Fateh-e-Makkah
Sun lo sun lo Makkah waalo aaya hai farmaan
Jeet hui hai sachchai ki haar gaya shaitaan
Fateh mubin ho tumhe mubarak kehta al-furqan
Haar chuke hain dekho saare Abu-Jahal,Sufiyan
Khane-ka'aba mein tum thehro sehne Abu Sufiyan
Jo bhi yahan pe aajayega bakhsh di uski jaan
Tumpe raham hai tumpe karam hai aaqa ka elaan
Ghutne tek chuka hai baatil qaayam hai imaan
Laat, manaat pe laanat bhejo kholo apne kaan
Bilal chatt pe pahunch gaye hain dete hain azaan
Koi na chota koi bada hai sab hain ek samaan
Kaale gorey ab hain barabar sab hi hain insaan
Sabko milega jeene ka haq sab ka hai mizaan
Ab na dabegi paida hote aawaaze niswaaan
Usko milegi beshak jannat jo hai musalmaan
Maango mujhse mein deta hun kehta hai Rehmaan
Ab na chalega jabr kisi ka sunle har haiwaan
Makkah hai ab aman ka markaz iss mein hai amaan
Qaayam ab jo yahan hua hai pheilega har aan
Tum mein hi hain Khalid, Umru tum mein hi Usmaan
Haqq ki khaatir tum ghar chodo uthalo apni kamaan
Ab na rahega takhte Qaisar na Faaras ki shaan
Koi nahi ab shaah tumhara koi nahin bhagwaan
Allah hi hai sab ka raazik Allah hai sultaan
Door hui hai sab taareeki, aaya Al-Quran
Noore Mohammed se hai roshan dekho saara jahaan!
- Khan M. Asim... 16/08/2011... 1:18AM!
2 comments:
To Ab Fatah E Makka....17 Ramzan ki yaad dila di aap ne....Lekin her Aazadi ka alg paimana hai bhai....
Shukria Danish bhai... haan har azaadi ka alag paimana hai... fateh makkah awwal tareen paimana hai... jahan khwateen ko hukook miley, ghulam azaad huwe... aur dushman ke ghar ko amaan-gaah qaraar dia gaya.. yeh angrezon se jeet nhi thi.. yeh haq aur baatil ki ladai thi... jahan se Islami hukumat qayam hui..!
Post a Comment