Sunday, December 28, 2008

Shamma tum jalaye rakhkho


Har taraf jung o jadal, firqa parasti ka samaan

Sukoon milta nahin ab peeri aastaanon mein

Charkh e gardun surkh ast, zehreli aab o hawa

Har taraf lahaul hai ab toh aasmaanon mein

Nadamat o pashemaani virasat ban gayi ab toh

Zindagi utaran hui goya musalmaanon mein

Joshe jahad ab phoot raha hai baanke naujavanon mein

Goonjti hai la-ilaha ab toh kohistaanon mein

Loot liye sab dariya usne, atom uska sarmaya hai

Phir bhi joote khaa jata hai ab woh registaanon mein

Doob gaya hai sooraj go ke Iraaq o afghaanon mein

Shamma tum jalaye rakhkho ghar ke roshandaanon mein

Yakja hokar ab mil jao, aman ka parcham tum lehrao

Muskura ke dil behlao, hai baat yahi farmaanon mein

Doob gaya gar ilm AYESHA saghar o paimaanon mein

Tumhari daastaan tak na hogi daastaanon mein...!

- Khan M Asim...27/12/2008...2:500 AM...on request of my dearest baji...:)

Friday, December 26, 2008

Mein kab tak karun?

Tumko paane ki baatein

Mein kab tak karun?

Hansne hansane ki baatein

Mein kab tak karun?

Baaton ki baaton mein

Yun hi mein uljha rahun

Sochun yeh kehna hai

Tumse mein kaise kahun

Roti ho jab bhi tum

Mein kya karun?

Tumko manane ki baatein

Mein kab tak karun?

Urdu mein likh dun toh

Hindi tum kehti ho

Tumko sunane ki baatein

Mein kab tak karun?

Yaadon mein guldasta

Lekar tum aati ho

Bolun mein ooncha toh

Aahista kehti ho

Chupne chupane ki baatein

Mein kab tak karun?

Aati ho milne haan

Mujhko tum sapnon mein

Door ho kyun magar

Hoke tum apnon mein

Sapne sajane ki baatein

Mein kab tak karun?

Hansne hansane ki baatein

Mein kab tak karun?

- Khan M. Asim...26/12/2008...12:00 AM...only on ur request:)

Monday, December 22, 2008

Sotudu..!!!


Aaj neend kisi lihaaf mein so gayi hai

Zahen pe roshni ka shaibah tak nahin...

Do pal ko uski awaaz aur phir khamoshi'

Uski sada ke saath nuzool hoti subah

Aur palkon mein ghuroob hota aaftaab

Kahin gum hai,,,

Urooj o zawaal uski chaal hai

Kabhi daayein toh kabhi baayein jhuk jaati hai...

Wahi billi jaisi aankhein aur sherni si dahaad

Mujh mein koi oodbilao ho jaise,

Har pal darta aur sahemta...

Woh muska de toh khil uthta hun

Woh titliyon sa tabbassum aur awaaze pur-tarrannum,

Magar!

Aaj ki shab kuch tanha si hai,

Si nahin! tanha hi hai..!

Kyunke woh mehjabeen bahut door hai,

Hijr ki raatein, wasal ke khwaab

Aur yeh angdaiyan..........

Pal pal thamta o thakta khaame

Aur kore kaghaz ka safed dil,

Be-zarar o be-jajba,

Jo sirf rangna jaanta hai, khilna nahin........

Uske husool ki tammanaayein

O Manane ki kaavishein.............

Issi raat mein,

Taare bhi hain aur sayyaare bhi,

Chand bhi hai air raat-raani bhi

Magar mein hun ke khoya sa,

Kisi sone-waale ko jagana chahta hun

Kisi ke labon ki adaa bankar muskurana chahta hun

Magar mein kya karun??? Woh khamosh hai!

Tamaam koshishein nakaam,

Aaj mein pyaasa hun, bilkul sookha,

Ek khauf hai, jo jagaye rakkhe hai

Shayad kuch honewaala hai...!!!!!!!!

Uff!!!!! huh...!!! Ab sun bhi lo....

Meri jaane bahaar, subah ke taare....

Hello, hello...oye...tum hi se keh raha hun...

Oye Sotudu, mein hun...mein,

Tumhara Rotudu..!!!!!

- Khan M. Asim...22/12/2008...2:20 AM... plzz wake-up now..!

Look, you did not give me, my lucky charm and I lost a job today...keep loving and keep giving it to me, I can bear hundred's of Tsunami's but not a single moment without you! so be with me always, I know you are, but still..heheheehe...Love You!

Thursday, December 18, 2008

Roshni ka sawaal lagta hai


Uske dum se kamaal lagta hai

Har andhera mashaal lagta hai

Jugnuon sa chamak chamak ke woh

Roshni ka sawaal lagta hai

Haan bhatakte aab-deedon ko

Zindagi ka khayaal lagta hai

Yun toh beitha hai khoya khoya sa

Har kisi se fa-aal lagta hai

Tishnagi yun badha gaya meri

Husn-e-pekar, Jamaal lagta hai

Daantna uski aadat hai

Waise aksar dayaal lagta hai

Dooriyan kab hatein ASIM

Ab toh jeena mahaal lagta hai

- Khan M. Asim...18/12/2008...8:55 AM...juss spoke to u n wrote it...Love You...muah-:)

Monday, December 15, 2008

Mere dum hi se toh yeh duniya hai


Mere dum hi se toh yeh duniya hai

Aur agar mein nahin toh phir kya hai

Zindagi bhi ajeeb rasta hai

Har qadam pe yahan toh marna hai

Zindagi ki bhala hai kya waqa't

Har nafas ko yahan toh marna hai

Yahi baatin kahin khuda toh nahin

Yahi lamha yahi zamaana hai

Tere kooche mein darr lage hai mujhe

Jo hai qaatil wahi masiha hai

Zaher pi lun mein tere haathon se

Yahi ASIM ko raas aata hai!

- Khan M. Asim...11:30 AM...12/01/2002...

Well, you can see the date when i wrote it, i think then i was in 10th standard, dont remember the girl's name who was standing infront of me at the bus stop! yupp i wrote it looking at her at a bus stop near to my school, n ya it was i think our unit test time! exam was too good, ofcourse i was in a good mood:)

Friday, December 05, 2008

Kuch na kuch teri khatir kar jaonga

Kuch na kuch teri khatir kar jaonga

Haan mohabbat se apni mukar jaonga

Ab na jee paonga, bas guzar jaonga

Teri duniya ko rangeen kar jaonga

Lamha bankar ke A*** kisi shaakh se

Raahon mein teri bikhar jaonga

Ghum ka sagar kaho ya qatra koi

Teri aankhon se banke utar jaonga

Zindagi tez toofan dikha na mujhe

Tu kya samajhti hai darr jaonga

Gira bhi agar uski nazron se mein

Had se had itna hai mar jaonga

Ab ASIM sanbhalun mein kitna isse

Khudi se mein ladke kidhar jaonga

Khan M. Asim...05/12/2008...11:49PM...Finally landed at you..happy!

Saturday, November 29, 2008

Aise lagti hai dua ho jaise :)


Barq raftaar shua ho jaise

Aise lagti hai dua ho jaise

Woh lams jisse raqeeb hojayein

Usne honton se chua ho jaise

Har taraf ek sama lagta hai

Usne jaadoo kia ho jaise

Rang badle hain shafaq ne aise

Uski koi adaa ho jaise

Har ghazal, matla, maqta

Husn uska hua ho jaise

Thamgayi dhadkanein chalte chalte

Usne khaamosh kaha ho jaise

Usne muska ke yun dekh liya

Umar bhar ka sila ho jaise

Chehke chehke hai thirakta phirta

Aaj ASIM mila ho jaise...!

- Khan M. Asim...26/11/2008...8:45PM...LOVE-YOU:)

Friday, November 21, 2008

Life..!!!

Juss thinking to type some of my emotions here, which may hurt you, I know you won't like it and the fact is even i hate it! But life sounds very faithful to me, I am happy that you love me, with all if, yes, no, buts. It has always been said that love never comes with conditions, its all about devotion and dedications, it never think of here and there its kinda state of Nirvana. But I am the (un)fortunate one to have a conditional love life. If simply say, It hurts!

Most of the times I keep crying, its not intentional, the tears keep pouring out with a heartly pain. Nor I intend to show my dramatic skills to anyone. I always try to mobilise my thoughts towards other things but end result is same. Feeling lonely in your company sounds very strange but its a fact now! You keep saying Yes I Love You, and am used to it! But the psychie plays its own game, I am always in Ifs and Buts! Thinking of my so-called lovely and lively future!

When it comes to job front, a prson's profession is always kicked by his personal life, so same here! Not in mood to do any work, Don't know why? But now it seems that I am no more alive! Working on a special story but a I only know, how much I am dedicated towards it?

I know, you will be angry with me after reading these lines but it is ASIM. I cannot stop these scary thoughts. I am afraid of life! Sorry, Can't help it! it again started pouring out, cause I am still uncertain about my love, life and the bright or dark future! And I know your replies, Yes I am hopeless! Sorry!

Wednesday, November 05, 2008

Aina dekhke sharmaane ko dil karta hai


Aina dekhke sharmaane ko dil karta hai

Band aankhon se tujhe paane ko dil karta hai

Hasratein dil ki na dil mein hi kahin kho jayein

Teri baahon mein yun hi marjaane ko dil karta hai

Har jagah tere qadmon ke nishaan hain milte

Choomte choomte choojaane ko dil karta hai

Mast aankhon ka nasha hai ke utarta hi nahin

Doobte doobte behjaane ko dil karta hai

Mehfilein roshan hain charaghon se magar

Ik diya hai ke jalaane ko dil karta hai

Tere milne ki tamanna ka karun kya ab mein

Naam ASIM hai magar sumkhaane ko dil karta hai

- Khan M. Asim...04/11/2008..8:10PM...Miss u alot!:)

Monday, November 03, 2008

Yeh soche jaata hun...!


Kuch likh nahi paata hun

Yeh soche jaata hun...

Tu kaise hansti hai

kaise muskaati hai

Mujhe pyaar se bole hai

Mujhe prem sikhati hai

Kuch likh nahi paata hun..!

Baahon ke aangan mein

Ik phool hai mehka sa

Yaadon mein deep jale

tera chehra chehka sa

Tujhe isse ziyadah ab

Aur kahan likh dun???

Anbar ke har jaanib

Teri khushboo aati hai

Mein bol nahin paata

Yeh soche jaata hun...

Kuch likh nahi paata hun..!

Milne ki tammanna hai

Ik roze qayamat si

Ho ichcha meri poori

Kuch teri inayat si

Tujhe dekhke chup na sakun

Kuch aisa manzar de

Andar hi andar na

Paapi ko marne de

Tu kaise bulati hai

Yeh soche jaata hun...

Kuch likh nahi paata hun..!

Andhkaar khatam kyun hai?

Yeh prem nagar hai kya???

Aankhon mein teri aankhein

Baahon mein teri baahein

Ab door nahin rehna

Yeh aahein kehti hain

Tu kaise saanson se

Kab saans milati hai

Yeh soche jaata hun...

Kuch likh nahi paata hun..!

- Khan M. Asim...03/11/2008...2:10PM...Train..only4u, love u:)

Saturday, November 01, 2008

Udaas hun :(

Uske shayad paas hun

Par zindagi se udaas hun

Toote hue sapne hain kahin

Ik dard ka ehsaas hun..!

Khamosh tammanna jeene ki

Chup chup aansu peene ki

Aansu ki ladiyon yakja kar

Khushiyon ki maala seene ki...

Woh gumsum sab kuch dekhe hai

Mein toofani o tsunami goya hun

Jab manzar uska aata hai

Mein lamha lamha roya hun...

Usse ghar ki khushiyan pyaari hain

Yan jeene ki tamanna bhaari hain

Woh mujhko dilaase deti hai

Haan khushiyan saari hamaari hain...

Ab aur nahin hansne waala

Mein oob gaya hun duniya se

Asim bhi koi deewana tha

Haan keh do saari duniya se..!

- Khan M. Asim...01/11/2008...7:05PM... I hate Life! Sorry:(

Sunday, October 26, 2008

**Happy Diwali**


Pragati aur gati se aage badhkar,

Har saans mein paighame mohabbat bhar dein,

Ik deep ko hridey mein jalakar yaaro,

Chalo aaj aakaash ko ujwal kar dein,

Phir kisi maa se na bichde bachcha uska,

Na kisi veer ko vanvaas mile,

Dharam ke naam pe behte hue khoon se aage,

Ik sangam ik milan ki kahani likh dein

Ik deep ko hridey mein jalakar yaaro,

Chalo aaj aakaash ko ujwal kar dein!

- Khan M. Asim...26/10/2008...4:30PM...

((********Happy Diwali**********))

Tuesday, October 21, 2008

Life..!

So friends, I am thinking to pen down few sentences here but still hesitating. I was very enthusiast the moment i come to know that i have been selected as Mumbai correspondent with India's biggest TV network here. But conditions now are vulnerable and i feel pity on my decision.

Although, getting very much respect and honour in the political sphere and in the community still i feel being caged here. What else, all those communal and so-called ethical journalistic factors are trobling me. Today, MNS chief Raj Thakrey has been arrested and is handed over to Kalyan Police but What the Mumbai Correspondent is doing? just sitting in the office and doing all shit, thinking of so many pass times. Few minutes back, I got a call from Deputy CM R R Patil's Office for a meet but bureau chief here asked me to take rest in the office. Sometimes i loose my temper sometime feel to commit suicide, I am tired of being a journalist in these conditions, Being hit by mob while covering riots but no medical help or protection from the network. Then Why to Work?

On another hand, all this frustration is being released on someone who backs me at every point, my dear love, i feel pity for her, she got a guy like me...poor girl. Well, here too, no time... no no, I am all free, she is busy! So I am bored of life. Nothing else here, I love her but hate my life..!

Monday, October 13, 2008

Masti bhari sharaab hai uske khayaal mein


Masti bhari sharaab hai uske khayaal mein

Ik dard ka pata hai chala uske sawaal mein

Ik ajale nagahani mujhko hai dhoondti

Uski hi har adaa hai giryaae haal mein

Udta raha jun shahin suraiya se door tak

Apne hi aap aa gaya chupke se jaal mein

Uski hi anjuman hai har simt har nazar

Pighla hai lamha lamha uske ubaal mein

Bekas hai aaj woh bhi soche hai har paher

Muskaaye hai kabhi kuch hai malaal mein

Uss ek jaan mein qaid hai ASIM ki zindagi

Sab kainaat dhal gayi uske hi dhaal mein

Masti bhari sharaab hai uske khayaal mein

Ik dard ka pata hai chala uske sawaal mein

- Khan M. Asim…13/10/2008…8:18PM…only4u…love u..:)

Tuesday, October 07, 2008

Life..!

Hiii friends, writing about personal life here, that too after a long time. Bored with busy life, tight schedules and loneliness are killing to me. Sometime feels to die and sometime to live forever for her! So I finally landed at my best..:)

Covering riots in Maharashtra since i joined the channel. But till now did not find any solution to it, the government itself seems to be no more interested to help the victims (minorities). Well, let it be! Nowadays,unable to write even a single romantic line, this much distance with her and situations around did not allow me to express anything.

In fact I am unable to pen down words now, don't know why I am crying? so juss leave me alone...bye..sorry!

Monday, October 06, 2008

Khabar..!

Ya apne qalam mein jaan nahi ya dil mein hi imaan nahin

Koi toh baat hai yaaro jo apni koi pehchaan nahin

Gheiron se shikayat kya karni jab khud par hi dhiyaan nahin

Chup chupkar jo hai waar kare woh buzdil koi insaan nahin

Dehshat aur zulam hai har janib har janib aag ki laptein hain

Nafrat ke beej jo boye hai woh beshak musalmaan nahin

Tumko hain sunate qisse woh aayat ko jhutla jhutla ke

Ae logon jung o jadal karo rabb ka yeh farmaan nahin

Wehshat o junoon ka gar koi ae logon prachaar kare

Mujrim beshak woh qaari hai yeh paigham e quraan nahin

Usne bhi kiye hain vaade kai jinka usse hai paas nahin

Daure par jaane waale tera hum par koi ehsaan nahin

Yaktarfa khabrein chalti hain sachchai inko raas nahin

Khamosh magar yun beithe rahein yeh ASIM apni shaan nahi..!


- Khan M. Asim...06/10/2008...7:45 PM..!

Thursday, September 25, 2008

Bahut roya hun meri jaan mein Musalmaan hokar


Daur-daurah hai inhin ka abtoh har sun

Koi soche bhi kya ab Insaan hokar

Qudrat ne phelaye bahut haath magar

Bahut roya hun meri jaan mein Musalmaan hokar

Har kahani mein chupa hai kahin uska qissa

Sar uthata hun toh uthta hai pashemaan hokar

Haan joshe jahad uthta hai abtoh dil mein

Naujawan phirta hai mujhsa kyun pareshaan hokar

Ik maare lahad phirta hai aksar mujh mein

Bewafa kyun hun mein nigehbaan hokar

Usko lagti hain meri baatein nirali jag se

Mushrik o kafir kahe mujhko woh imaan hokar

Usne mujhko hi har ik baat ka mujrim samjha

Muskurata hai bahut hafize zandaan hokar

Dekh leta ASIM agar asraare hayaat

Janam leta hi bhala kyun mein musalmaan hokar

Bahut roya hun meri jaan mein Musalmaan hokar...!

Khan M. Asim...25/09/2008...1:15PM...!

Thursday, September 11, 2008

Malang!


Ik nayi kiran ki talaash hai

Ik nayi umeed o justuju...

Khwahishon se malang apni

Mujhe carvan ki khabar nahin...

Tishna tishna saher hui kuch

Kuch shaam guzri muntazir

Kuch wujood dooba yaad mein

Kuch sujood mein fariyaad mein...

Hui hayaat o azal ki

Batein sada hi ajal se

Koi teere nigaah hui

Koi harfe sanam hui...

Ik rang hai ik jalaal hai

Woh husne paikar kamaal hai

Yun toh hai mere saath saath

Woh ajnabi sa sawaal hai...

Jannatein bhi hongi haan

Iska yaqeen ab hogaya

Haan bashindgi yeh qubool hai

Ab sochna hi fuzool hai

Woh jabse mere saath hai

Khud jannaton ka nuzool hai...

Woh hoor khulde bareen pe hai

Jise khwahishon ka paas hai

Woh raqs hai, woh saam hai

Jise dekhne ki aas hai

Bedeedgi kya de rahi

Yeh jism zindah laash hai

Ik nayi kiran ki talaash hai

Ik nayi kiran ki talaash hai..!

- Khan M. Asim...11/09/2008...11:26 AM...Train...missing alot!

Monday, September 08, 2008

Asim Khan Video Waale.. :)


Hichkole khaaye daiyaan, dil mera yun dole

Jab bhi diwaani mujhko tu video-wala bole

Aahon mein basi hai meri,aankhon mein chamacham chamke

Saaqi tu sanam Sharraabi tadpaye hole hole

Aajaati thi milne mujhko tu inhin galiyon mein

Thak jaati toh kehti ASIM ab auto lele

Hans hanske rulayein mujhko saahil ki suhani yaadein

Taarikhi meri woh baatein aur teri nigaah kuch bole

Humwaar nahin hain raahein, ghanghor ghana jungle hai

Aatish ka kise haan darr hai hum bhi toh jawaan hain shole

Arrey call mujhe jab karke tu pyaar se hello bole

Khushiyaan hain mujhe miljaati darwaaze saare khole

Likkhe hai tera deewana ghazlon ko teri aankhon se

Haan chodke duniya-daari dilbar ab meri hole

Hichkole khaaye daiyaan, dil mera yun dole

Jab bhi diwaani mujhko tu video-wala bole..!


- Khan M. Asim...08/09/2008...12:41 PM...CST & Press Club..Mumbai..4myonlyluv

Saturday, September 06, 2008

Jag se niraali baatein uski


Jag se niraali baatein uski

Woh matwaali duniya meri.......!

Har ik kona simat raha yun,

Jaise simtein baahein uski

Aate jaate ek woh chehra

Pehrein uski raatein uski...

Jag se niraali baatein uski

Woh matwaali duniya meri.......!

Rangin samaa yeh pyaara pyaara

Uske dum se har ik taara

Neina boojhein roz paheli

Kar dun arpit jeevan saara

Saagar ki har mauj diwaani

Yaad dilye baatein uski...

Jag se niraali baatein uski

Woh matwaali duniya meri.......!

Himmatwaali uski adayein

Bebaaki hai uske chalan mein

Chattaanon si zaat hai lekin

Gul bhi nahin koi ussa chaman mein

Har goshe mein khushbu karti

Mushk laher hain saansein uski

Jag se niraali baatein uski

Woh matwaali duniya meri.......!

Mein hun uska agyakaari

Komal sundar woh bewpaari

Itna mushkil usko paana

Guzar na jaaye umar yeh saari

Tadap tadap ke dheere dheere

Mujhko rulayein yaadein uski...

Jag se niraali baatein uski

Woh matwaali duniya meri.......!

Ghor andhera, kaali duniya

Roz pighalti shaamein uski

Maddham maddham roshan kartin

Yaadeein uski, baatein uski...

Jag se niraali baatein uski

Woh matwaali duniya meri.......!

- Khan M. Asim...06/09/2008..2:10 PM...only4u...missing u alot..!

Sunday, August 31, 2008

Woh......!


Haan woh mukhtalif hai...

Kabhi kabhi bachchi ban jaati hai,

Ziddi, chulbuli si...

Narm o naazuk jins...

Jagmagati mutlashi aankhein

Zahen mein dher saare sawaal

Magar izhaare khayaal se nawaqif

Kabhi bilkul meri ban jaati hai

Kabhi zamaane se darr jaati hai

Yun bhi koi kamzor nahi...

Bahut fahmidah hai...

Lamha-tarashi mein uska saani nahin..

Muskura ke har khayaal badal deti hai

Ik tabeeb ba daste shifa,

Meri har bemaari ka ilaaj...

Roshan zameer o khoobsoorti ka paikar

Alfaaz ki kumyaabi o uska husne himalya

Woh kisi tareef ki mohtaaj nahin

Apni misaal khud hai,

Mukammal, shahkaar, koi mojazah...

Bashindae firdos...

Meri mohabbat o zindagi

Saanson ki dor kaho ya

Zamin ka mehwar,

Har gardish usise hai...

Uski har ada niraali hai

Isiliye meri honewaali hai:)

Usko yaqeen hota ja raha hai

Aur mera Imaan hai,

Hum ek honge..!

Badal denge qudrat ke har qaanoon ko

Shayad yahi mohabbat hai,

Aur yahi husne mehboobi...

Khaame thamta nahin...

Khaame thamta nahin...!

- Khan M. Asim...31/08/2008...CST n BEST...8:15 AM...only4u...!

Sunday, August 24, 2008

Life..!

Huh, sitting like an idiot in the office, bored and tired of life. Missing my golden days and expecting them to return soon. Life is playing a confusing game, its a puzzle, I am confuse, how to make it more beautiful although its not so comfortable now too but at least she is there to handle a wise fool.

Being pinched by family at every moment, juss thought to loose nerves for a while and got a call, huh, its so hectic, its so dramatic, its like a soap opera, juss killing my mind. Urdutimes' owner died and my whole Sunday lost in kabarastan, have not brushed my teeth yet,no breakfast, no water, no shower. Ohh God!!! bless me, me, my love, my love life!

Though I am always with You, and can imagine you are still around but what about this agony which is killing to me, Just want to see you, want to drink my Jaam! Missing you in my seconds and minutes...

Journo-life is going well, doing some really interesting stories, planning to do two investigative stories, working on story of Vidarbha farmers'.Inbetween did not work on much stories but now planning to finish a major chunk of Pain-ding (pending) stories. Really stressed, two jobs and recently joined MA political Science course in the Mumbai University, have not attended even a single class yet and has been selected for departmenatal representation in University's Student Union elections!

Well, even passing through these painful experiences, living away from my love, still I expect for the best, as she say I deserve best. And You, come soon, I am still waiting, like I always do..:P

Okay friends time over, another story is waiting for me, and You too study or do your work stop peeping into others personal life:P, well don't take it otherwise, hope to see my beautiful life soon...Its GoodBye for now..!

Saturday, August 16, 2008

Mujhe tumse pyaar kyun hai?

Yeh lamha beqaraar kyun hai?

Mujhe tumse pyaar kyun hai?

Yun toh har lamha mere paas hi ho

Phir itna intezaar kyun hai?

Raat guzri badi bechaini se

Saher nala-fugaar kyun hai?

Tere milne ka yaqeen hai mujhko

Yeh dil be-ikhtiyaar kyun hai?

Haan aajao isi lamhe mein

Saanson ki yeh pukaar kyun hai?

Sochta hun teri baaton ko

Baaton mein yeh ghubaar kyun hai?

Bin khaaye-piye jee leta hun

ASIM aisa khumaar kyun hai?

Yeh lamha beqaraar kyun hai?

Mujhe tumse pyaar kyun hai?

- Khan M. Asim…August 16, 2008…12:08 PM…Only for you! Missing you a lot!

Friday, August 15, 2008

Mein Azaad hindustan hun!


Jôno gôno mono odhinaeoko jôeô he

Bharoto bhaggo bidhata

Pônjabo Shindhu Gujoraţo Môraţha

Drabiŗo Utkôlo Bônggo

Bindho Himachôlo Jomuna Gôngga

Uchchhôlo jôlodhi toronggo

Tôbo shubho name jage

Tôbo shubho ashish mage

Gahe tôbo jôeogatha

Jôno gôno monggolo daeoko jôeô he

Bharoto bhaggo bidhata

Jôeo he, jôeo he, jôeo he,

jôeo jôeo jôeo, jôeo he..!

Doston aap sabhi ko yaume azaadi mubarak ho!

Allah humein hamesha azaad rakhe, jeene ka sahi raasta dikhaye aur watan ki raah mein qurbaan hone ki taufeeq ata farmaye...

Aameen!

Saturday, August 09, 2008

Jawaab


Usse baatein zara chaar ki

Ghaltiyan maano beshumaar ki

Dost karte hain ab shikayat

Bas yahi inteha hai aitbaar ki

Aaj lamha hai tumne sabar kia

Ghadiyan bhool gaye mere intezaar ki

Hairani tumko bilkul honi hi chahiye

Haalat tum kya jaano dile beqarar ki

Tanzomazah mein Asim kuch baatin keh gaya

Gustakhiyan thin yaaro woh mere pyaar ki..!

- Khan M. Asim…09/08/2008…12:30AM

Wednesday, July 16, 2008

Sher...!

Uske honton se honton ko mila leta hun

Sharam aaye toh honton ko chaba leta hun

Uski garmi se sulge jo badan...

Apni parwaz ko seene mein daba leta hun..!

To be Cont...

- Khan M. Asim..16/07/2008...3:00PM...ETV Office..!

Tuesday, July 15, 2008

Usse Baatein...!


Karta hun shab-o-roz usse meri baatein

Baatin jo hui beithi hai aankhon mein meri aake

Usko hai zamane ki har ik baat ki parwah

Khamosh magar roti hai aahon mein meri aake

Fitna jo karein uski nigahein mere dil mein

Door raho kehti hai baahon mein meri aake

Mujhko nahin koi malamat mere dil se

Halki si chubhan hogi hi saanson mein meri aake

Dekha jo usse kho gaye manzar mere saare

Saari khudi dol gayi pahaadon mein meri aake

Geisun ki lamas aur chingari badan ki

Jamshedi zaher ghol gayi hoton mein meri aake

ASIM si kare baatein kabhi hoor o malak si

Aansu kabhi ban jaati hai palkon mein meri aake...!

- Khan M. Asim...15/07/2008...1:58PM...Train

Thursday, July 10, 2008

Khush Aamdeed..!


Kuch lamhe visaal ke

Aur phir sadiyon ka intezaar...

Khamosh adhoori saansein..

Uske aane ki khushi...

Aur jaane ka khauf....

Dil hai ke khaali kamra ho...

Har awaaz goonjti hai...

Har kone mein uski aahat hai...

seeli seeli si hawa, uski geeli zulfein

Khidkiyan uski aankhon si

Aasmaan mein doobti...

Samandar hai ya uska dil

Jitna tero utna gehra...

Zindagi thami thami

Lekin raftaar hai ke jumood pe hai..

Gulshan phoolon se bhara hai

Aur maali daranti bakaf...

Usko jaana hai aur mujhe bhi

Farak itna hai, woh wapas laut aayegi

Aur mera safar taweel hai..

Kabhi na khatam hone waala intezaar...

Uski aamad bahaar jaisi thi...

Aayi aur rut badal gaayi

Lekin rukhsat tsunami hai

Meri har saans ko ukhaadti...

Kehti hai mil jaayegi...

Dekho kya deta hai waqt mujhko...

Sirf intezaar ya beintaha pyaar...

Mazah toh tab hai

Jab intezaar ke baad pyaar mile...

Isliye muntazir hun lamhon ka..

Baharein laut aayein aur mera mohsin bhi...

Ba bahaaro raunak jalwagar ho...

Khush Aamdeed..!

- Khan M. Asim...10/07/2008...4:35 PM...!

Friday, July 04, 2008

Mujhe apne jaisi lagti hai..!


Uski adaa hai uska rang

Kuch sapne jaisi lagti hai

Khamosh khadi jab soche woh

Mujhe apne jaisi lagti hai..!

Saawan bhaadon ki malika

Mujhe husn ki raani lagti hai

Woh khoob Sayani hai phir bhi

Mujhe apne jaisi lagti hai..!

Rim jhim rim jhim megh barasta

Uski jawaani lagti hai

Ang ang mera oas sa laage

mujhe rut woh suhani lagti hai

Dekhe jab woh pyaar se aise

Mujhe apne jaisi lagti hai..!

Ik mein hi diwaana kum hun nahin

Mujhe woh bhi diwaani lagti hai

Sone chaandi ki malika

mujhe husn ki raani lagti hai

kuch sapne jaisi lagti hai

Mujhe apne jaisi lagti hai..!

- Khan M. Asim...29/06/2008...10:30 AM..!

Sunday, June 22, 2008

Mubarak..!


Ae mere yaar tujhko mubarak tera pyaar

Bhoolkar bhi chodna na mujhse apna aitbaar

Waqt ke saanche mein dhalkar musukrana seekhle

Mera khud hi se kya milan mujhko nahi kuch ikhtiyaar

Chashme nam hai aina zindagi hai ghudsawaar

Aur ab mein kya bataon yaara apna haale zaar

Tu toh tajalli paa gaya yan pe tassali ki hai maar

Mera sanam hai keh raha zaalim zara kar intezaar

Mushfiq o rehbar bhi tu hai ek tu hi raazdaar

Tu hi mera humsafar hai aur tu hi yaadgaar

Haan haan fitnagar hai ASIM hai ghum ka karta kaarobaar

Fasle paiz sa lage hai go aasmaan par hai bahaar

Isliye tu muaf karde saari ghalti ek baar

Tu zamin hai aasmaan hai tera jalwah shaandaar..!

- Khan M. Asim...18/06/2008...10:56 PM..Dedicated to Shahzad...!

Saturday, June 21, 2008

Jab panghat kinare jaata hun..!


Jab panghat kinare jaata hun

Mein bhi Kishan ban jaata hun

Radhika naache ban ban mein

Aur aag lage more tan mann mein

Mein kan kan mein but jaata hun

Jab panghat kinare jaata hun..!

Nishchey mein parichey karta hun

Taaron se andhyaaron se...

Dharti aur gagan ko naapu hun

Uske gali galiyaaron se...

Mein roz hi pooja karta hun

Jab panghat kinare jaata hun..!

Har ek chameli kehti hai

Mein soorajmukhi sa lagta hun

Batlaon ab unko kaise

Mein raaton ko bhi jagta hun

Mein teerath darshan karta hun

Jab panghat kinare jaata hun..!

Woh toh hai haya ki moorat si

Aur mein chabila chaila sa

Woh malika saari duniya ki

Mein qalandar ek akela sa

Mein nirvani ban jaata hun...

Jab panghat kinare jaata hun..!

- Khan M. Asim...20/06/2008...5:15PM...its all pilosophical, nothing related to religion...i m very much on n with my faith...Allah Hafiz..!

Wednesday, June 11, 2008

Life..!

It took me a month to pen down few thoughts, either going too slow or in too hurry that can't write a single word. And when I come online, either I wait for you or else start editing stuff. No poems and songs or couplet in recent few days, it seems like its not Asim Khan but someone else is operating me even in such a romantic climate..!

Hmmm, life is moving a bit fast but being a journospy, supposed to bear few stones so that truth can prevail. Well, this week would be more busy for me, as supposed to visit Malegaon and Nashik with Dr. Mehmood-ur-rehman Committee. Well Government has taken another step, has constituated another committee to study minority problems although it has not taken any action on suggestions of Sachchar Committee. I hope this time Government would react and act on the advises of this committee though it seems that nothiing is gonna happen.

And when it comes to my personal life, really disturbed, sometimes happy and mostly pondering about my dark or bright future. Making promises and praying to perform them whole heartly. My love is busy with her life and am juss looking at her, so that i can have atleast few moments to live. Just few hours back i was with Ayesha, the HSC Science topper, and was very happy to see her family though she lost her father last month in an road accident but her mother Bhavna is very lucky to have such a husband who never forced her to get converted, Bhavna is still performing her religion, as she is a Jain Hindu. Well it enforces me too for my further nad furture life...!

Juss recieved a call from a private numbar, the guy from another side was very happy and talked to me in a friendly manner, he was insisting me to recognise himself but i was unable then he said will call you in sometime and put down the receiver, but who was he??? Dude please call me back, well must be some free minister..!well he called back but not ready to tell me his name and saying i have stolen his heart but really am not interested in guys, so plzz tell me your name or please dont call again!

Friday, June 06, 2008

Intehai nazar tak tujhe dekhne ki aas hai..!


Intehai nazar tak tujhe dekhne ki aas hai

Tujhe chahta hun, chahne ki bas tujhe hi aas hai

Makhmali teri zulf yeh chamkeeli teri aankhein

Jo hijaab hai isse khol dun, tujhe dekhne ki aas hai..!

Intehai nazar tak tujhe dekhne ki aas hai..!

Yeh kehkashan kise chahiye, zameen aasmaan kise chahiye

Kise chahiye zaade safar yeh carvaan kise chahiye

Na hoor ki talab mujhe na manzilon ki aas hai

Intehai nazar tak tujhe dekhne ki aas hai..!

Kya barge gul, kya badliyan, kya meh-luqon ki shokhiyan

Kya aashiqi kya dillagi kya mere dil ki mastiyan

Na arsh ko hi qaraar hai na farsh ko hi qaraar hai

Kise chahiye baagh o samar kise gulshanon ki aas hai

Intehai nazar tak tujhe dekhne ki aas hai..!

Teri aarzu hai zindagi, teri aarzu hi maut hai

Hai taareekyon mein gum kahin aur tu hi koi jyot hai

Tu goya mera naseeb hai tu khoi meri pyaas hai

Na duniya ki talab mujhe na jannaton ki aas hai

Intehai nazar tak tujhe dekhne ki aas hai..!

- Khan M. Asim...04/12/2006...9:10 AM...Rizvi college, Library...!

Monday, May 26, 2008

Life..!

Haah! same old story, sitting in the office and getting damn bored! ufff...Dont know? What to do now and where to move? Life is eating me day by day...!

Just did a story on Naeem Sarang, who was abducted in Afghanistan. Now, I am free since hours and missing my love alot! I may be doing an exclusive story on a political conspiracy in Mumbai, will write about that soon.

Huh, look I am directly asking a question to you, a hindi song written by someone, sung by M. Rafi but it expresses my feeling and you need to reply cause its you for whom am crying now...

Ban gayi ho meri sada ke liye, ya yunhi mujhko tum banati ho, yunhi tum mujhse baatein karti ho ya koi pyaar ka iraada hai..?

Well, I am waiting for you, Like, I always do! And guys, now come out of the philosophy and smile for me!

Sunday, May 25, 2008

Fitrat..!


Zindagi…

Raahe…doraahe…pagdandiyaan…

Sabhi se guzar raha hun…

Ik ajab khayaal hai…

Ik khila hai…

Na jeene ki ichcha na maut ki aas…

Yeh lamha hai, tum ho aur mein hun…

Yeh saansein, sarsarahat…

Tumhari hun haan…

Ik lafz aur hazaarha muani…

Na sukoon-e-qalb, na zahen ko aaraam…

Ik soch, ik paimaana…

Ek hi naam aur ek hi soorat,

Ajab shoq hai tum ko sunne ka…

Ajab lutf hai tumse kehne ka…

Tum ho ke bhulana chaahti ho…

Mein hun ke yaad aana…

Tarasti nigaahein o tishna lab,

Zulfon ki ghanghor ghatayein,

Kajal se se darti laakhon balayein…

Tum kehti ho aadat mut daalo…

Kya yeh aadat hai?

Tum meri ho…meri fitrat mein shaamil…

Zindagi tum, khayaal-e-maut aur har lamha…

Kya yeh mumkin hai?

Karvanton ki aadat hai, saans lena fitrat hai…

Aadatein badalti hain, fitratein nahin!

- Khan M. Asim…21/05/2008…2:00PM…Train…

Thursday, May 22, 2008

Jannat


In nigahon se jaam peene de

Yeh lamha mujhko jeene de

Abhi waqt hai…tere sanwarne ka khil-khilane ka…

Meri baahon mein muskuraane ka…

Tarasti ghaans par oas ban ja

Jala de dasht ko apne sholon se…

Rakh abhi baat apne honton pe

Sochne de mujhe tu bhi soch…

Yun taqabbur tu na kar mujhpe

Abhi kinare kinare chalta hun

Abhi mojon mein tu utarne de

Raahe dil se abhi guzarne de…

Nikammapan, nakaargi nahin hota

Nakamiyaan kaghazon mein roti hain

Kaamiyaabi dhoop mein nikharti hai…

Ik tu hai tera jalwah hai,

Ik mein hun tootta taara…

Zindagi hosh-ruba apni

Ik tilism mein qaid,

Tu hai ke jaadugarni si

Mein hun ke khoya bachcha sa…

Abhi na rok mujhko peene se

Abhi na tok mujhko jeene se

Mujhko sholon mein aaj jalne de

Apni saanson mein yun tadapne de

Samandar mein ghota khaane de

Haan mujhko doob jaane de

Zara apne paas aane de

Haan mujhko muskuraane de…

Teri baahon ki sabz chaon mein

Pyaar ka geet koi gaane de…

Jo mar gaya toh mujhko dafna de,

Apni pyaari pyaari aankhon mein…

Inhin masgaan tale qabar ho ik,

Kutba ho in nigaahon mein…

Farishton ka gar guzar bhi ho

Teri palkon ko choo ke aayen woh…

Meri jannat sanam tujhi mein hai

Mujhko jannat muqaam rehne de…

Aise khaamosh tu na kar mujhko

Abhi honton pe naam rehne de…!

- Khan M. Asim…21/05/2008…2:33PM…Train…

Tuesday, May 20, 2008

Jannat


-Emraan Hashmi
-Sonal Chouhan
*3.5/5


Writing about a movie after months, watched Emran Hashmi starrer 'Jannat' today. The movie is all about dreams, desires, aspirations, hopes and ofcourse love. The story revolves around Arjun a small time juggler who wish to fulfill all desires of his lady love (ofcourse, he enforces me too!) became a bookie and later forayed into match-fixing to make quick money.

The much awaited flick from Bhatt camp owns all kinda masala from dishoom dishoom, underworld to romance. On Friday, when movie was released, I did a vox-pop for my channel, and I recieved comments like, "lapalap movie, no chumma no kiss, Emraan cheated us" , actually people just want to see Emraan kissing, the poor guy is still caged in the serial kisser image. But, this time he even acted well.

From a better direction to a better script and beautiful songs, this is what, atleast i expect from Bhatt camp, and i think they did it again and fulfilled my all expectations. Although, Jannat is a new concept but we can easily recollect the similarity of the script and scenes from earlier films of Mahesh and Mukesh Bhatt.

The movie is introducing Sonal Chouhan, well she needs to learn acting, lookwise ok! luckily she escaped from Emraan's lips, it may be that story does not require such scenes or censor board took part actively in its job.

The movie is full of macguffins, one just need to sit and clap no requirement of using brains. Well, some of the dialogues are really worth to be praised, like...prostitute or cricketer mein koi farak nahin hota...dono ki jawani khatam toh kahani khatam!

The songs are really gud and having really melodous words, infact i wanna sing this for my love...zara si dil mein de jagah tu, zara sa apna le bana, mein chaahun tujhko meri jaan bepanaah!

Good work Mr. Kunal Deshmukh, as it was your first work. But I would really appreciate your 'sixth sence' atleast you did something uncommon, like hardly one kiss and few intimate scenes, even they are not much revealing, I think you forgot your audience and mind it boss! it may cost you alot as movie is not earning much on box office.

Over all a nice flick, all in all paisa vasool and please dont go for intimate scenes, kindly let Emraan to keep his promise to his lady love.

Thursday, May 15, 2008

Life..!

Huh, damn bored...not in mood to do anything. Sitting like an idiot (ofcourse I AM!) and looking at everyone's face. People here are too busy to chat, some are rushing for thier stories some are having scripts in hand and some are looking for breaking news. And inbetween these intellactuals I am sitting quitely and doing my favourite task, blogging.

Well guys, yesterday i went through a terrible experince, first time ever i saw lathi charge and our brave journalists were just trying to safeguard themselves. BMC demolished the Zakariya Road slums without giving prior notice to the residents. When people questioned it to BMC people they replied, 'they dont have police protection for next day so they are doing it now'. We blame the mob that violated the High Court order and tried to raise voice for the BMC's unlawful act, infact police arrested some of them today. But What BMC did no one objected on that, BMC openly violated the Slum Area Act of 1976, according to which, BMC can't demolish any structure, legal or illegal without giving 24 hours prior notice. When we book people here for contempt of court then why not the BMC officials? Why they are free?

Hmmm, now I am back to square one, definately my love, philosophy, ideology, technology and all the logies, in one word i can say 'HAPPY', atleast at the moment. Hmmm, anything more? yaar, I am singing two songs since morning, infact was singing during the press conference as well.

1. Dil ka rishta bada hi pyaara hai..mainly...dekhta hun jahan tumhi tum ho aur nazaron mein kya nazara hai..!

2. Tumse milna baatein karna bada achcha lagta hai...mainly...mehke mehke mere din mehki mehki meri shaam tadpaaye mujhko lamha lamha tera saath...!

Well, now in damn romantic mood, looking for a partner, are you ready? huh, dude not interested in guys, so mind it! I am talking to my love here! Will be back in sometime till than you wait and get ready...:)lolzz...

Sunday, May 11, 2008

Aaj ki raat wafaon ka sila do aise...!


Aaj ki raat sitaron ko jaga do aise

Kehkashaon mein gharonda ik bana do aise

Muskurate hue mahtaab ko roshan kardo

Ghunche ghunche mein mohabbat ko basa do aise

Meri har baat har saat mukammal kar do

Aaj ki raat baahon ko badha do aise

Mujhko chookar ke hawayein bhi muattar hojan

Aaj ki raat khwaabon ko saja do aise

Kabhi shabnam kabhi kausar bankar

Aaj ki raat piyaason ko pila do aise

Bewafa bankar zamaane se kaho door rahe

Aaj ki raat wafaon ka sila do aise

Isi hun haani sitam par to hai marta ASIM

Aaj ki raat nigahon ko zubaan do aise...!

Khan M. Asim...11/05/2008...2:10AM...juss wrote..only4u:)

Thursday, May 08, 2008

Life..!

Its 3:10 AM, I am extremely tired but still willing to share my thoughts, feelings and never ending emotions. It’s my thirst to which I am willing to quench with words. People say eat healthy think better but I find it, you don’t need to eat better to think better if you are in love!

Whole day, just running here and there, meeting new people and taking their reckless views, for some they may be important but for most they are idiocy. Some of them just try to impose his/her views and some humbly orders. And between all this shit, the poor ASIM gets pissed off.

The communal colour is still on high we always try to cover it, but what to do when you, yourself is a victim. Communal minded people never forgets any opportunity to create hurdles in your path, whether you are communal minded or a broad minded, liberal person, when it comes to their choice you just have one chocolate in your plate and you are supposed to eat it at any cost.

The MNS issue is still in the air, its good to see people fighting for their language and motherland, but aren’t they Indian? I find it strange, when they say only Marathi? We should look for a midway, why only Bhaiya’s are coming to mumbai? Marathi people should also occupy some place in North Indian region? It was Great Shivaji’s dream to establish a Maratha empire, but here I find Marathi’s fighting with each other, Shiv Sena and there is another Sena (MNS), guys where is Marathi unity? In state of Shivaji’s lovers, the power politics is in the hands of Congress and NCP. Aren’t we loosing Marathi Asmita here?

Well, so many points and so many things to be pondered upon. But what to do and what to say, is still in the hands of politicians. The common man, who never dare to raise his voice will always keep eating Vada Pav, ‘Bhaiya, thoda chatni aur daal do’, I pity guys, if the MNS keep going you will loose your chatniwala bhaiya soon. The poor man is facing the whole menace being created by the so-called community leaders.

Well guys, though not feeling sleepy but going to bed now, to think about my love, to write about my love, to dream about my love, it may be another sleepless night cause when I love, there is no time. My fairy must be sleeping and would be dancing with me in her sweetest dreams but here her idiot is looking for sleeping pills. Well, I have closed my eyes and just feeling intoxicated, yes she is with me and we are romancing in our beautiful garden…. Now you close this page…dude its all private!

To know further you can call me!

Thursday, May 01, 2008

Anokhi...!


Dekho...usse dekho...

Dekho woh udd gayi...

Abhi yahin thi iss daal par,

Ab kahan?...Badalon mein jhoom rahi hai...

Yeh kaisa naghma isne cheda hai???

Dekho...dekho, dekho...

Usne palkein jhukai hain...

Arre yeh kya?...yeh aasmaan...!

Woh kahan gayi?

Abhi nazar aati hai, abhi gum hojati hai

Jaadugarni hai!!!

Aksar mere saath rehti hai...

Kabhi hansne lagti hai, kabhi khafa khafa si...

Dekho kis tarah iss shaakh par beithi hai..!

Chul buli si...har ik ko jagati...

Titliyaan bhi uske sang hain,

Bhaunre bhi uske hamraah hain...

Khatkhata rahi hai, mere dil ka darwazah...

Aur ab..........

Woh anokhi!!!! mere saath hai...

Jhoomti, gungunati...muskurati,

Mujhe makhmoor karti, adaye nirvani...

mere sang hai...

Mujhe hansa rahi hai....

Aasmani raqs karti...raqqasa...

Meri raqqasa...aur mein uska shedai...

Neinon se pilati, meri baahon mein...

Mere paas...anokhi si...meri raqqasa...

Aaah....haiiiiii.......!

- Khan M. Asim...30/04/2008...3:13PM...Train...

Wednesday, April 30, 2008

Zindagi khoobsurat lagti hai..!


Zindagi karvantein badalti hai

Nakaam, kabhi kaamyaab karti hai

Kabhi kaanton ki sejh deti hai

Kabhi phulon se daaman bharti hai

Kabhi shaah e raah ban jaaye yeh

Kabhi dhool mein bikharti hai

Shafaq manind hai rang iske

Zindagi har rang mein nikharti hai

Hai shikayat dard o ghum ASIM

Zindagi khoobsurat lagti hai...!

-Khan M. Asim...13/06/2005...9:25 AM...first day of SYBMM..!

Sunday, April 27, 2008

Haan tera naam hai..!


Surmai shaam hai aur wahi jaam hai

Bas gaya jo yahan haan tera naam hai

Haan tera naam hai haan tera naam hai

Bhoolkar haan tujhe ji na paaye koi

yaad kar ke tujhe marna paaye koi

Aasmaan par likha bas tera naam hai

Haan tera naam hai haan tera naam hai

Aarzoo, justuju teri mehfil ki hai

Har dua ki sada haan tera naam hai

Haan tera naam hai haan tera naam hai

Tu ne chaha jise mein wahi raam hun

Gopiyon ki kasam mein tera shyaam hun

Krishna ki baansuri ke suron mein dhala

Meetha meetha sa pyaara tera naam hai

Haan tera naam hai haan tera naam hai

Iss jahan mein hai kya jo hai tera nahin

Raat tu, chaandni aur savera hai tu

Tu hai arshe bareen pe basera kiye

Inn labon pe machalta tera naam hai

Haan tera naam hai haan tera naam hai

Zindagi ki kasam mere mehboob sun

Aashiqi bas tu hi hai tu hi meri dhun

Jud gaya jo yaha haan tera naam hai

Haan tera naam hai haan tera naam hai

Surmai shaam hai aur wahi jaam hai

Haan tera naam hai haan tera naam hai...!

- Khan M. Asim...27/04/2008...9:00 PM...

Saturday, April 26, 2008

Life...!

Hmmmmm, well sitting in the office and getting damn bored. Since long time I haven’t interacted through my blog. Life is going through a rough patch, where I am just slogging. Don’t know where it will lead to me? Sometimes I am damn excited but sometimes all cry and pain takes place.

Working as a broadcast journalist is really amazing but it’s most terrible too, and when it comes to our beloved, elected, selected ‘monsters’, these bloody politicians, I find India nowhere, I can say Amitabh Bachchan can’t act better than them, infact nor he neither SRK stands nearby them. I met one BJP MLA, he talked to me very amiably but it’s agreed that he was nowhere interested in the matter for which he is raising his voice, well issue is of minority and we know how much his party supports minority. He pleaded in front of me to do anything but anyhow bring RJ to India and help him in solving the problem, well it was very dramatic, can’t express in words.

Ofcourse, I enjoy this task, meeting new people of different frame of mind every day. Well, its time to go, I have an appointment will continue after finishing the story. And yes, one announcement, I am in Love! Hahahaha….shall I name her here? NO…she won’t allow me. Look it’s officially announced now, Daddy are u listening or reading to it?

Friday, April 25, 2008

Tu agar aankh chura le toh mazaah aa jaaye...!


Ghum agar tujhse ghalat ho toh nasha hi kaisa?

Tu agar aankh chura le toh mazaah aa jaaye

Tu agar saaz bajaye to koi baat nahin

Tu agar fitna karegi toh mazaah aa jaaye

Tu ne mehfil mein charaghon ko jalaya hai bahut

Tu agar aag laga de toh mazaah aa jaaye

Tu ne shaahi se faqeeri ka amal mujhko diya

Tu agar peer meri ho toh mazaah aa jaaye

Tujhse milkar abhi shaam hai mehki mehki

Tu agar rang-e-shafaq ho toh mazaah aa jaaye

Lams-e-geisun ka nasha rumaal de kabtak

Tu agar ghoont pila de toh mazaah aa jaaye

Tu ne ASIM ko jeene ki nayi reet sikhayi

Tu agar haath badha de toh mazaah aa jaaye

- Khan M. Asim...23/04/2008...11:30 AM...

Saturday, April 12, 2008

Saltanat-e-Aasimii ko, haan sanam ikhtiyaar kar..!


Tumse saawan ke hain kai rang sajaye meine

Mere sarkaar kabhi mujhse khafa na hona

Tumko dekha, tunmko chaha meine har ik lamha

Mere sarkaar kabhi mujhse judaa na hona.........
................,,,,,,,...............!

Teri baaton mein masti, tere naina hain nashtar

Zamane se kya darna, hain hum toh mast qalandar

Tere gaisun mein khushbu, honth tere madhushala

Jo inko haath laga de, ban jaaye qismat-waala

Rang hilali ang jalali, teri duniya hai dilwali

Ab ke mujhko haath lagake, khushbu dede jannatwali

Teri tadpan mere dil mein, Naam tera mobile bill mein

Mujhko ab deedaar de, jaana mujhko pyaar dede

Meri har saanson mein pal ja, mehfil ke rangon mein dhal ja

Tu nahin meri qismat mein, meri qismat ko badal ja

Hukum ki taameel kar tu, dil ko mere yaar kar

Saltanat-e-Aasimii ko, haan sanam ikhtiyaar kar..!

- Khan M. Asim...11/04/2008...10:20 AM...Train...!

Tuesday, April 01, 2008

Aaine ko dekh kar hi dilruba ghabra gayi!


Ishq mein toofan tsunami najane kitne aayenge

Aaine ko dekh kar hi dilruba ghabra gayi

Pyaar kar na gar gunaah hai pyaar mein bhi hai mazah

Naar-e-arzi ke ghazab se dilruba ghabra gayi

Woh pari-ru jab kabhi chilman zara sarka gayi

Taab e jalwah seh na paayi chaandni itra gayi

Jald hi tu meri hogi ab mera aur hai hi kya

Baatein meri sochkar hi dilruba sharma gayi

Teri baatein roz-o-shab ki mere rukh pe hain ayan

Dairon mein ghoomkar hi dilruba ghabra gayi

Hum toh nishachar the hi the tumko bhi ghum ne le liya

Aap hi baaton se apni dilruba ghabra gayi

Asim ko phir se choom le hone de kitna faasla

Sach kahun marr jaonga gar tu mujhe thukra gayi!

Khan M. Asim...01/04/2008...8:30 AM...for fool's love on fool's day!

Monday, March 31, 2008

Mazhabi diwaar se na baandho dil ko!


Mazhabi diwaar se na baandho dil ko

Yeh musaafir hai chala jaane do

Rang aur nasal ka hataa do pehra

Uska chehraa nazar aane do

Yun to shab-khun na chalao dil par

Uski aankhon ka nasha chaane do

Sirf guftaar se diwaana na karo

Toor-e-dil ko bhi jala jaane do

Zindagi saaz banaa do meri

Apne rukh se bhi hawa aane do

Matlabi dost samajhlo chaahe

Meri khushiyon ko mujhe paane do

Ab ke ASIM se juda hona na

Apni chilman ki ghata chaane do...!

- Khan M. Asim...31/03/2008...3:42 PM...Media Monks Office...!

Wednesday, March 26, 2008

Tujhse milkar tujhe bata dunga...!


Murjhe murjhe se jazbaat liye

Har aansu mein ik aas liye

Phir teri jaanib lafzon ko hawa deta hun

Aa tujhe har raaz bata deta hun...

Mujhko deewana banakar koi bharam na dena

Dil todna ho toh muskura dena

Koi zaroorat nahin hai mujhse milne ki

Gar umar-bhar hai juda juda rehna

Chaandni kyun pareshaan hai?

Raat ka kaam hai dagha dena...

Tu meri ho nahin sakti

Kya yeh sach hai bata mujhko?

Koi toh dard hoga seene mein

Aisi khaamoshi na dikha mujhko

Tu ne samandar ko aaj khoda hai

Gehraiyon se na dara mujhko...

Ab ke milkar tujhe bata dunga

Kyun sitaare rahen hain gardish mein?

Tere daaman pe kyun hai daagh nahin?

Kyun harasaan hai aaj khilwat bhi?

Tere neinon ko sab dikha dunga

Tujhse milkar tujhe bata dunga...!

- Khan M. Asim...23/03/2008...12:25 PM...ETV News office...Hyderabad!

Friday, March 21, 2008

!!! Ghazal !!!


Kab tak chupayega zamaane se

Ishq chupta nahin chupaane se

Yeh woh aansu hai job eh nikla

Yeh to banta nahin banaane se

Kitne sarkash jawan hue ismein

Kitne daanaa hue diwaane se

Tere daaman tak toh aa pahuncha

Phir bhi milte nahin bahaane se

Safar mein har dum hi tera paas raha

Khayaal badhte rahe bhulaane se

Tujhko sunkar humein khushi milti

Taazgi tere bulaane se...

Tujhko sunni hain nayi nayi baatein

Apne jumley wahi puraane se

Asim asim sada kia tu ne

Kitne apne hain hum begaane se

- Khan M. Asim...09/03/2008...5:45 PM...in train...Mumbai to Hyderabad..!

Tuesday, March 04, 2008

!!! Khauf !!!


Ik ajab khauf se dil ghabrata hai

Jab tera naam diwaaron se ubhar aata hai

Phir mere lafze baghavat ko hain woh dete dawat

Jab koi saaya teri simt ubhar aata hai

Teri baaton ko guftaar samajh lun kasie

Dard dil se aankhon mein utar aata hai

Ik tere dum se mehfil ko munnawwar samjha

Aaj har simt andhera hi nazar aata hai

Tu nahin saath rahegi umar bhar yun hi

Bas yahi sochte waqt guzar jaata hai

Haan, tere naam pe ilzam na aane denge

Ishq dushnaam hawaon se darr jaata hai

Kitna roka, sanbhalta nahin ASIM lekin

Tere chin jaane ke khauf se mar jaata hai...!

- Khan M. Asim…03/03/2008...9:30 PM...Train...

Friday, February 29, 2008

!!! Ghazal !!!


Aaj phir ishq ghum ka hai fasana

Manzar ko mere aise darata hai zamana

Pehle hi taghaful ke sitam kum na the dil pe

Aur yeh sanam judai lagti hai qaatilana

Ustaad sikhate hain mohabbat ke gur humein

Yeh bhi nahin dekha ke beitha hai diwana

Socha karein tujhe shub o roz har paher

Saanson mein tera naam dil mein hai tarana

Tujhse tajjalli paakar purnoor hogaya

Varna kahan yeh mehfil kahan apna hai thikana

Teri zamin ko dekhkar shaadaab hogaya

Gulshan mein gul khile mausam hai modabana

Tujh-sung qamar, atarud, mirreekh jhoomte hain

Shamsi teri nazar, jalwah hai kehkashana

Inaam jo bhi de tu, de apne mayaar jaisa

Gar zindagi nahin toh ajal hai faatehaana

Makhmoor yun hai ASIM aata nahin nazar

Arpan hua hai tujhpe rehta hai Aarifana

- Khan M. Asim…29/02/2008…4:35 AM…

Wednesday, February 27, 2008

!!! Nishachar !!!


Zindagi ka khel dekho jeet bhi hai haar mein

Tu ne ujala kar diya haan mere sansaar mein...

Chakkar hain chakkar hain teri zulfon mein guftaar mein

Haan nishachar hogaya hun jaanam tere pyaar mein...!

Lamha lamha, manzar vanzar, jhoomta saara aalam hai

Zindagi ko mod de jo aisi tu haan baalam hai

Jaadu tera aisa chala, mujhko nahin kuch bhi pata

Khoya khoya, jaaga soya, aisa mera aalam hai

Jal gaya har ek deepak aaj toh aandhkaar mein

Chakkar hain chakkar hain teri zulfon mein guftaar mein

Haan nishachar hogaya hun jaanam tere pyaar mein...!

Kaisa socha, kaisa paaya, mausamon ne palta khaya

khizaan mein patte jhad rahe the, phir baharan laut aaya

Bulbulon ne geet gaaye, nadaan gul phir hans pada

Bhavnre bhavnre har goshe mein abar ishq ka baras pada

Shaakhein tani gulshan mein aaj, hain phool saare qataar mein

Chakkar hain chakkar hain teri zulfon mein guftaar mein

Haan nishachar hogaya hun jaanam tere pyaar mein...!

Mukhtalif baaton mein teri, mukhtalif andaaz hain

Khil-khila ke jo tu hansde bajte saare saaz hain

Tera milna aise mujhse, aisa apna qareeb aana

Ramz o kina mein kyun kahun, hum waqt ki awaaz hain

Khushbuen hi chai hain dilbar tere kirdaar mein

Chakkar hain chakkar hain teri zulfon mein guftaar mein

Haan nishachar hogaya hun jaanam tere pyaar mein...!

- Khan M. Asim...27/02/2008...5:00 AM...

Friday, February 22, 2008

Muntazir...!


Tumhari baatein naseem e subha

Woh hanste hanste kiran ka khilna

Na jane kab in sehro shab mein

Hoga tumse hamara milna...!

Aaloodgi se bhari yeh duniya

Kahin humein bhi tod na de

Isi ka darr hai jo khaaye jaaye

Kahin yeh mausam mod na de...!

Farsh pe yeh daastan hain

Arsh pe sargoshiyan

kar rahi hain buland parcham

Aaj phir khamoshiyan...!

Muntazir hain tumhare ab bhi

Saare manzar, khwaab mere

Hain shams o tariq sawaal karte

Tumhare neinun jawaab mere...!

Jo aa gayi tum kisi paher mein

Kya hamara yahan se hilna

Tumhari baatein naseem e subha

Woh hanste hanste kiran ka khilna...!

- Khan M. Asim...22/02/2008...5:20 AM...

Thursday, February 21, 2008

Diwana waar phirta hun...!


Ajab halaat hain mere

Diwana waar phirta hun

Tumhare saath rehta hun

Tumhi se baat karta hun

Girta hun, sanbhalta hun

Sanbhalkar phir mein girta hun

Ajab halaat hain mere

Diwana waar phirta hun...!

Kahin pe dard uthta hai

Kahin pe ik chubhan si hai

Yeh tanhai go qatil hai

Tumhari anjuman si hai

Tumhara naam aajaye

Sharam se aah bharta hun

Ajab halaat hain mere

Diwana waar phirta hun...!

Tumhare raaz ko aise

Chupaon kab talak dil mein

Hazaaron haath uthte hain

Meri janib haan mehfil mein

Tumhe hai kya koi parwah?

Kyun lamha lamha marta hun

Ajab halaat hain mere

Diwana waar phirta hun...!

Tumhi meri duaon mein

Tumhi ho shairy meri

Tumhi haan jaane gulshan ho

Tumhi se daastan meri

Mein jiss raah ko nikalta hun

Tumhi se mein guzarta hun

Ajab halaat hain mere

Diwana waar phirta hun...!

- Khan M. Asim...21/02/2008...2:00 AM...

Wednesday, February 20, 2008

!!! Machchar !!!

Hi...This poem I wrote when i was hospitalised (Oct-Nov 2006) due to Malaria (last stage of Malaria) and everyone near & dear to me was tensed because of the dying condition. Doctors said if anything happens to me they won't be responsible and asked my father to sign an application for that. Well, Mashallah now I am fine, though recently met with an accident and received some serious back injury...well, well, well, you enjoy the poem...!

Saaqi zara mujhe bhi aisi dawa pila de

Behosh in ragon ko sote se jo jaga de

Malaria, Typhoid, Cholera ho na Dengue

Inn saale machcharon ko ghar se mere bhaga de

Na kaathen phir kisi ko na bemaar koi hoye

Bedank inko karke, langda inhein bana de

Har saal meri mehfil ujdi isi ke dum se

Awaaz bhi lage toh bemaar yeh bana de

Bijli agar gayi toh machta hai shor inka

Naala agar mile toh ghar apna yeh basa de

Hai gandagi alamat! tauba meri malamat

Achche bhale khade ko bekaar yeh bana de

Bemaare machcharon ka kuch elaaj tu bata de

Gar itna na ho sake toh itna hi kaam karde

Woh bhi teri khalaq hai, mein bhi teri khalaq hun

Insaan usse bana de! Machchar mujhe bana de!!!

- Khan M. Asim...06/10/2006...11:00 AM...

Friday, February 15, 2008

!!! Taghaful !!!


Aa andaaz aise tujhe hum sikhayein

Yeh mausam, nazaareh sabhi jhoom jayein

Khayalon mein dilbar tere geet gayein

Tassaovurr mein tujhse hi nazrein milayein

Taghaful tera humko jeene na dega

Aa gulshan mein phoolon ka ik ghar banayein...!

Yeh vaadah hamara sanam javedaan hai

Gawah hain yeh taare gawah kehkashan hai

Teri aarzu pe hai yeh zindagani

Tujhi se baharan tujhi si khizan hai

Mohabbat ka mausam jo jata rahega

Taghaful tera humko jeene na dega

Aa andaaz aise tujhe hum sikhayein

Aa gulshan mein phoolon ka ik ghar banayein...!

Yeh shab ke ujale, yeh khaame ye aale

Kyun meena hai kehta uthale uthale

Yahi ishq ki haan sanam intiha hai

Ke dil bhi tera hai zahen bhi hawale

Har lamha magar humse kehta rahega

Taghaful tera humko jeene na dega

Aa andaaz aise tujhe hum sikhayein

Aa gulshan mein phoolon ka ik ghar banayein...!

Bhala kis liye zindagi hai diwaani

Abhi hai mohabbat abhi hai jawani

Aa rangeen bana dein har goshe jahan ko

Zameen ko na chodein na hade aasmaani

Tera naam arshe bareen pe rahega

Taghaful tera humko jeene na dega

Aa andaaz aise tujhe hum sikhayein

Aa gulshan mein phoolon ka ik ghar banayein...!

-Khan M. Asim...15/02/2008...3:25 AM...

Wednesday, February 13, 2008

Mein Aur Mera Aks...!


Ek hi sikke ke do pehlu

Mein aur mera aks

Jab bhi apas mein takrate hain

Ek-doosre mein kami paate hain

Usko mujh mein sirf khaami nazar aati hai

Aur mujhe usmein koi khoobi nazar nahin aati

Mein udaas, duniya se bezaar

har jazbe se bezarar

Carter Road ke saahil par beitha

Apna tajziya karta hun

Kya mein bilkul chughad hun?

Aakhir mujh mein itni khaamiyan kyun?

Kya mein achcha insaan nahin?

Mein bhi ussi khaak se bana hun

Jisse aur log,

Toh phir itna farak kyun?

Mera aks jawab deta hai

Jo ke ab lehron mein bat chuka hai

Woh mujhe yaad dilata hai...

Woh anjaani ghaltiyaan

Jinko mein nazar-andaaz karta hun

Aur dujon ki nazar se gir jaata hun,

Phir mein sochta hun

Yeh doosre meri shakhsiyat mein kahan se aaye?

Kya mein tanha nahin ji sakta

Aks jawaab deta hai...

"Abe bevakoof..!

Tu tanha akela kya karega?

Apne liye na sahi, samaaj ke liye to ji

Woh bhi zara dhang se..."

Uski yeh kadvi kasili baatein

Mein sun leta hun...

Phir woh bhayanak si hansi

Aur woh lehron mein bat jaata hai

Magar...

Zahen mein ik naya khayaal janam leta hai...

Samaaj seva se mujhe kya milega?

Jab mujh mein khaamiyan thin

Isne mujhe thukra diya...

Kya samaaj sirf achchai ka naam hai?

Yeh toh iski khudgarzi hai

Khudko achcha kehelwaane ke liye

Achchon ko talaash karta hai...

Toh phir...Hum jaison ka kya?

Mein yeh sochkar mutnaffur,

Khudko be-yaar-o-madadgaar mehsoos karta hun

Phir samaaj se bezaar hojata hun...

Woh phir bhayanak si hansi ke saath aata hai

Phir wahi takrao...

Uska wahi lecture,

Aur Mein...

Paththaron se usse bhagane ki koshish karta hun...

Magar woh phir bhi haqeeqat keh jata hai

Mein phir isi jhooti duniya mein kho jaata hun

Apne zameer ki talaash mein...

Aur woh lehron mein muskurata hai

Hain toh hum ek hi sikke ke do pehlu,

Magar ek doosre se juda juda,

Woh mashriq to mein maghrib!

-Khan M. Asim...20/07/2004...Afternoon...Carter Road, Bandra...

Saturday, February 09, 2008

Kaise? tumhe keh dun...!


Kaise? tumhe keh dun, nahin chahta tumko

Ghum ko haan chupa dun, mausam ko sula dun

Kaise koi mein yun iqraar kar lun?

Kaise koi mein han inkaar kar dun?

Jo tum keh do, keh dun mein saari hi baatein

Kaise? tumhe keh dun, nahin chahta tumko...!

Kharaman kharaman chalan apna goya

Jo gul bhi yan roya tabbussum se roya

Tumhe dhoondti hain yeh kiski nigahein

Koi kyun hai jaaga? koi kyun na soya?

Jo tum keh do, keh dun mein saari hi baatein

Kaise? tumhe keh dun, nahin chahta tumko...!

Nakaamiyon ka yeh kaisa bahana

Jise pyaar karna usse bhool jaana

Nahin mujhse kehna ki taqdeer hai yeh

Muqaddar ko haathon se apne banana

Jo tum keh do, keh dun mein saari hi baatein

Kaise? tumhe keh dun, nahin chahta tumko...!

Agar tum kabhi humse iqraar kar lo

Lamha barabar hi haan pyaar karlo

Ehsaas tumko sanam tab yeh hoga

Aasaan nahin bas kaha pyaar karlo

Jo tum keh do, keh dun mein saari hi baatein

Kaise? tumhe keh dun, nahin chahta tumko...!

Sooni, tarasti, yeh mehfil yeh shaamein

Kyun aise judai mein hum geet gaayein

Chalo tum bhi humse haan izhaar kar do

Haan duniya ko lafze wafa hum sikhayein

Jo tum keh do, keh dun mein saari hi baatein

Kaise? tumhe keh dun, nahin chahta tumko...!

-Khan M. Asim...09/02/2008...8:50 AM...

Thursday, February 07, 2008

Mausam-e-ishq aur tanhaiyaan...!


Mausam-e-ishq aur tanhaiyaan

Yaadein tumhari yeh angdaiyan

jalayen, jagayen humein yun rulayen

Tumhari haan baaton ki parchaiyaan

Mausam-e-ishq aur tanhaiyaan...!

Aankhon mein tum ho, baaton mein tum ho

Dhadkanon mein hamari haan saanson mein tum ho

Tumhara hi dil o zahen pe hai saaya

Tum hi tum ho har sun kitaabon mein tum ho

Yeh kaisi mili humko parchaiyaan?

Mausam-e-ishq aur tanhaiyaan...!

Woh khumaari khumaari haan lafzon ka piyaala

Kaisi sharabein? kaisi madhushala?

Tum hi se munnawwar haan aalam hai saara

Tumhare hi dum se andhera ujaala...

Kyun aankhon mein aansu hain qilqaariyaan...

Mausam-e-ishq aur tanhaiyaan...!

- Khan M. Asim...07/02/2008...2:15 PM...

Tuesday, February 05, 2008

!!! Poshidah Mohabbat !!!


Kyun karte ho mujhse?

Dil phenk se sawaal...

Sawaal aise ke zalzala aajaye

Sawaal aise ke mehwar hil jaye

Sawaal aise ke aasmaan udne lage

Rehne do abhi raaz ko raaz

Karne do lamhon ko sargoshiyan

Udne do ishq ke parwaanon ko

Haan! abhi waqt hai mohabbat ka

Sama jaane do mujhko khud mein

Dhoondne do kehkashaani raaz

Iss zamaane ne kisko bakhsha hai?

Bhool jao isse,........

Hone do nasho-numa mohabbat ki...

Rakho abhi pardah kahani pe

Kahin zaad-e-safar na lut jaaye

Abhi daastaanein chalne do

Aashiqon ki mehfil mein...

Waqt ko sanwarne do, baat ko samajhne do

Abar ko barasne do, Barf ko pighalne do

Sawaal toh uthenge hi jo pardeh mein kahani hai

Poshidah mohabbat hai aur hazaar afsaane...!

-Khan M. Asim...05/02/2008....10:35 AM...

Monday, February 04, 2008

Poshida Sanam...!


Ik roz mohabbat tumse ki

So baar hamara qatal hua

Duniya vuniya hum bhool gaye

Seedha jannat mein dakhal hua!
...........,,,,,.............!

Poshida sanam poshida sanam

Chilman se zara tu jalwa dikha

Haan saamne aa tu saamne aa

Mausam ko rangeen naghma sikha

Phir bol zara tu aankhon se

Poshida sanam poshida sanam...!

Tadpan ko jaga tadpan ko mita

Koi saaz baja koi saher chala

Geesun se muattar kar mehfil

Koi noor jaga koi noor jaga

Jugnun si chamak jugnun si chamak

Poshida sanam poshida sanam...!

Ik tara falak mein jalta hai

Roshan hain jisse saare jahaan

Haan noor hai tu haan noor hai tu

Mehfil ki raunak hoor hai tu

Kyun mujhpe zulmat chayi hai?

Poshida sanam poshida sanam

Chilman se zara tu jalwa dikha...!

-Khan M. Asim...04/02/2008...2:35 PM...