Friday, August 05, 2011

Dil Keh Raha Hai!


Aaj na jaane kyun

Dil keh raha hai

Tum jeevan ho

Tum amrit ho

Tum hi ho,

Hooron ki malika...

Tum hi ho dil ki raqqasa...

Tum se ab mein door na jaon

Sirf tumhare naghme gaon

Yun hi tum mein kho jaon...

Kisi nadi ki tarah lehraon

Aur tum Samandar ki tarah

Mujhe khud mein samet lo...

Inn lehron mein,

Doooor tak behta chala jaon...

Kisi viraane mein,

Kisi jazeere pe...

Tumhari zulfon se khelun

Tumhare neinon ko chumun

Tumhein baahon mein bhar lun

Tumhein saanson mein kas lun...

Tum mujhe dekhti ho,

Mein tumhe dekhta hun...

Mas-hoor patte yunhi leh-lahayein

Jharnon ke girne ki aawaaz aayein

Parbat se aaye woh Koyal Coo coo

Ambar pe panchi yunhi cheh-chahyein

Chaandni raat ho,

Saath apne ho jugnu,

Haan shamma jalane ki naubat na aaye...

Taaron ko takte rahein hum falak pe,

Bas hum-tum hon koi wahan pe na aaye...

Bade pyaar se,

Humko sub-ha jagaaye...

Koi kaam apne,

Haan aade na aaye...

Tumhara ho maktab

Tumhara ho daftar

Tumhari ho mehfil

Tumhara ho Manzar...

Mumkin ho aisa hojaye,

Beithe hain hum haath uthaaye,

Aisa bhi ik lamha aaye,

Kaash waqt thaher jaaye...

Tum meri ho, mein hun tumhara

Ek duje se kehte rahein...

Bas baahon mein beithe rahein

Yunhi hum-tum pyaar karein...

Aaj najane dil kehta hai...

Dil ki baatein yaar karun

Sab tum se izhaar karun...

Tum se behad pyaar karun!

- Khan M. Asim...05/08/2011... 02:05AM!

2 comments:

Arpita Sarkar said...

Hmmmm..... :) Nice

Asim Khan said...

Thank You Arpi :)