...........!!!

Jo pagdandi thi raahon ki, woh meri shaheraah hogi

Jo tadpati hai ab mujhko haan woh bhi shairaah hogi

Likhegi geet yaadon ke woh aise geet gayegi

Sadaf ban jayega aansu woh zulf-e-dairaah hogi...

Yun lamha rang layega woh mujhko kheench layega

Badal jaayengi taqdeeren muqaddar rang layega

Mein har pal saamne hunga woh har pal mujhko sochegi

Woh chahegi mujhe bhoole mein usko yaad aaonga

Kisi ke intezaar mein yeh duniya chod jaonga...

Kisi ke intezaar mein.........!!!

-Khan M. Asim...17/04/2007...8:39 PM...Nerul...

Friday, August 24, 2007

call free

Thursday, August 16, 2007

saawan mein patjhad yahan aaj-kal hai


Yahan aaj-kal gham hi gham hai basa

Chahaton ka nasha hai gum hochuka

Shafaq ke rangon mein udi aisi dhool

Mohabbat se goya hui aisi bhool

Ke chahaton ka nasha hai gum hochuka...

Yahan aaj-kal..........!

Muqaddar ke dar pe lagi aag goya

Zahen se mohabbat gayi bhaag goya

Nahin intezaar e sanam aashikon ko

Vehshat se hai ab chaman se gulon ko

Ke chahaton ka nasha hai gum hochuka...

Yahan aaj-kal..........!

Mehfil ki teri zaroorat hai kisko

Hai khilwat pasand ab hum aashikon ko

Ashkon ka behna, Khayalon mein rehna

Teri bewafai ka ilzaam sehna...

Tujhe hi mubarak teri mehfilen sab

Ke chahaton ka nasha hai gum hochuka...

Yahan aaj-kal..........!

Salamat rahe tu dua hai yeh rabb se

Mohabbat na karna guzarish hai sabse

Ke saawan mein patjhad yahan aaj-kal hai

Yahan aaj-kal..........

Ke chahaton ka nasha hai gum hochuka...

Yahan aaj-kal..........!

-Khan M. Asim...18/09/2006...7:50 PM...

Wednesday, August 15, 2007

Mera Bharat Mahaan!!!

jab zero diyaa mere Bharat ne

Bharat ne mere Bharat ne

Duniya ko tab ginatii AI

Taaron kii bhaashhaa bhaarat ne

Duniya ko pahale sikhalaayii

Detaa na dashamalav bharat to

Yun chaand pe jaanaa mushkil tha

Dharatii aur chaand kii doori ka

Andaaza laganaa mushkil tha

Sabhyataa jahaan pahale aai

Pahale janamii hai jahaan pe kalaa

Apana Bharat jo Bharat hai

Jisake pichhe sansaar chala

Sansaar chala aur aage badhaa

Jyuun aage badhaa, badhata hi gayaa

Bhagavan kare ye aur badhe

Badhata hi rahe aur phoole-phale

Dedicated to Mother India

Purab Paschim(1971)...

Ab jaag bhi jao!


Insaan se aaj insaan pareshaan hogaye

Shaitaan se bhi ziyadah shaitaan hogaye

Ghairat ko apni bhoolkar izzat ki roti chod di

Haatim ka rasta chodkar Haamaan hogaye

Koi achcha mile hai toh usse ahmaq samajhte hain

Lo insaan parind se bhi naadaan hogaye

Kahin atom ke phatne se laakhon jaan jaati hain

Hiroshima-Nagasaki sunsaan hogaye

Zamana-e-haal mein ab to sab inhin ke geet gaate hain

Blair-Bush hi ab samjho bhagwaan hogaye

Giri hain laash itni ke, farishte hain dua dete

Jo mushkil kaam the sab hi toh aasaan hogaye

Kabhi Hamzah (RA) to kabhi Yaseen (RA) ne khoon bahaya hai

Nahin jhuke mazhab ki aan pe qurbaan hogaye

Kiya hua iss quam-e-aakhri payambar ko

Musalmaan aaj darkar kya bejaan hogaye?

Utho phir aaj, tum kisi se kum nahin Musalmaanon

Chod do ye be-imaani, kaala-baazaari...

Islaam phir se uththega agar tum yakja hogaye

Musalmaan gar sahi mainon phir mein Musalmaan hogaye!

- Khan M. Asim...21/05/2004...3:40 AM...

Monday, August 13, 2007

Tumhi ho mera har jawaab!


Tumhari nazron se taab lekar

Jeeta raha hai aaftaab!

Falak se dekhen hain yeh taare jhuk ke

Zameen pe beitha hai maahtaab!

Tumhari nazron se taab lekar...!

Baadal chupe har ang mein

Ke har ada mein sharaab hai

Jun qadam badha yun thami zameen

Ke mausamon pe shabaab hai

Har nazar tumhi pe hai

Tumhi se hai yeh bekhudi

Tumhen hi dekh dekh ke

Jeeta raha hai aasmaan

Jun lab hile woh barsa aab

Tumhari nazron se taab lekar

Jeeta raha hai aaftaab!

Tumhi pe munhasir yeh meri duniya

Tumhi ho meri jawedan

Tumhi se dil mein tarang hai

Tumhi se hai yeh kehkashan

Tumhi ho dil ki aarzoo

Tumhi ho mera har jawaab...

Tumhari nazron se taab lekar

Jeeta raha hai aaftaab!

-Khan M. Asim...13/08/2007...8:15 PM...Nerul...

Sunday, August 12, 2007

MOHANDAS KARAMCHAND GANDHI


Yeh kiski khamoshi cheekh rahi hai?

Kaun hai jo waqt ko uda le jaraha hai?

Kaun hai jo mujhe kangaal kar raha hai?

Yeh mere apne hain!

Jo mujhe bhula beithe hain...

Mein HINDUSTAN!

Sazishon ka shikar

Aatank aur khoon ka maidaan!

Meri awaam...

Khoon ki pyaasi!

Birhastachar mein doobi!

Koi masjidon ko dhata hai

Koi mandir ko girata hai

Koi aag ko ugalta hai

Koi aansuon mein jalta hai

Meri virasat neelaam ho rahi hai!

Mera Gujrat jal gaya!

Kia koi isse roknewala hai?

Aaj kaun saamne aayega?

Woh bhi mera hi baasi tha...

Jisne Inquilab laaya tha!

Usne kabhi Hinsa na ki

Woh ahinsawadi tha

Jo satyagrah pe chalta tha!

Jisne dushman ke jhande ukhaad diye!

Yeh wahi awaam hai jo uske saath thi!

Magar...

woh aman ka haami tha

Saadgi se jeeta tha

Rawadaari uska hathiyaar tha!

Woh mujhe kabhi na bhoola...

Woh mera sapoot tha!

Aaj tarraqqi ke iss daur mein...

Kaun hai jo mera saath de?

Kaun inhein ladhte roke?

Kaash aaj Gandhi hota!

Mera apna...

MOHANDAS KARAMCHAND GANDHI!!!

- Khan M. Asim...31/7/2006...12:40 PM...On Dave sir's request...

Thursday, August 09, 2007

I love Gandhi too...

Sorry Mr. Merchant but u took me wrong way. I do beleive in Gandhi ji's idealogy. Who said I am against Gandhi? I too follow his idealogy of truth and non-violence.

But I am still stick to my words, I am against the Indo-Pak partition and whatever decision was taken at that time might be good for those days but for that one decision we are paying today.

And Mr. Mystical let everyone write whatever they want. But we can't change the facts. India was devided into 2 parts and then Pakistan also got seperated into East and West Pak.

Do you think partition of two communities can lead to peace? Then sorry I am not with you. After parttion there were riots. Infact for this You can watch movies like Ghadar, Batwara and TV serial Buniyaad.

Infact when we received our freedom from british rule in the mid-night of 14th and 15th Aug gandhiji was in Bengal juss to make peace (as there were riots in Bengal).

Gandhi ji's idealogy I will surely let you Know. Infact i have written one poem on him and his ideology in todays scenario last year and will post that soon on my blog...

Till than enjoy. And I love Gandhi too...

Sunday, August 05, 2007

******Happy Friendship day******


Farishton ko nahin milta yeh woh jazba hai insaani

Naseeba saath de jinka wahi dete hain qurbani

Oye tujhpe qurban meri jaan, mera dil mera imaan

Yaari meri kehti hai yaar pe kar de sab qurbaan

Qurbaani qurbaani qurbaani Allah ko pyaari hai qurbani...

- Qurbani...A Feroz Khan movie...my fav* hero...

Happy Friendship Day to all of You!

- I dont wish but I pray and believe that you are the happiest person in the entire universe.

- Dont wish juss pray to God for peace, harmony and friendship...

- its me Asim...the name you can bank upon...

- with lots of love n desires...

Friday, August 03, 2007

Lal Masjid - A time for Retrospection

Lessons of the Red Mosque Massacre: The Role of the Military

Sheharyar Shaikh

As the dust from the Red Mosque slowly settles on the ground and the decapitated body parts of Jamia Hafsa’s female students are sullenly picked up from the smoking rubble, the prevailing mood in Pakistan is anything but jubilant. An army reared to protect and serve the country deliberately used brute force against a largely innocent people caught in the imbroglio. Moreover, many who had been following the Red Mosque crisis for days are now left with dozens of unanswered questions surrounding the official version of the event. Reports are now surfacing that General Musharraf had planned to raid the mosque complex back in February but then decided to delay it so as to bring maximum PR advantage to his government – a government heavily discredited inside the country for failing its people and which now readies, after having won a shameful victory, for an undeclared war against its citizenry. A recent Stratfor report predicts that the Red Mosque operation ‘is likely the beginning of a long confrontation’ and such operations will inevitably lead to a clash involving ‘nationwide social unrest’. Way to go, General Musharraf!

Were the imams of Red Mosque wrong in their understanding of the fallen soldiers as non-martyrs? One might as well ask: How can a Pakistani Muslim soldier who fires arms against another Muslim and dies in the process all the while serving the Bush agenda for Pakistan become a martyr? He is a mercenary – a meager tool to carry out foreign designs, not a shaheed. Even the possibility of a moral ambiguity in the matter is surprising.

Please check the whole Article and others comment the article is written by someone else who have criticised the above abstract:

http://indianmuslims.in/lal-masjid-a-time-for-retrospection/

my commments:

I am with the writer (Sheharyar Shaikh). please dont interpret the facts. People inside the mosque tried to negotiate but no one was there to listen their voice. The Army could have released the gases to make them unconcious and might have captured them. But why it didn’t? because its not only Musharraf behined it but there is someone else behined the scene. The orders were issued from the so called “Super Power”.

And there are many cases in Islamic history, when there were fights between muslims and muslims. I cant comment who was right in those days but now its infront of our eyes. I think people here are too obsessed with America and its ideology. And dont you think, we muslims just to show our secular face becoming Anti-Islam.

All of us know that America’s so called anti-terrorism is “Anti-Islam” but still we are supporting it. But why? do we dont have any choice? Think over it my friends!

Monday, July 30, 2007

something interesting!

Found it when i was looking for news...juss read it!

McDonald's, the world’s largest restaurant chain has been sued by a Chinese lawyer for not using Chinese language on their receipt. The receipt has only English language, which violates the consumers' right to know.

However, as per reports, McDonald's quoted as saying that it was not fair to accuse the company of not using Chinese as its advertisements and menus were all in Chinese, its staff all spoke Chinese and the receipts had changed into Chinese since July.

Earlier, similar controversies forced Starbucks coffee shop situated in Beijing, to close its business after facing years of opposition.

Infact, we indians can do the same!

Hindi hamari Rashtra-Bhasha hai...hehehehehee

Sunday, July 22, 2007

Mere hosh aise uda gayi !



Koi lafzon ka jaam pila gayi

Koi mujhko sote jaga gayi

Amrit si ghuli un baaton mein

Phir ek sapna dikha gayai

Mere hosh aise uda gayi !

Uski zuban ka apna rang

Woh ek nasha woh ek umang

Kuch khabrein aisi suna gayi

Mujhe so so ghote laga gayi

Mere hosh aise uda gayi !

Woh hosh-ruba, qatil meri

Ek meetha khanjar chala gayi

Milna to tha usse mujhse abhi

par jaane ab woh kahan gayi

Muntazir hun beitha PC pe

Mere hosh aise uda gayi !

Khan M. Asim...22/07/2007...11:15 AM...

Saturday, July 14, 2007

Uske Swimming Pool Kinare!!!



Uske swimming pool kinare

Ek deewana rehta tha

Woh sabse hanskar milti thi

Aur deewana sehta tha

Woh jalpari, neem malboos

Raqs kiya jab karti thi

Ash ash karta bas deewana

Aahein bharta rehta tha!

Phir ek din bijli kadki...

Badal bole jaago pyaare

Raqqasa jun hi aayi panghat

Deewana lapak wahan pahuncha

Par soorat dekh uss mah-e-luqa ki

Woh phir sapnon mein jaa pahuncha

Raqqasa khoob thirakti thi

Deewana sang thirakta tha

Phir chutki baji...

Woh khulde bareen aankhon mein thi

Deewana makhmoor hua...

Phir dekhte rahe, dekhte rahe...

Yun hi sadiyaan guzar gayin

Aur phir dono qareeb aaye

Lab ba lab jun jaam pilaaye

Mausam ne phir naghme gaaye

Charind parind sab jhoom uthe

Mausam e baharan aa pahuncha

Dono hum aaghosh hue...

Tab...phir uss pari ne kaha

Tum ne itni der lagayi?

Deawana toh dhak se raha !!!

Usne kaha aisa kya kia?

Pari boli...

"Yeh raqs tumahri khaatir tha

Yeh husn tumhare sadqe tha

Roz o shab mein darti thi

Par tumpe qaatil marti thi!"

Deewaane ne choom lia!

Raqqasa sang jhoom lia...

Phir khatam hui saari tanhai

Agle pal dono deewane

lage pool mein dubki lagane

Saath aate the, saath jaate the

Hanskar sabko haath dikhaate !!!

Mein bhi uske pool pe hun...

Intezaar mein apni raqqasa ke

Kabhi woh deewana tha...

Aur aaj mein !!!

Uske swimming pool kinaare

ek deewana rehta tha...

Iske swimming pool kinaare

Ek Deewana Rehta Hai...!!!

- Khan M. Asim...13/07/2007...11:00AM...Train...

Monday, July 02, 2007

To stop train pull chain ! ! !

It’s being said that after serial blasts in Mumbai locals the railway department has taken several measures from technology to security for the safety of the commuters. But reality and the conditions shout a different story.

It was a frightening and thrilling experience. I boarded in a crowded Mumbai local’s 1st class coach from Wadala, as I have to change my EMU to reach at my place. Due to rush I was standing in the passage between the seats. The people were busy in their work, what ever they were doing, sleeping, reading and some in mobile chats.

Till Kurla everything was fine but when train reached near to Tilak Nagar station, the guy sitting on the window seat screamed “Saanp, Saanp, Saanp” (Snake). Listening to his words everyone became frighten. People started jumping and climbing on the seats and on each other. The situation was terrible, I, who was standing in the passage, was hanging on the overhead handle rod! In between somebody screeched to pull the chain. The guy near to the window tried many times, pulled the chain again and again. The train was on its as usual speed and didn’t stop.

Later people realised that it’s not a snake but some other thing, which is coming up and hammering the floor due to changing of tracks.

But I have a question, the train was supposed to stop if the chain has been pulled, but it did not, why? Was the motorman sleeping, he did not even bothered whether there is an emergency or not. In between train halted on two stations, Chembur and Govandi, people were screaming but no one from the railways or from security even turned to check the situation.

The government proudly says that it has controlled the situation and has taken measures to ensure the public safety. Is this a measure taken by it? Who will stop the train if the chain has been pulled? In case, if there had been a snake or a bomb then what?

- Khan M. Asim

Saturday, June 23, 2007

Phir Suni Uski Awaaz...!!!

Phir suni uski awaaz

Haiii........

Bas dil se aah nikalti hai...

Kai din se

Yeh duniya sooni sooni thi

Magar aaj

Woh madhur madhur jeevan dene wali boli

Phir se baharon ko awaaz de gayi......

Woh khilkhilahat o apnavat

Jo har begaane ko deewana bana de

Kehne ko shabd nahi

Likhne ko alfaaz nahi

Uski dhun se badhkar yaaron

Duniya mein koi saaz nahin...!!!

Kitne din hue.......

Dil murjha sa gaya tha

Halaq khushq o dimaagh sookha hua...

Har soch pe moch...!!

Magar aaj....

Uss raqqasa ke do bol se

Khamoshi sangeet ban gayi

Har lamha jhoom utha

Mausam bhi rangeen hai

Patta patta naha raha hai

Uska deedaar toh nahin

Magar uski awaaz hi

Apna jeevan hai...!!!

Woh jo kaanon mein amrit ghol gayi

Haan wahi khuld e bareen ki raqqasa

Jiski paazeb sapnon mein goonjti hai

Woh khalq e rahmani, dua e aabidi

Door hai magar dil mein hai

Wahi to hai...

Har mussavvir ki moorat

Har mussannif ki kahani

Kisi shayar ka deewaan

Aur hamare liye.......

Liwan e jamshedi......!!!!

- Khan M. Asim..23/06/2007...4:35 PM...

Aamade Gul e Shagufta .....!!!


Jannat mein khoobmaze mein tha phirkyun mein dehar me aa baitha

Uss gul ka shagufta hona tha aur dard jigar mein aa baitha

Woh chaand sifarish karta tha woh taare dard jagate the

Ubla toh mein itna ubla toofaan behar mein aa baitha

Yun bhatka saqi maqtal ko mein duniya saari bhool gaya

Manzil ko meine qatal kiya aur tere shehar mein aa baitha

Teri amaan mein dil mera tere haathon mein duniya hai

ASIM duaen bhool gaya aur taab e sehar mein aa baitha !!!

- Khan M. Asim...08/02/2007...8:15 AM...Train....

Wednesday, June 13, 2007

Ek Paheli ?????

Arre sun saheli ek paheli

Duniya mein woh ek akeli

Aankhen goti Zulfein choti

Samajhti khudko hoti hoti

Badan se par hai moti moti

Shakal se laage dhenchi dhenchi

Zabaan chalaye jaise kaienchi...!!!!

Zara batlao toh kaun hai woh?????

- Khan M. Asim...13/06/2007...8:00 PM...

Sunday, June 10, 2007

Aaj Phir Nazron Mein Thi !!

Woh bewafa !

Do tarfa chaku

Sharafat jiska sheva nahin

Husn ke nashe mein sarshaar

Taqabbur ki moorat

Aaj phir nazron mein thi...!!!!

Sapaat chehra

Bagher kisi ehsaas ke

Woh jafakash

Jo kabhi saaqi na ban payi

Dasna jiski aadat hai

KOi badrooh ki soorat

Aaj phir nazron mein thi...!!!!

Saamna jab hua

Dimaagh khayalaat se khaali

Nazrein milin

Magar!!!

Unmein woh taab na thi

Ik ajab si jalan seene mein daud gayi...

Ehsaas usko bhi tha

Hawaas fakhta tha

Kuch ghabra gayi

Jo sirf waqti thi

Woh jaanti thi

Mein darne wala nahin...

Magar uski bewafai

Woh uski behayai

Mujhe udhed bun se nikal gayi

Woh Mehbooba e Shaddadi

Aulad e Dajjal...

Aaj phir nazron mein thi...!!!!

Na koi guft o shuned

Na koi izhaar e haal

Aur dil mein yahi sawaal...

Tumne aisa kyun kiya ????

Meine toh socha na tha...

Woh lajawaab o behijaab

Naar e Arzi ka Azaab

Aaj phir nazron mein thi...!!!!

- Khan M. Asim...09/06/2007...10:14 AM...Train

Friday, June 08, 2007

Usse Bichadke...!!!

Unki aankhon ne jo pilai masti...

Doobe gham saare kho gayi hasti !

Bichad ke usse yun laga humko

Umar bekaar zindagi sasti !

Yun kiya shikwa mohabbat mein jafakash se

Kho gaye mausam ujad gayi basti !

Aaj bhi kone se ghoorti rahe hai mujhe

Woh lamse gaisun har lahar dasti !

Yun toh ASIM jawaan hua lekin

Hai shauri har nafas kasti !!!

- Khan M. Asim

Sunday, June 03, 2007

! ! * * G O L D E N P O E M * * ! !

Dont know, how to start? but I am really thankful to Allah! Who responded positively on my duo o shikayat. Its really a miracle, i am still trying to believe it! I remember my tough time, i was hospitalised due to malaria (last stage of malaria). Every one was tensed and i was almost unconscious. Doctors asked daddy to write an application i. e. if anything happens during the treatment doctors wont be blamed for that and he, himself will be solely responsible for it. And he cried but signed it.

On next day was my first day of Vth sem exams. I wrote this poem (below)in the night and started pleading, that i will give my exams. After all discussions i was discharged against medical advise. Daddy and Arif Bhai used to accompany me to the exam center. Nobody gave me his/her notes, as they too were busy in their studies. After facing all these situations exams got over. And result was astonishing as my result was almost similar to others. I passed the semester without any ATKT, however 2 of my classmates failed in the same.

And with the time, My illness too vanished and health started improving. Now it was time to study hard for sem six, the last and the final examination. I started working for my projects and finished with full dedication. I scored well in projects too but people think " as i am Anand sir's favourite student he gave me more marks than them". "Sugar-Coated" this is something they call me.

But the fortune says a different story, the suger coated not only scored well in projects but in theory too. I not only covered the over all margin but also became the only student (in my college) to score a distinction and topped the six semester exams. And now I am unable to handle myself, really happy and enjoying the life to fullest. Looking forward for better future. And i know the future is more bright, this is just the beginning of life.

This really means i am "sugar coated" otherwise how can i score this much...THANK GOD I AM SUGAR COATED.

This poem i wrote when i was hospitalised due to malaria. And this really having a major impact on my life...You too read it....and pray to GOD !!
********************************************


Jisne paida kiya yeh zameen aasman

Hai woh saare zamane ka malik kahan

Yun to Khaliq hai woh aur Raziq bhi hai

Par pareshaniyon me gaya woh kahan.........!

Han tu shahrag se bhi meri nazdeeq hai

Mujhse parda na kar apna jalwa dikha

Apna raham o karam zara mujhpe luta

Bhej mujhko wahan sukoon mile hai jahan.....!

Tere ahkaam ko mein na bhoola kabhi

Tu meri zindagi ko ab yun na bujha

Halat-e-zaar hai banda bemaar hai

Apni takhleeq ko bakhsh de tu shifa

Tera deedar ho itna armaan hai

Ae Malik mere tu nihan hai kahan....!

Mere qalb-o-jigar tere paband hain

Jaam-e-jamshed tu mujhko karde ataa

Meri dhadkanon me tera geet hai

Hai tera naam meri ragon me rawan....!

Tera mehmaan hai aur musalmaan hai

Kare kya kare woh pareshaan hai

Itna ahsaan kar jeena aasaan kar

Pass karne de mujhko mera imtihan....!

Mana maghroor hai ASIM mazoor hai

Maaf karde tu meri har ek khataa

Bakhsh de tu mujhe aur tandrust kar

Ba-sadqae Sayyade(PBUH) dono jahaan...!



Khan M. Asim ....07/10/2006...

Wednesday, May 30, 2007

bas ek sher....

Bechain hain hawayein, ghatayein shabaab par

Baaqi tika hai saathi tere jawaab par

Dekho baharein phir se maharbaan hain huin

Hum bhi hue hain dher teri chashme sharaab par

Tu ne kiya tha ghair se milne ka gham mere

Tere hain hum tere har safhe kitaab par....

.........continued.....still writing...
plzz wait for complete song..

- khan m. asim...30/05/2007
******************************************

Koi safar mein rehta hai koi intezaar mein

Kaamiyab kab hua hai koi tere pyaar mein ?

- khan m. asim...30/05/2007

Sunday, May 27, 2007

! ! W A N T E D ! !

So now I have a licence to marry too. I am looking for an old lady. Age around 65, hairs white, face dry. She should have atleast +5.5 specs (Chashme baddoor ho). She should have atleast three children. All of them should be working. I will be more happy if she can't cook...I will be happy if she sits on a wheel chair...I will be happy if she is toothless (toothless tigress). Who can afford my mobile bill, GF's kharcha paani n ofcourse my night shifts (working timings...ufff.. dont think so much)... n so on n so on...Then we will romance till the end of atleast her life. So what if Amitabh romanticising with 30 yr old lady...She too have a right to marry a 21 yrs old fool (ofcourse a wise fool)...

(Unke budhape mein hamari jawani janam legi)

If you are a female, above 60 looking for a kid, an energetic husband, a young n talented (hope so) journalist then you are at right place…

But: situation is vacant till 27th May 2007 after that no chance, so propose me as soon as possible...

You can comment here or contact me...

The name is Khan...Asim Khan.....

For Me...Happy B'day.....

Now I am dedicating it to..I, Me, Myself...

Fariyaad kar raha hun yeh din hamesha aaye

Kismat banane waala khud aap muskuraye

Usne banaya tumko kuch khaak mein milake

Tum khaak bhi bane toh auron ke kaam aaye

gar che baeed ho tum mein jaanta hun isko

Alfaaz mere tumko behad qareeb laaye

Ab kya kahun mein tumse fariyaad kar raha hun

Yeh din hamesha aaye yeh hamesha aaye.......!!!

hahahahhahahahahahhahahahaahahahhahahahahahaha

- Khan M. Asim

Friday, May 25, 2007

Global warming and Quran

Global warming and Quran
Global warming is a major problem the world facing today..But Allah has warned us 1400 years ago about it. Its there in Holy Quran in Surah Ra'd...Ayyah 41...


13:41 See they not that We gradually reduce the land (in their control) from its outlying borders? (Where) Allah commands, there is none to put back His Command: and He is swift in calling to account.

Topics discussed in this Verse:
[Allah:calls to account] [Allah's attributes:Swift in taking account]

Awalam yaraw anna natee alarda nanqusuha min atrafiha waAllahu yahkumu la muAAaqqiba lihukmihi wahuwa sareeAAu alhisabi

Think over it......!!!

Asim

Allah o Akbar

* * ! ! H A M D ! ! * *

Ankhon mein nami honton pe dua

Tera naam liya dil thaam liya

Jun sajdah kiya aaraam kiya

Tere naam ne maala maal kiya !

Jungle mein shajar sehra mein chatar

Kashti ka bhanwar mein saath diya

Kya kya na kiya tu ne ehsaan

Shehrag mein rooh ko daal diya !!

Ji bhar ke diya man o salwa

Pyason ko zam zam aam kiya

ASIM pe karam maa baap ka sar

Roshan mustaqbil haal kiya !!!

Khan M. Asim....25/05/2007
(train....9:25 AM)

Saturday, May 19, 2007

!! MUJRIM !!


Maktab se nikla toh maqtal mein pahuncha

Maqtal mein pohuncha toh mulzim bana mein

Woh zaalim jo aaya mazloom bankar......

Usse dekhkar phir mujrim bana mein !!!!!!!

Na likhtam ko samjha na baktam ko samjha

Na ashkon ko samjha na shikwon ko samjha

Na mahfil ko samjha na majlis ko jaana

haan jise tau aaya meri har ada pe...

Usse dekhkar phir mujrim bana mein !!!!!!!

Na aaghaaz jana na anjaam jana

Mera naam lekar ke ungli uthana

jise bas padi apni awaargi ki...

Usse dekhkar phir mujrim bana mein !!!!!!!

Khayalon khoya raha bekhabar mein

Milne ko jisse raha besabar mein

Jab jafaon ka usne himalya giraya...

Usse dekhkar phir mujrim bana mein !!!!!!

Sapnon mein har dum ussi ko tha paya

khudi se bhi ziyada usse dil lagaya

Usse bhi jab paya khada dushmanon mein...

Usse dekhkar phir mujrim bana mein !!!!!!!

Maqtal mein jis dum se ASIM hai aaya

Kisi ke bhi raham o karam ko na chaha

Woh zaalim jo aaya mere qaatilon mein

Mujhe qaatilon ka bhi qaatil banaya

Ussi ne kaha tha yahi hai woh mujrim

jise dekhkar phir mujrim bana mein !!!

Usse dekhkar phir mujrim bana mein !!!!!!!!
..............................................
- Khan m Asim 29/06/2006

Kya mein mujrim hun?? mera jurm kya hai???

Mera gunaah yeh hai ki mein begunaah hun...

mera jurm yeh hai ki meine koi jurm nahin kya...

mere maktab hi mera maqtal kyun????
................................................

awaaz e khalq gar ke naqqarah e khuda hai...

kya teri sada mein ASIM dil e bekaran nahin hai...
.......................

Aman ka pujari..insaaf ka taalib....matloob e hawalaat kyun???....yeh aisi takleef hai ki darwazah band kardun to roshandaan se jhaankti hai....magar jawaab...kuch nahin..ek lambi khamoshi...tareeki...mayyoosi...gham o alam...
zameen pani ki pyaasi hai aur hum khoon se sinchai kar rahe hain..
wah...wah!!!!

Friday, May 11, 2007

!!!! Lafze Mohabbat !!!!


Koi shayar bana koi ghafil hua...

Koi khuda e mohabbat hua...!!

Koi bekhabar koi bakhabar koi bekas hua,

Koi charahgar koi rahguzar,

Koi Hatim sakhi e mohabbat hua...!!

Tumhi sochlo manzoor kya hai tumhen...

Gar che badnaam ho magar naam ho

Tumhari hi bahon mein bas shaam ho

Jo pardah uthaon to deedaar ho...

Tumhara hi jalwah bas aam ho...!!!

Kise hai khudi kise bekhudi...

Tumhare hi dum se hai yeh maikashi..

Tumhari hi aankhon se duniya hansi..

Tumhari adaon mein duniya phansi...

Itna armaan abto mera yaar hai...

Dekhun nigahon mein kya pyaar hai..?

Tu bhi anjaan hai mein bhi anjaan hun

Phir bhi hai raaton mein mehfil jawaan...!!!!

Aisi kya baat hai kaisa ahsaas hai?

Na hi deedaar hai phir bhi tu paas hai...!!

Kaisi yeh aas hai kaisi yeh pyaas hai...?

Yeh mujhe tu bata ae mere saathiya.....??

Liwan-e-jamshed tu, Rooh e khuld-e-bareen...

Kabhi jalwah to apna dikha de zara.......

Kya hai lafz e mohabbat sikha de zara...!!!

Khan M. Asim....7:36 Pm...10/05/2007

Thursday, May 10, 2007

Yeh kaisi khushi??

Har lafz sadaqat wala tha

Har lafz mohabbat ka dariya

Tum paar gaye hum doob gaye

Tum usme khush hum isme khush!!

Khan m. Asim...09/05/007

K O I .... K A I S E ?????



Koi kaise naaraaz ho sakta hai?

Kisi ki ek baat se chand alfaaz se!

Tum hi se wabasta har khwaab kar diya

Tum hi pe munhasir har jawaab kar diya

Magar aaj tumne..........

Humko lajawaab kar diya!!!!!

Najane kiya kya tamannaien piro li thin

Ek hi kachche dhaage mein

Magar ek zara si lachak....

Poori tarah udhed gayi!!

Ab tum chahe nuksaan karo chahe karo dukhan...

Ab kuch na kahega ASIM KHAN!!!!

Tumhari har baat keel ki manind dil mein gadh gayi...

Meine socha na tha....kabhi aisa bhi hoga....?

Tum najane kaunse Aalam mein ho?

Najane kyun anjaan banti ho....

Kabhi in aansuon ko bhi moti samjho....

Shayad kuch qeemat samajh aajaye!!!!

Tumhara woh dil dehlane wala payaam

Aur uspe woh tursh o tikha lafzon ka jaam...

Mano mujhe beech bazaar barhana kar raha ho....!!!

Zamane ki har oonch neech samajhti ho...

Magar meri har baat pe aitraaz!

Kisi baat ka khayaal tak nahin...

Jo izhaar nahi karte woh bhi aashiq hi hote hain...

Namard nahi hote...

Kuch majbooriyaan zaroor hoti hain..

Zamane mein rehkar apni kishti bahao

Warna koi na puchega.....

Magar iska matlab yeh nahi ke

Mohabbat se anjaan hojao...

Lekin kuch baatein dil mein rahen to behtar hai...

Har baat zubaan ki mohtaaj nahi hoti...!!!

Kaun kehta hai tum ghalat ho??????

Magar sahi saabit karo to mein janun...!!!

Mein bhi koi saadhu nahin......

Magar yeh duniya hai jeene nahi degi....

gar apna samajhte ho...to apna samjho bhi....

Begana har koi hai!!!!

Deewana har koi hai...

Par..

Parwana har koi nahin...!!!

Meri nazar se duniya dekho....

Duniya bhi dekho jhoomti hai...

Raqs karo tum bhi RAQQASA......

Khoob karo tum athkheliyaan....

Par yaad rakho kuch baaton ko...!!!

Meine jisko chaha hai usko apne dil se poocho...

Yun hi to koi deewana nahi...apne man o an se poocho!!

Har guzarish har tamanna vaaste hai aapke...

Chahe rakkho ya thukrao.....

Par hum se yun tum door na jao...!!!

Koi kaise naraaz hosakta hai???

Kisi ki ek baat se chand alfaaz se...

Ab tum chahe nuksaan karo chahe karo dukhan...

Ab kuch na kahega ASIM KHAN!!!!

Khan M. Asim...2:47 AM..09/05/007

Tuesday, May 08, 2007

**!!!! LIWAN E JAMSHEDI !!!**


Kabhi chaaku kabhi qalam banti thi nigahen

Har maddeh mein uski tehreer jawaan thi

Taqarrur bhi kiya usne to naam na poocha mera

Bas uski nigaah mein meri tasveer ayaan thi

Taghaful bhi kiya usne aur todi sipar bhi

Yun nazuk thi magar woh shamsheer jawaan thi

Kooche mein shab o din ke rehti thi khadi woh

Woh shola badan dore lahoo yakseer rawaan thi

Uski nigah mein qaid mein zamane ke saath tha

Baandha tha usne sabko woh zanjeer jahaan thi

Khulde bareen mein aaj bhi khoi hai kahin woh

Woh raqqasa hunar-mand taqdeer jahaan thi

Liwan -e- Jamshedi ko yun ASIM na pee saka

Sehne ko taab noor ki tadbeer kahaan thi!!

Khan M. Asim 15/04/2007....

Monday, April 16, 2007

So....I am back!!!!

Hukka banaame zindagi dushwaar hogaya

Aisa utha dukhaan ke khumaar hogaya

Usne diya jo haath me meikhane ka dar mere

Khud bakhumaar jaam bhi madhkhuwaar hogaya.....

- Khan M. Asim..16/04/007

Saturday, April 14, 2007

Analysis of Indian Business Magazines

I have analysed three business magazines as part of my studies. Here is the conclusion.

Definition of a Magazine - “ Any publication with a periodicity of one week or more is a Magazine”.

Business journalism – It includes coverage of companies, the workplace, personal finance, and economics, including unemployment and other economic indicators. Business coverage gained prominence in the 1990s, with wider investment in the stock market and Globalisation. All major broadsheet newspapers carry a business section to a varying degree.

1. Business Outlook – For Decision Makers
2. Business Today – For managing tomorrow
3. Business India – The magazine of the corporate world

Conclusion

If we compare the three magazines, every one is good on its position. The professional format and colour images have been used. As compare to newspapers, magazines have longer life and more readership. These magazines have completely different outlook than daily papers.

......... ............. ...............

Advertisements has more privilege to news, Business today resembles to an ad magazine.

Over all, I liked three of them but when it comes to give my own ratings and possible qualities I found in three of them, this is my conclusion:

1. Business India
2. Business Outlook
3. Business Today

read complete analysis. here is the link......

http://www.businessasim.blogspot.com/

Thursday, March 15, 2007

Khulde Bareen Ki Raqqasa!!


Lo tumne hamein jaga diya

Murjhe murjhe ko phir se khila diya

Saat naakaam koshishen aur ek payaam

Uspe tumhari awaaz ka woh khumaarawar jaam

Hum to khush the tanha tanha

Go ab bhi hain tanha hi hum par

Hai dil pe chaya tumhara saaya

Tum hotin to kaisa hota

Mann mein kyun sawaal hai aaya

Dono jhoomein raas rachayen

Jannat ka har pardah girayen

Aankhon se chalakta jaaam tumhara

Aur meikhane par naam hamara

Tang nazron ki aisi teisi

Kya logon se kaam hamara

Hum indra ke mukut ko pehnen

Aur tum apna jalwa dikhana

Raqse taus tum karo jab

Ho hamara nara wah wah

Jeet gayi tum dil ki baazi

Humko haarke mazah hei aaya

Sushil, shant, lolita ho gar

Ho jal sheetal andaz tumhara

Rukh chandni ko nahlaye

Aur zulfein hon nadiya ki dhara

Der shab kuchae dil mein

Ek mehfil tum roz basana

Jub sojayen duniya waale

Humko pyaar se tum jagana

Kitni khwahish yeh dil karta hai

Har aahat pe yeh marta hai

Tum sahir ho tum chalawa

Ho sagar ka door kinara

Haan pehle bhi dil dhadakta tha

Par uska yeh andaaz na tha

Pehle bhi jage hain raaton mein

Par ishq e beawaaz na tha

Jo maang kabhi tum pyaar se lena

Jaan tumhare sadqe jaaye

Tumse badhkar kaun hamara

Tum ankhiyan ho tum hi ho dhara

Raqse taus, naghma e bulbul

Range khushboo, bue har gul

Hai tumne chain churaya sa

Tum meri ho bas meri ho

Ae khulde bareen ki raqqasa!!!!

- Khan M. Asim 15/03.07..3 AM...

Sunday, March 04, 2007

Saturday, March 03, 2007

!!!! Memories !!!!!

Those memories always haunt me,

Your chatter, laughter and smiles,

Sometimes you broke my heart and coyly hid your face,

Your meetings and farewells,

Your stub born please to make me go,

Those words you spoke have smitten me,

Amidst my laughter I cry in pain,

Is it your beautous form or my youth,

That urges me to say to you,

You are a fairy with heaven your home,

And intoxicated I long for..............

You are my life and will remain,

Even when we leave this world,

!!!!!"""YES MY LOVE IS TRUE FOR YOU"""!!!!!!

- KHAN M. ASIM 24/08/2005......

Thursday, February 22, 2007

Arpita

karobaare duniya...belagaam chal raha tha
koi khuda majazi koi naam kar raha tha
iss sogwar mehfil me range sukhan badhane
khud aaap apni izzat khud haath se karane
uss paak zaate aqdas ne arpita banayi
woh arpan apna sub kuch usske liye karegi
jo kaam bhi karegi usske liye karegi
yeh sochke woh khaliq khud aap muskuraya...
arpita ko usne bade naaz se banaya
....aur ittefaq se woh arpita meri dost hai!!!!!!!!

Wednesday, February 21, 2007

4 u my frnd....

ek pink kapdewali ladki
thodi adyal thodi natkhat
aankhon se thi khoob sayaani....
maano pariyon ki woh raani...
uski zulfein subhanallah
aur adayen allah allah
mano jannat se aayi thi...
sadak pe kaise woh aa pohunchi........
mein kabse yahi soch raha tha...
dekha to office ko jaati thi...
lo ab pariyaan office bhi jaati hain....
yeh sochke mein tha heiran heiran
tension mein thi kuch lagti woh bhi
awaaz di meine kuch usko...
par shayad koi rukhna aaya...
woh peeche wali bus me beithi...
mein aage waali mein hi raha....
naam uss khoob haseen ka....
soch zara tum batlana...
pariyon jaisi aankhon wali...
darshan aapna phir se karana...

4u..my frnd..i saw u after 5 yrs...but still ur same....
May god keep his grace upon u...
- khan m. asim 20/02/007.....

Friday, February 16, 2007

Industrial Visit!!!!!!!!

A small, adult rated poem...dedicated to:
Nazim, Imran, Prince, Ibrahim, Saad and Hozefa.......

#plzz read till the end...
*****************************************************

Sanati karobaar me tulba ka kya kaam hai???

Industrial visit to yaaron bas lootne ka naam hai...

Is me game bade hain hote, aisa kuch humne bhi kiya,

Hum bhi gaye the ghoomne Anand sir ke saath me,

Bus me shor sharaba tha, har sun dhoom dhadaka tha

Mein bhi tha unlogon me thoda chup pareshaan sa.....

humrah mere shash(6) shaitaan aur unke beech me ek farishta!!!

Party!! samjho lut gayi thi meri dhanno bazaar me...!!

Mein gaya tha mahableshwar bas doston ke pyaar me....

Un saalon ko kahan thi aqal jo sochein kuch seedha seedha..

Unki aqal thi tedhi tedhi aur me poora hi tedha!!!!

Nazim wafa nibhata tha, Hoze sutte lagata tha...

Ibu jaisa tha waisa, Saad maze udata tha......

Prince aida tha bewda, Imran video banata tha.....

To doston ab shuru hoti hai ek kahani

Tazah tazah nahi purani

Day One:

Pehla din Kuch Aisa tha...

Mahableshwar ki dhandi thandi fiza

Shaam gaye hotel pohunche.....

Hotel maano jannat tha...par apsara ka naam na tha!!!!!!

Rote rote Prince bechare geet yahi bas gaye re....

Raasta bhooli koi hasina kamre me ghus jaye re....!!!

Ibrahim to ek nasha hai, 24 ghante ki tamanna....

Kone hi mein beithe beithe woh cigarette sulgaye re.....!!!!

Phir mehfil jawaan hui....Dor-e-Saghar aa pohuncha....

Phir gaye bazaar me hum kuch dhoonde rang sharab ke.....

Mein, Imraan the heiran heiran jub nikle rang hijab ke...

Saare shurfa saamne aaye jaam ne aise rang dikhae...

Nazim bhaiya cigarette mange aur huzefa light lagae....

Phir sujhi kuch Garmi layein, mausam ko rangeen banayein...

Saat deewane lakdi dhoondein chupke se alauo lagayein....

Lakdi dhoondi aag lagayi, alchohol se usse bhadakyi....

Qismat magar kahan thi aisi, ek vardiwala aa pahuncha....

Humne chup se aag lagai, Usne hum logon ki bajai....!!!

Cigarette de usko uljhaya, aag ko pani se bujhaya......

Phir kamre me gaye, diary likhi aur so gaye....

Day 2:

Der subah aankhon ko dhoya, sooraj sar pe tha goya

Shahad ki makkhi ko dekha apni qismat ko roya....

"Kahan makkhiyaan kahan media!!????"

Mere Anand sir mahaan baaqi saari duniya ghaan!!!!!!!

Phir ghudswaari ki sujhi...pahunch gaye bazaar me

Ab ke Saad ki luti Dhanno bhare bazaar me...!!!

"Horsefobia, bole to mere ko ghode se darr lagta hai"

Nahin chadhunga mein ghode pe "bhai" ne ratt laga daala...

Akhirkaar hum logon ne ghode pe chadha daala.......

Phir daud hui ghodon ki shafaq me...

Tap, tap, tap, tap, tap, tap, tap, tap, tap.........

Sunset point ko dekha......

Raat gaye hotel aaye....

Prince bhaiya bottle laaye...!!!

Phir Ibu ne jamke chadhai,

Saad ne bhi Yaari nibhai...

Der shab bahar aaye........

Apna kona pakad ke beithe...

Ghup andhera......raat ka saaya....

Bhooton ka phir naam jo aaya..........

Bhoooooooooooooooooooooooooooooooooooooooooot!!!!!!

Nazim bhai ki hil gayi...

Bole to bammae "chaddar phatke rumaal hogayi"!!!!!

Phir wahin par beithe beithe poori raat kat gayi...

Day 3:

Phir wahi shabjagni..phir wahi der se uthna.....

Nashte ki table ka Anand sir ke haathon lutna...!!!!

Saad ne phir mujhpe bhi apna rang chadha daala....

Bole to phir mamu ne mujhko "dude" bana dala!!!!

Phir nikle Pune ko hum sab....................................

FTII mein pahunche......

Jo mujhko crazy kya re....

Kya aisa Daizy kiya re?????

Kheir Rabb jaane jo bhi tha....

Daisy kya re, Daizy kya re!!!!!!!!

Bechari mam aur me nanha bachcha....!!!!

Logon ne kahani bana daali.......

Akhir hua jiska darr tha.....

Tyre puncture aur kiya???

Akhir Rizvi waale hi the...aat aate saare saare

Bechare sir pe chadh gaye.....

Daizy ko bhi khoob sunai..phir aapas me nadh gaye....

Rizvi ki lag rahi thi vaat!!!! aur kone me Ibu ki Khaat!!!!

Har kash me jannat pata tha, par sab pe nazrein rakhta tha....

Neem nasha woh aankhon me liye angdaiyaan bharta tha.....

Akhirkaar mein ghar aa pahuncha...........................

AAj ek blogger ne hai meri vaat laga daali....

Jisne mere raste lagaye...uski wafa ki maa ki aankh...

Salaam namaste bhai logon ko......

Gustakhi Maaf

Now you are allowed to abuse me. Sorry if it hurts you. But its truth.nothing else.!!

Hahahahahahahahahahahahahahahahahahaahhahaha